Urdu Ka Mashhoor Misra Hay Ke ‘Basti Basna Khel Nahi Hay, Bastay Bastay Basti Hay.’ Is Ka Andaza Spain Ke Aik Village Ke Malik Ko Ho Gaya. Jis Ne 20 Saal Pehle Madrid Se 3 Ghantay Ki Musafat Per Waqay Aik Khali Gaaun Ye Soch Kar Kharida Tha Ke Wo Isay Tourist Spot Ke Tor Per Abad Karay Ga. Lekin Eurozone Ke Crisis Ne Us Ka Khwab Pura Nahi Honay Diya.

Raftar Bharne Do

Ab Wo Is Gaaun Ko Bechna Chahtay Hain Aur Is Ki Qeemat Unhon Ne 260,000 Euro Yani Taqreeban 5.5 Crore Pakistani Rupay Rakhi Hay.

Spain Ke Village Main Kiya Kiya Hay?

Portugal Ki Sarhad Ke Qareeb Zamora Subay Main Waqay Salto de Castro Nami Gaaun 1950 Ki Dahai Main Aik Electric Company Ne Apnay Mulazmeen Ke Liye Basaya Tha. Dam Ki Construction Mukammal Honay Ke Baad Worker Isay Chhor Kar Chalay Gaye. 1980 Se Ye Gaaun Mukammal Ghair Abad Hay.

Spain Ke Is Gaaun Main 44 Ghar, Hotel, Church, School, Muncipal Swimming Pool Aur Civil Guards Ki Barrack Hay.

Raftar Bharne Do

Gaaun Ke Sale Ka Ishtehar Aik Website Per lagaya Gaya Hay. Us Main Gaaun Ke 80 Sala Malik Ne Kaha Hay Ke Wo Chunkay Shehr Main Rehtay Hain Is Liye Is Gaaun Ki Dekh Bhal Nahi Kar Saktay. Is Liye Wo Isay Becha Chahtay Hain. Malik Ne Likha Hay Ke Estate Agent Aur Middle Man Door Rahen Kyunke Un Ko Buray Tajrubat Pesh Aayen Hain. Website Per Is Ishtehar Ko 50 Hazar Se Zyada Log Dekh Chukay Hain.

Malik Ki Numaindgi Karnay Wali Company Royal Invest Ke Mulazim Ronnie Rodríguez Ke Mutabiq 300 Se Zyada Logon Ne Gaaun Khareednay Main Dilchaspi Ka Izhar Kiya Hay. In Main Russia, UK France Aur Deegar Mulkon Ke Log Shamil Hain.

Raftar Bharne Do

Is Gaaun Ko Pehlay Bhi Bechnay Ki Koshish Ki Gayi Thi. Tab Is Ki Qeemat 65 Lakh Euro Rakhi Gayi Thi. Kharidar Na Milnay Per Qeemat Batadreej Kam Hoti Gayi.

Ab Jo Qeemat Rakhi Gayi Hay Us Main Madrid Ya Barcelona Main 1 Bedroom Ka Apartment Hi Miol Sakta Hay. Mahireen Ke Mutabiq Is Gaaun Ko Sayahati Markaz Bananay Ke Liye 2 Crore Euro Tak Sarmaya Kari Ki Zarurat Hogi.

شیئر

جواب لکھیں