30 January 1948, Aaj Say Theek 75 Saal Pehlay, Jab Pakistan Mein National Buildings Par Qaumi Parcham Half-Mast Par Lehrata Nazar Aaya, Aur Phir Quaid-e-Azam Mohammad Ali Jinnah Ka Bayan Aaya:

“Mujhe Un Ki Maut Par Sakht Sadma Pohncha Hay. Hamaray Political Differences Apni Jaga Laikin Wo Hindu Community Mein Janam Lainay Walay Greatest Logon Mein Say Aik Thay.”

Saug Ka Ye Aalam Aur Dukh Say Bharay Ye Alfaz Thay Mohandas Karamchand Gandhi Kay Liay, Jinhain Dunya Mahatma Gandhi Kehti Hay. Aaj Say Theek Paun Sadi Pehlay Wo Aaj Hi Kay Din Aik Qatilana Hamlay Mein Apnay Jaan Day Gaey Thay. Aik Hindu Nationalist Nathuram Godse Nay Point-Blank Range Say Un Par 3 Fire Kiay, Jo 78 Saal Kay Ghandi Ki Jaan Lainay Kay Liay Kafi Sabit Huay.

Godse Ko November 1949 Mein Phansi Day Di Gai Laikin Aaj Jahan India Mein Aik Nationalist Government Hay, Gandhi Aur Godse Ki Ideologies Aik Doosray Say Clash Kar Rahi Hain, Gandhi Kaheen Background Mein Reh Gaey Hain Aur India Par Godse Ka Raaj Nazar Aata Hay.

Gandhi Kaun?

Raftar Bharne Do

Mohandas Karamchand Gandhi 2 October 1869 Ko Gujarat Mein Paida Huay Thay. Unhon Nay Quaid-e-Azam Ki Tarah London Say Law Ki Taleem Haasil Ki, Laikin Un Ki Zindagi Ka Aik Bara Hissa, 21 Saal, South Africa Mein Guzra. Us Waqt South Africa Par Bhi Britain Rule Tha, Aur Indians Aur Non-White Racism Ka Samna Kar Rahay Thay. Tab Gandhi Nay Wahan Civil Rights Movement Shuru Ki Aur Phir Yahi Kaam Un Ka Zindagi Bhar Ka Maqsad Ban Gaya.

Gandhi 1915 Mein India Wapis Aaey Aur Indian National Congress (INC) Mein Shamil Ho Gaey. 5 Saal Baad Wo INC Kay Leader Ban Gaey. Un Ki Zabardast Taqreeri Salahiyat Aur Usoolon Par Yaqeen Nay Unhain India Ka Most Important Leader Bana Dia. Phir Unhon Nay British Rule Aur Un Kay Zaalimana Qanoon Kay Khilaf Tehreek Chalanay Ka Faisla Kia. Satyagraha Ki Tehreek Aur 1930 Mein Salt March Nay India Ki Independence Movement Ko Urooj Par Pohncha Dia.

1942 Main Jab World War II Peak Par Thi To Gandhi Nay Quit India Movement Ka Aghaz Kia. 2nd World War Mein Jo Kuch Hua, Us Kay Baad British Raj Kay Liay India Par Apna Rule Rakhna Mushkil Ho Gaya.

Independence Ya Partition?

Raftar Bharne Do

Gandhi Kay Usool Aur Nazriyat Apni Jaga, Laikin Hindustan Ki Haqeeqat Us Say Kaheen Mukhtalif Thi. Musalman, Jo Sadiyon Say Yahan Hukumran Thay Aur Britain Nay Bhi Un Say Hi Hukoomat Cheeni Thi, Wo Aik Republic Mein Hindu Majority Kay Samnay Sakht Mushkil Mein Aa Jatay. Gandhiji Kay Waday Aur Koshishain Apni Jaga Laikin Reality Kuch Aur Thi Aur Mohammad Ali Jinnah Aur Un Ki Party Muslim League Is Baat Ko Achi Tarah Janti Thi.

Khair, August 1947 Mein Gandhi Aur Jinnah Donon Ki Movement Kamyabi Tak Pohnchi, Hindustan British Rule Say Azad Hua Aur Yahan Kay Musalmanon Ko Apna Alag Watan Pakistan Mila.

Aur Is Kay Kuch Maheenay Baad Hi Delhi Mein Nathuram Godse Kay Fires Ki Awaz Goonji, Jis Nay Pak-India Dosti Ki Aakhri Umeed Bhi Khatam Kardi.

Gandhi vs Godse

Gandhiji Ne Partition Ke Baad India Mein Reh Janay Walay Musalmanon Ko Security Denay Ki Demand Ki Aur Is Maqsad Ke Liye Unhon Ne January 1948 Main Aik Fast Rakha. Gandhiji Ka Aik Mutalba Ye Bhi Tha Ke Indian Government Pakistan Ko Us Ke Hissay Ke 55 Crore Rupee Fori Ada Karay. Is Protest Ki Wajah Se Indian Government Ko Ye Demand Puri Karni Pari.

Gandhiji Ki Taraf Se Pakistan Ki Support Per Indian Nationalist Un Say Naraz Thay. Godse Bhi Aik Hindu Nationalist Tha Aur Nationalist Party Hindu Mahasabha Ka Member Tha. Us Ka Kehna Tha Ke Gandhi Ki Waja Say Hi Pakistan Bana Aur Wo Ab Bhi Pakistan Ki Madad Kar Rahay Hain, Isi Liay Us Nay Unhain Qatal Kardia.

Quaid-e-Azam Kay Alfaaz Mein Hindu Qaum Mein Paida Honay Wala Greatest Aadmi Aik Hindu Nationalist Kay Hathon Maara Gaya, Is Say Bari Tragedy Kya Hogi?

Raftar Bharne Do

Gandhiji To Pakistan Kay Naam Par Jaan Day Gaey, Laikin Aaj Pakistan Mein Aam Taur Par Unhain Achay Alfaz Mein Yaad Nahi Kia Jata, Balke Unhain Pakistan Aur Musalmanon Ka Dushman Samjha Jata Hay. Khair, Hum To Yahi Keh Saktay Hain Ke Kaash Gandhi Godse Ek Yudh Movie Hi Sach Hoti, Kyunke Gandhiji Bach Jatay To Shayad History Mukhtalif Hoti.  

شیئر

جواب لکھیں