Karachi Lawaris Tha, La Waris Rahay Ga!

Election Commision Kay Baldiyati Intikhabat Multawi Karnay Kay Faislay Nay Karachi Walon Ko Phir Ye Haqiqat Yaad Dila Di Hay.

Karachi Ka Almiya

Kisi Bhi Shehar Main Bunyadi Sahulaton Ki Farahmi Muqami Hukumat Kay Paas Hoti Hay. Kachra Uthanay Ka Nizam, Pani Ki Supply, Sewerage Ka Intezam, Sarkon Ki Dekh Bhal, Tajawuzat Ka Khatima Aur Degar Masail Ka Hal Aik Muasar Baldiyati Nizam Kay Zariye Hi Mumkin Hay.

Magar Bad Qismati Se Siyasi Rassakashi Ki Wajah Say Shehr Ki Haalat Bad Say Bad Tar Hoti Ja Rahi Hay.

Sabiq Saddar Pervez Musharraf Kay Local Government Nizam Kay Tehat Karachi Main Pehlay Jamat-e-Islami Kay Naimatullah Khan Aur Baad Main MQM Kay Mustafa Kamal Nay Shehar Ki Halat Badalnay Kay Liye Numayan Kaam Kiya.

October 2010 Main Local Bodies Ki Muddat Puri Honay Kay Baad Sindh Main Hukmran Jamat Peoples Party Ne Naye Election Karanay Kay Bajaye Is Nizam Ko Hi Lapait Kar Rakh Diya.

Karachi Commissionery Nizam Kay Tehat PPP Ke Control Main Raha. 2013 Main Peoples Party Nay Naya Baldiyati Nizam Paish Kiya Jisay MQM Nay Mustarad Kar Kay Supreme Court Main Challenge Kar Diya.

Chand Tarameem Ke Baad 2016 Main Karachi Main Baldiyati Intikhabat Huye. MQM Ne Tahaffuzat Kay Bawajood Hissa Liya Aur Waseem Akhtar Mayor Karachi Bun Gaye. Waseem Akhtar Apnay 4 Saal Main Ikhtiyarat Na Honay Ka Shikwa Kartay Rahay.

Ikhtiyarat Ke Hussol Ke Liye MQM Ne 2017 Main Sindh Local Government Act 2013 Ko Supreme Court Main Challenge Kiya.

July 2020 Main Baldiyati Hukoomat Ki Muddat Puri Hui. October 2020 Main Supreme Court Ne Faisla Mehfooz Kar Liya.

Udhar Sindh Sarkar Naye Baldiyati Election Karane Kay Bajaye 2021 Main Baldiyati Act Main Tarameem Lay Aayi Jis Par MQM Phir Adalat Chali Gayi.

In Tarameem Ke Zariye KMC Ke Tehat Chalnay Walay Tamam Hospital Ka Intezam Sindh Hukumat Nay Khud Sanbhal Liya Tha. Is Ke Elawa Birth Aur Death Certificate Jari Karnay, Taleem Aur Deegar Sectors Per Bhi Local Government Ka Ikhtiyar Khatam Kar Kay Subai Hukumat Ke Zer-e-Intizam Day Diya Gaya Tha.

MQM, PTI, JI Aur PSP Nay In Tarameem Kay Khilaf Bhi Adalat Say Rujoo Kiya.

Supreme Court Ka Aham Faisla

Supreme Court Ne February 2022 Main Sindh Local Bodies Case Ka Faisla Sunaya Aur Act Main Ki Gayi Un Tarameem Ko Kaladam Qarar De Diya Jis Ke Tehat Sindh Hukumat Kisi Baldiyati Idaray Ka Intezam Khud Nahi Sanbhal Sakti.

Supreme Court Ne Faislay Main Kaha Ke Sindh Hukumat Ba Ikhtiyar Baldiyati Idaray Qaim Karnay Ki Paband Hay, Aaeen Ke Tehat Baldiyati Hukumat Ko Maali, Intezami Aur Siyasi Ikhtiyarat Yaqeeni Banaye Jayen.

April 2022 Main No Confidence Vote Per MQM Ne PDM Ka Saath Diya. Is Moqay Par MQM Aur Peoples Party Ke Darmyan Aik ‘Charter of Rights’ Muhaeday Per ittefaq Hua Jis Ke Tehat Baldiyati Hukumat Ko Zyada Ikhtiyarat Dena Aur Mandate Ka Ehtiram Kiya Jana Shamil Tha.

Karachi Main LB Elections Kitni Baar Multawi Huye?

26 June 2022 Ko Pehlay Marhlay Main Karachi Aur Hyderabad Ke Elawa Baqi Sindh Main Baldiyati Intikhabat Huye. Is Election Ke Fori Baad MQM Ne PPP Per Muahiday Ki Khilaf Warzi Aur Mandate Ki Chori Ka Ilzam Lagaya.

Local Bodies Ke Dusray Marhalay Main Karachi Main 24 July Ko Election Honay Thay Magar Shehar Main Barish Ko Jawaz Bana Kar Sindh Hukumat Ne Ye Election Multawi Kara Diya.

Jamat Islami Aur PTI Ne Election Multawi Karnay Per Sakht Ehtijaj Kiya.

Is Dauran MQM Ne Nayi Halqa Bandion Tak Karachi Aur Hyderabad Main Election Multawi Karnay Ki Darkhwast Ki Jo Pehlay Sindh High Court Aur Phir Supreme Court Main Mustard kar Di Gayi.

Supreme Court Ne 28 August Ko Baldiyati Election Ke Dusray Marhalay Kay Ineqad Ka Hukum Diya.

Sindh Main Sailab Ki Wajah Se PPP Sarkar Ne Aik Bar Phir Election Commision Ko Intekhabat Multawi Karnay Ki Darkhwast Di Jo Manzur Kar Li Gayi.

23 October Baldiyati Intikhabat Ke Liye Nai Tareekh Muqarrar Hui Thi Lekin Is Baar Sindh Hukumat Naya Excuse Le Aayi Ke Security Ke Liye Police Ehalkar Nahi Hain.

Tajziya Kar Kehtay Hain Ke Asal Mas’ala Karachi Ke Wasail Ka Hay. Har Siyasi Jamaat Is Sonay Ki Chirya Ko Apnay Qabzay Main Rakhna Chahti Hay. Yahan Paisa Hay, Karobar Hay, Naukriyan Hain.

Peoples Party Isi Liye Karachi Main Aik Ba Ikhtiar Baldiyati System Nahi Chahti Kiun Ke Usay Is Shehr Main Utna Mandate Nahi Milta Ke Apna Mayor La Sakay.

Dusri Taraf MQM Aisa Ba Ikhtiyar Baldiyati Nizam Chahti Hay Jis Ke Tehat Shehar Ke Tamam Idaron Ka Control Us Ke Paas Ho.

Ye Pehli Baar Nahi Jab Peoples Party Ne Karachi Ko Baldiyati Nizam Se Mehroom Rakha Hua Hay. 1992 Se 1998 Tak Bhi Sindh Main Peoples Party Ki Hukumat Thi Aur Karachi Ko Baldiyati Idaron Se Mehrrom Rakha Gaya Tha. 2010 se 2016 Tak bhi Shehr Main Koi Local Government Nahi Thi. 2020 Ke Baad 2 Saal Se Zyada Ho Gaye Hain, Dekhen Ab Shehar Walon Ko Kab Apne Masail Ke Hal Ke Liye Muqami Numainday Muyassar Aatay Hain.

شیئر

جواب لکھیں