Kisi Chor Ko Islamabad Main Ghusnay Nahi Dain Ge, PM
Wazir-e-Azam Shehbaz Sharif Ne PTI Ke Mumkina Long March Par Baat Kartay Huye Kaha Ke Kisi Certified Chor Ko Islamabad Main Ghusnay Nahi Dain Ge.
Lahore Main Press Conference Karte Huye Un Ka Kehna Tha Aik Certified Chor Ke Peechay Un Ke Haami Niklain Gay, Chor Ke Peechay Un Ke Hawarion Ko Jana Hay To Un Ki Marzi Hay Lekin Qanoon Apna Rasta Ikhtiyar Kerey Ga. Federation Pakistan Ki Wehdat Aur Yakjahti Ki Nishani Hay, Hum Wahan Par Kisi Certified Chor Aur Dakait Ko Aanay Nahi Den Ge.
Imran Khan Fascist Hay, Shehbaz Sharif
Un Ka Kehna Tha Ke Imran Niyazi Baat Kartay Thay Jamhuriat Ki Aur Un Ki Soch Aik Fascist Aur Dictator Ki Thi. Jalsay, Juluson, Gaali Galoch Aur Qaum Ko Taqseem Karnay Se Hamaray Masail Hal Nahi Hon Ge, Hamaray Masail Mil Jul Kar Kaam Karne Se Hal Hon Ge.
Shehbaz Sharif Ne Kaha Ke Isi Cheif Election Commissioner Ke Baray Main Imran Khan Ne Kaha Tha Ke Ye Qabil Aur Imandaar Aadmi Hain, Isi Election Commissioner Ne Corrupt Practice Par Un Ko Na Ehal Qarar Diya Hay.
Imran Khan Ne Mulk Ko Badnam Kiya, Shehbaz
Wazir-e-Azam Ka Kehna Tha Ke Agar Imran Khan Ne Tohfay Baich Kar Pooray Paisay Qaumi Khazanay Main Jama Karwaye Hotay To Hum Un Ki Tareef Karte, Dubai Main Jis Dukaan Se Imran Khan Ke Liye Tohfa Banwaya Gaya, Ye Isi Dukaan Par Ghari Baichnay Pahanch Gaye, Qaum Ko Pata Chalna Chahiye Ke Kon Hay Jo Tohfay Baich Kar Paisay Jaib Main Daal Kar Nikal Gaya.
Muzakrat Kay Liye Tayyar Hain, Shehbaz Sharif
Imran Khan Se Muzakraat Se Mutaliq Sawal Ka Jawab Dete Hue Unhon Ne Kaha Ke Pakistan Ki Behtari Ke Liye Har Dar Par Jane Ke Liye Tayyar Hun, Agar Is Main Sanjeedgi Ho, Imran Khan Ki Army Chief Se Mulaqaat Ke Sawal Per Jawab Dainay Se Unhon Ne Guraiz Kiya, Shehbaz Sharif Ne Kaha Ke Mere Mansab Ka Taqaza Hay Is Par Baat Na Karun.
Shahbaz Sharif Se Sawal Kiya Gaya Ke Kiya 28 November Ke Baad Pakistan Main Siyasi Istehkaam Aa Jaye Ga? Is Ke Jawab Main Unhon Ne Kaha Ke Ye Aaeni Muamla Hay, Routine Ki Baat Hay Ke Jo Bhi Army Chief Retire Hotay Hain Tou Hukumat Ke Paas Panel Aata Hay, Panel Ko Dekh Kar Taqarrur Ho Jata Hay, Ye Qanooni Muamla Hay Is Main Koi Qabahat Nahi Hay.
Election 11 Mahinay Baad Hon Ge, Shehbaz Sharif
Punjab Main Hukoomat Ki Tabdeeli Ke Sawal Par PM Shehbaz Sharif Ne Kaha Ke Qanooni Taur Par Tabdeeli Lanay Ka Sab Ko Haq Hay, Agar Aisa Hota Hay To Kisi Ko Koi Aitraaz Nahi Hona Chahiye .
Aam Intikhabaat Se Mutaliq Sawal Ke Hawab Main Unhon Ne Kaha Ke Aam Intikhabaat Qanoon Aur Aaeen Ke Mutabiq Abhi 11 Mahinay Door Hain, Elections Karana Hukumat Ki Sawabdid Hay, Hamara Koi Irada Nahi Hay Ke Hum Election Main Jayen Jab Tak Yeh Economy Theek Nahi Hoti, 11 Mahinay Datt Kar Kaam Karen Ge, Jab Muddat Puri Ho Gi Tou Election Hon Ge.