Wazir-e-Azam Shehbaz Sharif Aur Hamza Shehbaz Ko FIA Money Laundernig Case Se Bari Kar Diya Gaya.

Special Central Court Ke Judge Ijaz Hassan Awan Ne Faisla Suna Diya.

Shehbaz Sharif Aur Hamza Shehbaz Samait Deegar Ke Khilaaf Money Laundering Ka Case November 2020 Main Darj Kiya Gaya Tha.

Mulzimaan Par 16 Arab Ki Money Laundering Ka Ilzaam Lagaya Gaya.

July 2021 Main Mulzimaan Ne Zamant Ke Liye Session Court Main Darkhwast Di.

FIA Ne March 2022 Main Muqadmay Ka Chalaan Special Central Court Main Jama Karaya.

FIA Ki Janib Se Jama Karaya Gaya Chalaan 7 Volume Par Mushtamil Tha.

Chalaan Main Shehbaz Sharif Aur Hamza Shehbaz Ko Markazi Mulzim Qarar Diya Gaya Tha.

FIA Ne Money Laundering Chalaan Main 100 Gawahon Ki List Bhi Jama Karwai Thi.

Case Main 3 Mulziman Salman Shahbaz, Tahir Naqvi Aur Malik Maqsood Ko Ishtihari Qarar Diya Gaya.

Mulzim Malik Maqsood (Maqsood Chaprasi) Aur JIT Ke Head Ka Case Ke Dauran Intqaal Ho Gaya.

11 October 2022 KO Special Centeral Court Ne Shehbaz Sharif Aur Hamza Shehbaz Ke Khilaf Dalail 12 October Tak Mukammal Karnay Ki Hidayat Ki Thi.

FIA Ne Adalat Ko Bataya Ke Shehbaz Sharif Aur Hamza Shehbaz Ke Account Main Directly Raqam Jama Honay Ya Nikalwanay Ke Suboot Nahi Milay.

Shehbaz Sharif Ke Wakeel Ne Kaha Ke Investigation Officer Ne Gawahon Ke Bayanat Tor Maror Kar Paish Karnay Ki Koshish Ki. Kisi Gawah Ne Shehbaz Sharif Aur Hamza Shehbaz Ka Naam Nahi Liya.

FIA Aur Wukla Ka Mauqif Sunnay Ke Baad Adalat Ne Faisla Mehfooz Kar Liya Tha.

شیئر

جواب لکھیں