Hamaray Daily Routine Ka Ziada Tar Waqt Communication Main Guzarta Hay, Jo Zyada Tar Conversation Based Hoti Hay.

Workplace Interaction Hi Ko Lay Lain, Jin Main Hum Ziada Tar Meetings, Emails, Phone Calls Aur Small Talk Ka Sahara Laitay Hain. Ab Hona To Yahi Chahiye Kay Hamari Conversations Positive Aur Constructive Hon, Laikin Ye Sirf Aik Ideal World Hi Main Hota Hay. Kai Baar Hamari Discussions Aur Conversations Cold Aur Out Of Context Hojati Hain. Kai Aisay Jumlay Ada Ho Jatay Hain, Jo Honay Nahi Chahiyen.

Aayen Aap Ko Batatay Hain Kay Kaun Say Aisay Toxic Phrases Hain, Jinhain Aap Ko Apni Professional Life Say Nikaalna Hoga.

“Hum To Aisa Hi Kaam Kartay Hain”

Is Jumlay Say Yeh Zahir Hota Hay Kay Aap Ka Mindset Fixed Hay. Aap Ya To Koi Change Nahi Chahtay Ya Phir Suggestions Say Mounh Morr Laitay Hain. Phir Yeh Andaza Bhi Hota Hay Kay Current Standard Main Aap Ko Koi Khami Koi Kamzori Nazar Nahi Aati, Is Liye Aap Koi Innovation Ya Motivation Nahi Chahtay.

Iss Kay Bajaey Aap Ko Yeh Chahiye Kay Yeh Jumla Kahain “Hum To Aisay Hi Kaam Kartah Hain. Laikin Chalo! Dekhtay Hain Ke Change Say Kya Faraq Parta Hay.”

Youn Lagay Ga Kay Aap New Practices Kay Liye Open Mind Set Rakhtay Hain, Aur Past Efforts Ko Bhi Appreciate Ker Rahay Hain.

“Hamaray Zamanay Main Is Say Bhi Bura Haal Tha”

Is Say Lagta Hay Kay Mushkil Expect Karni Chahiye. Yeh Jumla Tab Istemal Hota Hay Jab Koi Aap Kay Samnay Problem Bayaan Ker Raha Ho.

To Yeh Wala Jumla Istemal Kerna Zara Behtar Hoga Ke “Hamaray Zamanay Main Is Say Bhi Bura Haal Tha, Laikin Mujhe Khushi Hay Ke Aap Kay Liay Halaat Behtar Hain. To Hum Kya Karain Kay Ye Mazeed Behtar Ho Jayen."

Is Jumlay Main Positivity Aur Progressive Mindset Donon Zahir Ho Rahay Hain.

“Apni Salary Kisi Ko Nahi Batayen”

Jab Aap Yeh Kehtay Hain To Is Say Lagta Hay Aap Transparency Ko Value Nahi Daitay.

Yeh Bhi Lagta Hay Kay Salary Gaps Main Koi Accountability Nahi Hay. Salary Ko Secret Rakhnay Say Employee Ki Performance Per Bhi Asar Parta Hay.

Is Kay Bajai Vocabulary Ka Behtar Istemaal Kertay Hoay Youn Kehna Chaheye Kay “Salary Kay Baray Main Open Conversations Buhat Important Hain.”

Aisa Kehnay Say Fair Aur Transparent System Develop Hota Hay Aur Employees Behtar Feel Kertay Hain.

“Hamaray Haan Term Ki Koi Limit Nahi”

Yeh Jumla Status Quo Ko Zahir Ker Raha Hay, Aur Aisa Impression Ja Raha Hay Kay Current Leaders Kay Pass Positions Hamesha Rahain Gi, Aur Koi In Ko Question Nahi Ker Sakta.

Office Environment Ya Culture Main Kabhi Kabhi Change Lanay Kay Liye Top Per Tabdeeli Zaroori Hoti Hay. Rotating Leadership System Ko Term Limits Kay Sath Implement Kernay Say Workplace Diversity Aati Hay.

Is Liye Is Hawalay Say Koi Baat Kertay Hoay Yeh Kehna Chaheye Kay “Hum Har Kisi Ka Aik Jaisay Chances Dainay Kay Qail Hain. Fard Ho Ya Idara, Sab Qayadat Main Tabdeeli Say Aagay Barhtay Hain.”

Yeh Jumla Healthy Competition Kay Liye Zaroori Hoga.

“Jo Kuch Hua, Email Main Likh Kar Bhejain”

Ager Aap Kisi Say Is Andaz Main Conversation Kertay Hain To Yeh Impression Jata Hay Kay Kisi Incident Ko Disclose Kernay Kay Liye Confidential Ya Anonymous Rehna Zaroori Nahi Hoga.

Office Environment Main Kuch Events Ya Incidents Ko Report Kerna Zaroori Hota Hay. Jab Aap Kisi Incident Ki Details Documented Way Mai Chahtay Hain, To Aap Retaliation Say Bhi Dartay Hain.

Fear Of Consequence Ki Waja Say Reporting Bhi Kam Hojati Hay.

Zaroori Hay Kay Aap Kuch Is Tarah Kehain, “Aisay Alfaaz Ka Istemal Karain Jo Aap Ko Protect Bhi Karain Aur Issue Par Focus Bhi Rahay.”

Yeh Jumla Aap Ko Secure Feel Kerata Hay Aur Aap Openly Baat Discuss Kernay Main Pareshan Nahi Hotay.

Aap Ki Conversation, Vocabulary Aur Perfect Way Of Expression Aap Ko Confident Banatay Hain. Aap Job Ker Rahay Hon Ya Koi Business Deal Kernay Jarahay Hon, Aap Ki Baat Ka Bauhat Gehra Impression Create Hota Hay.

شیئر

جواب لکھیں