Arey Nahi Nahi! Productivity Apps Ka Naam Daikh Kar Ghabraaen Nahi, Hum Aap Say Koi Nai Productivity Nahi Karwa Rahay, Balkay Aap Jo Kaam Bhi Kartay Hain, Usay Aasaan Karnay Aaye Hain. Aap Kay Buhat Say Kaam Aisay Hon Gay Jo Aap Manually Kartay Hon Gay, Aayiyae Inhain Automate Kartay Hain, Woh Bhi Muft Main.

Grammarly

Agar Aap English Main Kuch Likhna Chahtay Hain, To Grammarly Se Behtar Aap Ka Madadgaar Koi Nahi Hoga. Chahay Aap Koi Blog Likh Rahay Hon, College Ya University Ka Koi Kaam Kar Rahay Hon, Ya Aap Ka Kaam Hi English Likhna Ho. Grammarly Aap Ki Har Tehreer Ko Sanwaray Ga, Nikharay Ga Aur Yoon Aap Ki Madad Karay Ga.


Trello

Agar Aap Kisi Office Main Hain, Kisi Team Kay Sath Mil Kar Kaam Kartay Hain To Aap Ko Trello Zaroor Istemaal Karna Chahiyay. Samjhain Ye Aik Qisam Ka White Board Hay Jisay Mukhtalif Columns Main Divide Kia Gaya Hay. Un Columns Ko Aap To Do, Doing, Done Aur Aisay Hi Naam Day Satkay Hain, Aur Har Column Main Notes Laga Satkay Hain. Ye Kaam Kis Ki Zimmedari Hoga? Is Ki Deadline Kya Hogi? Aur Jo Bhi Instructions Hain Likh Dalain, Poori Team Ko Pata Chal Jaey Ga. Har Shakhs Apna Kaam Kar Kay Usay Aglay Column, Yani Agli Stage Main Bhejta Rahay. Yun Poori Team Apna Workflow Daikh Sakay Gi, Samajh Sakay Gi Aur Kaam Ko Hota Hua Daikh Sakay Gi.


Pocket

Aap Online Kaam Kartay Hain, Aik Blog Ya Tehreer Abhi Aap Ki Nazaron Say Guzri Thi, Lekin Phir Idher Udhar Hogai. To Aisay Links Ko Foran Save Karnay, Aur Baad Main Fursat Say Parhnay Ki Sahoolat Deta Hay Pocket. Ye Aik Bookmarking App Hay Jo Sab Web Links Ko Aap Kay Account Main Mehfooz Karti Hay. Waisay Agar Aap Kay Paas E-Reader Bhi Hay To Pocket Main E-Readers Ki Support Bhi Hai. Yani Aap Is Par Save Kiye Gaey Links Apne E-Reader Par Bhi Parh Satkay Hain.


SwiftKey

Duniya Kay Mushkil Tareen Kaamon Main Say Aik Hay Mobile Phone Par Type Karna. Specially Jab Kaam Zara Lamba Ho, Koi Document Banana Ho, Ya Phir Kisi Kay Sath Messages Par Lambi Baat Chal Rahi Ho. Ye Masla Solve Karta Hai Swiftkey Keybaord.

Is Kay 2 Features To Kamaal Kay Hain: Aik Swipe Kar Kay Type Karnay Ki Sahoolat Aur Doosri Predictive Text. Agar Aap Koi Word Likhna Chahtay Hain To Is Kay Har Alphabet Ko Dabanay Ki Zarurat Hi Nahi, Sirf Un Tamam Alphabets Par Aik Baar Baghair Uthaye Ungli Ghuma Dain, Aap Ka Lafz Haazir Ho Jaey Ga. Phir Is Ki Predictive Text Ki Salahiyat Bhi Zabardast Hay, Yani Ye Samajh Laita Hai Ke Aap Agla Lafz Kaun Sa Likhain Gay? Is Say Bohat Aasani Ho Jati Hai.

Aik Aur Achi Baat Ye Ke Is Main Kai Languages Ki Support Mojood Hai, Urdu Ki Bhi Hai, Aur Ye Tamam Features Urdu Main Bhi Kaam Kartay Hain.


IFTTT

Ab Aakhir Main Aik Magical App Ki Baat Karain? Naam Hai IFTTT. Ab Ye IFTTT Kia Balaa Hai Bhai? Ye ‘If This, Then That’ Ka Abbreviation Hai. Ye Aap Ki Online Services Aur Devices Kay Darmiyan Automation Karti Hai, Bilkul Apple Shortcuts Ki Tarah.

Maslan Aap Is App Ko Kahain Ke Agar Facebook Par Mujhe Kisi Tasweer Main Tag Kia Jaey To Us Photo Ko Mere Ios Photo Album Main Save Kar Do. Ya Agar Pakistan Match Jeet Jaey To Meri Wi-Fi Say Connected LEDs Ko Green Color Ka Kardo. Ya Agar Main Ghar Se Bahar Nikal Jaoon To Meray Mobile Ka Wi-Fi Automatically Band Hojaey. Ya Agar Main Super Store Jaoon To Meri Location Dekhte Huay Automatically Ghar Walon Ko Message Kar Do Ke Main Super Store Main Hon, Kuchh Mangwana To Nahi? Ye Aur Aisay Hi Bohat Saray Kaam Iftt Kay Zariye Ho Satke Hain. Hai Na Hairat Ki Baat?

شیئر

جواب لکھیں