England Aa Gaya Bhai! Pooray 17 Saal Baad. 2 Nahi, 3 Nahi Poooray 7 T20 Matches Khailnay Kay Liye. Aanay Walon Mein Moin Ali Bhi Hain, Adil Rasheed Bhi Aur Jos Buttler, Alex Hales , Dawid Malan, Chris Woakes, Mark Wood aur Phil Salt Bhi, Bohat Se Naam Hain Jo Karachi Aur Lahore Mein Action Mein Nazar Ayen Gay. Yoon Pakistan Ko Aik Barri Team Ke Khilaf World Cup Ki Behtareen Tayari Ka Mauqa Miley Ga. Yeh Series Kon Jeetay Ga? On Paper To England Bohat Mazboot Hai, Lekin... Pakistan Bhi Kam Nahi Hai. Is Liye Muqabla To Hoga Tagrra!
Is Say Pehlay Agar Pak-England T20 History Dekhain to, Ye Pakistan Kay Liay Bhayanak Tareekh Hay. Jee Haan! Pakistan Ka England Ke Khilaaf Record Bohat Bohat Bura Hai. Aaj Tak Pakistan England Say 21 T20 Matches Khela Hai, Aur Jeeta Hai Sirf 6. Jee haan! Sirf Aur Sirf 6. Aik Match Tie Hua Tha, Woh Bhi Super Over Mein England Hi Jeeta Tha. Itna Bura Record To Hamara Kisi Team Ke Khilaaf Nahi, Haan! India Ko Chhor Den, Uss Se To Hum 11 Mein Se Sirf Teen Matches Jeetay Hain.
vs | Matches | Won | Lost | Tied | |
---|---|---|---|---|---|
Pakistan | England | 21 | 6 | 13 | 1 |
Pakistan Aur England Ka Pehla T20 2006 Mein Hua Tha. Pakistan England Ke Tour Par Tha, Jahan Pehli Baar Is Format Mein Dono Teamon Ka Muqaabla Hua Aur Jeeta Pakistan. Shahid Afridi Ne Zabardast Batting Ki Thi Aur Sirf 10 Gaindon Par Aik Chakka Aur Paanch Chokay Laga Kar 28 Runs Banaye Thay. Yani Pakistan Ka Kaam Bilkul Aasaan Kar Diya.
Laala Se Chhakay Khanay Ke Baad Taqreeban Teen Saal Tak Pakistan Aur England Ka Koi T20 Hua Hi Nahi. Yahan Tak Ke World Cup 2009 Aa Gaya, Jis Mein Pakistan England Se Haara Tha. Mazay Ki Baat Yeh Hai Ke Is Ke Bawujood World Cup Jeet Gaya. Kya Din Tha Woh Bhi, Pakistan, Lords Ka Maidan Aur Younis Khan Ke Hathon Mein World Cup Trophy. Hamari Cricket Ke Yadgar Dinon Mein Se Aik.
February 2010 Mein Pakistan Ne England Ke Khilaaf Aik Series Kheli UAE Mein, Jis Mein Do T20 Matches Bhi Thay. Pehla Match Pakistan Haar Gaya Lekin Doosray Mein Abdul Razaq Ka Jadu Bola Aur Sir Charrh Kar Bola. Unhon Nay Sirf 18 Balls Par Not Out 46 Runs Banaye Aur Pakistan Ko Jitwa Diya. Yani Series Hui Barabar!
T20 World Cup 2010 Mein Bhi Pakistan Aur England Ka Takrao Hua Tha. England Kevin Pietersen Ki Aik Shahkaar Innings Ki Wajah Se Jeet Gaya. Unhon Ne 52 Gaindon Par Not Out 73 Runs Banaye Thay. Waisay Baad Mein England World Champion Bhi Bana Tha.
Kher, Isi Saal Yani 2010 Mein Hi Pakistan England Ke Tour Par Gaya Tha, Qasam Se Wahan To Hamara Bohat Hi Bura Haal Hua. Dono Matches Haray, Doosray Mein To Sirf 89 Par All Out Ho Gaey Aur Aur Monh Latkaey Wapas Aa Gaey.
2012 Mein England Phir UAE Aaya. Is Tour Mein 3 T20 Matches Bhi Khailay. Pehla Hum Ne Jeeta, Series Mein Lead Li, Lekin Aglay Dono Matches Haar Gaey. Teesray Aur Aakhri T20 Mein To Pakistan Ko Sirf 130 Runs Ka Target Mila Tha. 76 Runs Tak Sirf 2 Out Thay Lekin Hum Se 8 Overs Mein 54 Runs Nahi Ban Sakay. Misbah-ul-Haq Ne 32 Balls Par Sirf 28 Runs Banaey Aur Ye Unn Ka Aakhri T20 Saabit Hua. Misbah Dobara Kabhi T20 International Nahi Khailay.
Phir Captain Badal Gaey, Team Badal Gai, Lekin Result Wohi Ka Wohi. 2015 Mein Dubai Aur Sharjah Mein Pak England T20 Series Hui Aur Yahan Pakistan Ke Sath Jo Hua, Woh Sab Se Bura Tha. Pakistan 3-0 Se Haara Yani, Aik Dam Clean Sweep. Doosray Match Mein Pakistan Sirf 3 Runs Se Haara Tha, Lekin Teesray Mein To Hadd Hi Ho Gai. 155 Runs Ka Target Tha Aur Sirf 11 Runs Par Hamaray 3 Out. Shoiab Malik Ne Bachanay Ki Poori Koshish Ki. 54 Balls Par 75 Runs Banaey Aur Uss Waqt Out Ho Gaey Jab Pakistan Jeet Se Sirf 2 Runs Ke Faaslay Par Tha. Ye Muqaabla Aakhir Mein Tie Ho Gaya Aur Super Over Mein Pakistan Ke Haath Pair Phhool Gaey. Sirf 4 Runs Ka Target Dia, Yoon Series Mein England Ne Kia Whitewash!
Pakistan Aur England Ka Agla T20 Taakra Hua 2016 Mein, Jab Pakistan England Kay Tour Par Gaya Tha. Yahan Aik Hi T20 Hua, Jis Mein Pakistan Ne Kamyabi Haasil Ki. Lekin 2019 Mein England Ne Is Ka Poora Poora Badla Liya. Tab Bhi Aik Hi T20 Khela Gaya Tha, Jis Mein Eoin Morgan Ki Dhuwan-Daar Batting Kay Samnay Pakistan Ne Surrender Kar Dia.
Pakistan Ne 2020 Mein Phir England Ka Tour Kia Aur Is Martaba 3 T20 Matches Khailay. Pehlay Match Mein Barish Ne Kaam Kharab Kia Aur Doosray Mein Hamaray Bowlers Ne, Jo 196 Runs Ka Total Bhi Defend Nahi Kar Sakay. Shaheen Afridi Ko To Sirf 3 Overs Mein 44 Runs Par Gaey. England Yahan To Jeet Gaya Lekin Aakhri Match Mein Pakistan Ne Aisa Nahi Honay Diya. England Ko 191 Runs Ka Target Mila Aur Woh Sirf 5 Runs Se Haar Gaya. Yoon Pakistan Ne Series Barabar Kar Di. Bachat Ho Gai!
Pakistan Aur England Ki Aakhri Series 2021 Mein Hui Thi, Jo England Mein Kheli Gai Thi. Pehla T20 To Bohat Hi Yadgar Tha. Babar Azam Ne 49 Balls Par 85 Aur Rizwan Ne 41 Gaindon Par 63 Runs Bana Kar 150 Ki Opening Partnership Di Aur Pakistan Ne 232 Runs Banaey. Is Ke Baad To Liam Livingstone Ki Century Bhi England Ko Bacha Nahi Saki. Waisay Pakistan Ko Teesra Aur Aakhri T20 Jeetna Chahiye Tha. 155 Runs Ka Target Dainay Ke Baad Spinners Ne Acha Khasa Match Phansa Liya Tha. Lekin Aakhri Over Mein England Sirf 3 Wickets Se Match Jeet Gaya Aur Sath Hi Series Winner Bhi Bana.
Yoon Pakistan Aaj Tak England Se Sirf Aur Sirf 2 Series Jeeta Hai, Woh Bhi Aisi Series Jin Mein One-Off T20 Tha Yani Sirf Aik Match. Home Ground Par To Pakistan Kabhi England Se Khela Hi Nahi. Yani Yeh Pakistan Ke Liye Jeetnay Ka Pehla Mauqa Hoga Aur Golden Chance Bhi.