‘Everything App’ Kya Hay? Elon Musk Ko Achanak Is Ki Kya Parr Gai Hay? Aur Ye Hoti Kya Hay? Aaen Aap Ko Bataty Hain.

Asal Main Ye Baat Tab Shuroo Hui Jab Elon Musk Nay 44 Billion Dollars Main Twitter Khareednay Ka Faisla Kia. Jis Kay Sath Unhon Nay Kaha Ke Wo Twitter Ko Sab Kamon Kay Liay Aik Hi App Banaey Gay. Naam Hoga 'X'.

Ye App Banay Gi Kaisay? Ye To Nahi Pata. Laikin Hum Ye Zaroor Jantay Hain Ke Everything App Hoti Kya Hay.

Everything App Ko Asal Main Super App Kehtay Hain, Jis Ka Idea Asia Main Buhat Hit Hay. Ab Dunya Ki Doosri Companies Bhi Isay Copy Karnay Ki Koshish Kar Rahi Hain.

Raftar Bharne Do
(Courtesy: South China Morning Post, Abacus)

Super Apps Mobiles Apps Ki ‘Har Fan Maula’ Apps Hain, Jin Main Messaging, Social Networking, Payment Aur Shopping Jaisi Sub Facilities Aik Jaga Hoti Hain. Ye Mega Apps Asia Main Buhat Mashoor Hain Kyunke Yahan Zyada Tar Laugon Ko Internet Mobile Par Hi Naseeb Hota Hay.

Super Apps Ki Sub Say Barri Misaal Hay China Ki ‘WeChat’. Aik Aisi Mega App Jis Kay Monthly Users 1 Billion Say Zyada Hain. Ye App China Main Daily Life Ka Buhat Ehm Hissa Hay. Social Networking Ho, Chahay Taxi Bulani Ho, Ya Kisi Ko Paisay Bhejnay Hon, Ya Khareedari Kartay Huay Payment Karni Ho, Sab Kaamon Kay Liay Yahi App Istamal Hoti Hay.

Is Kay Ilawa Aik Aur Super App South East Asia Ki 'Grab' Hay, Jo Food Delivery, On-Demand Package Delivery Aur Financial Aur Investment Services Bhi Deti Hay.

Raftar Bharne Do

Asia Say Bahar Super Apps Ka Koi Concept Nahi Hay. Isi Liay Musk Is Idea Par Kaam Karna Chah Rahay Hain. Twitter Ka Malik Bannay Kay Baad Wo Is Main Mazeed Options Aur Services Shamil Karkay Apnay Goal Ko Hasil Karna Chahtay Hain. Waisay Musk Ka Target Hay Twitter Users Ko 24 Crores Say 1 Arab Tak Lay Jana. Dekhtay Hain Aisa Kab Hota Hay?

شیئر

جواب لکھیں