Kya Aap Aik Student Hain? To Chahay Panchwin Main Parhte Hon Ya College Main, Time To Aap Kay Paas Bilkul Nahi Hoga. Bhala Aap Se Ziyada Busy Kon Hay Aajkal? To Parhai Kay Liye Waqt Kaisay Nikalen Gay Aur Nai Cheeze Kaisay Sekhen Gay? Is Kay Liye Aap Ki Jaib Main Hay Ala Deen Ka Chairag. Jee Haan! Wohi Smart Phone, Jis Ki Wajah Se Aap Bohat Busy Rehtay Hain. Usay Nikalen Aur Jo Apps Hum Bitanay Ja Rahay Hain Woh Install Kar Len, Bohat Kuch Sekhen Gay.
Arrey Nahi, Nahi, Hum Aap Ko Khan Academy Ka Nahi Bitayen Ge. Bohat Purani Ho Gayi Woh. Hum Jaen Ge Kuch Nai Apps Ki Taraf Aur Sekhen Ge Kuch Naya. Maslan Ye Dekhen, Ye Hay Photomath.
PhotoMath
Mathematics Ka Naam Suntay Hi Chehron Ka Rung Urr Jata Hay, Aankhon Kay Samnay Andhera Chah Jata Hay Aur Dil Doob Sa Jaata Hay. Aur Aakhir Aisa Kiun Na Ho? Is Sa Ziada Pakaoo Subject Hay Koi? Laikin Wo Din Guzar Gaey Jub Math Mushkil Hota Tha, Ab To Photomath Ka Zamana Hay, Jo Mushkil Say Mushkil Problem Bhi Aasani Say Hull Kar Deta Hay. Bus App Kay Zareeay Apnay Hath Say Likhay Ya Printed Sawal Ki Tasveer Lain, Phir Ye Aap Ko Sikhaey Gi Sawal Ka Jawab, Step By Step, Har Explanation Aur Instruction Kay Saath. Aur Kia Chahiye Aap Ko?
Quizlet
Exams Sar Par Hain, Aap Ne Revise Karna Hai, Apne Notes Ko Behtar Banana Hay Aur Phir Apna Test Bhi Lena Hay, To Quizlet Hay Na. Ye App Learning Ko Aasaan Banati Hay Aur Bohat Taiz Kar Deti Hai. Is App Main Kai Modes Hain: Learn, Flash Cards, Write, Test aur Match. Har Mode Main Aap Ko Apnay Subject Kay Hawalay Say Kai Tareeqay Milain Ge. Maslan Flash Cards Ko Hi Le Len, Ye Quizlet Ka Aik Khaas Feature Hain. Ye Memory Yani Yad-Dasht Taiz Karnay Main Baray Kaam Aatay Hain, Aur Is App Mein Lakhoon Flash Cards Hain. Balkay Aap Apnay Flash Cards Bhi Bana Satkay Hain Aur Share Bhi Kar Satkay Hain. Is Main Kai Games Bhi Hain, Taakay Aap Nay Jo Seekha Hay Us Ka Test Bhi Lain.
Seterra
Kia Aap Phir Geography Main Phans Gaey Hain? Naqshay Dekh Kar To Kai Log Waqai Naqshay Bazian Karnay Lag Jatay Hain. Agar Aisa Hai To Ye App Install Karen: Naam Hai Seterra. Ye Asal Main Aik Map Quiz Game Hay, Laikin Is Main Sirf Maps Nahi, Dunya Bhar Kay Flags Bhi Hain. Voice Feature Say Aap Ko Different Countries Aur Places Kay Names Ki Theek Pronunciation Bhi Pata Chalti Hai. Agar Aap Maps Aur Flags Samajhnay Main Hamari Tarah Zero Hain To Ye App Aap Kay Liay Learning Ka Kaam Bhi Karti Hay. Learn Karain Aur Jab Maps Say Zara Know How Ho Jaey To Phir Quiz Khalain Aur Udham Macha Dain. Waisay Aap Seterra Kay Maps Print Bhi Kar Saktay Hain. Ye Teachers Kay Liay Buhat Important Feature Hay.
Read Along by Google
Hum Nay Ab Tak Chhotay Bachon Kay Liay Koi App Nahi Batai. To Pyaray Bacho! Aaeay Aaj Aap Ki English Theek Karwatay Hain, Google Ki App Read Along Say. Is App Main Bachon Kay Liay 500 Say Ziada Stories Hain. Bachay Ye Stories Buland Awaz Main Parh Saktay Hain. Agar Parhtay Huay Koi Word Reh Jaey To App Usay Underline Kar Daiti Hay Aur Jo Word Bilkul Theek Parhay Jaen Yani Behtareen Pronunciation Kay Saath, Un Par Star Bhi Milta Hay. Is Say Bachon Ki English To Behtar Hogi Hi, Saath Hi Classroom Main Buland Awaz Say Parhnay Ka Confidence Bhi Milay Ga.
Evernote
Notes Lainay Hain, List Banani Hay, Different Pictures Aur Links Jama Karnay Hain To Evernote Istamal Karain. Is Ki Khaas Bat Ye Hay Keh Aap In Tamam Notes Ki Kisi Doosray Platform Aur Device Par Bhi Use Kar Saktay Hain. Phir Manage Karna Bhi Aasan Hay, Different Subjects Kay Liay Different Notes Banaen Aur Asan Access Kay Liay Unhain Tag Kar Dain. Evernote Main Colour Coding Bhi Hay Aur Highlighting Bhi. Waisay Microphone Feature Bhi Baray Kaam Ki Cheez Hay, Specially Un Kay Liay Jinhain Batain Yaad Nahi Rehteen.