Aajkal aik naya fashion chal para hay, har doosray banday kay paas fitness tracker ya smart watch hay. Ye aap ki din bhar ki physical activity ko monitor kartay hain. Yani aap din main kitna chalay hain? kitna dauray hain? yahi nahi balkay kitna soye hain? trackers ye sab note kartay rehtay hain. Agar aap bhi trackers pehntay hain to aap nay kai martaba suna hoga ke achhi sehat kay liye din main minimum10,000 steps chalna chahiyay. Ab to Tik Tok par bhi sab 10,000 steps ka ye magical number batatay rehtay hain.

Laikin sawal ye hay ke 10,000 ka ye figure aaya kahan say? Ye kis ki research hay? Kaunsi science kehti hay ke din main 10,000 steps chalna chahiyay? Haqeeqat ye hay key is ka science say koi ta’luq hi nahi hay. Asal main ye ghalat-fehmi hay, jo paida hui 1960 main Japan main, jab wahan fitness ka buhat craze aaya tha. Kai new products market main aain, unhi main say aik thi pedometer, yani wo device jo insan kay steps gin laiti thi.

Yamasa Company ki is device ka naam the Manpo-Kei matlab 10,000 steps meter. Ye naam kiun rakha gaya? Kiunkay Japan main 10,000 ko kuch is tarah likha jata hay: 万۔ jaisay koi aadmi chal raha ho. Unhain to andaza bhi nahi hoga ke log 10,000 ko itna serious lay lain gay.

Raftar Bharne Do
Daily 10,000 Steps Chalna Zaroori Hay? 1

Khair, is main koi shak nahi ke din main 10,000 steps chalnay say health buhata achhi hogi, laikin sawal ye hay ke kia minimum 10,000 steps zaroori hain? Us ka jawab hay “NAHI!”

Asal baat ye hay ke aap kitni speed say chal rahay hain? Agar aap mar mar kar steps utha rahay hain to 10,000 steps bhi aap ko utna faida nahi puhancha saktay, jitna tezi say uthnay waly 5,000 steps puhanchaen gay. Yani sirf steps count karna kafi nahi, speed bhi zaroori hay.

Sehat kay liay uthaya gaya har step qeemti hota hay, har physical activity aap ko behtar life ki taraf lay jaey gi. Kuch na karnay say kuch karna behtar hay, is liay minimum 2-3 thousand steps to uthaen, aur koshish karain tez chalain, warna fitness tracker pehnnay ka kia faida?

شیئر

جواب لکھیں