Cricket Rules : One Day cricket kay rules main aai hain kuch bari changes. Jo buhat important bhi hain aur zaroori bhi. Kuch changes aisi hain jin say batsman ko faida puhanchay ga aur kuch aisi hain jin se bowlers baray khush hon gay.
Pehli barri tabdeeli ye hay ke ab ball par saliva yani thook laganay par mukammal pabandi hogi. 2020 main jab Coronavirus aaya tha to usay phhailnay say roknay kay liye thook ka istemaal band kar diya gaya tha. Lekin ab usay pakka thakka qanoon bana diya gaya hai.

Doosri ahem tabdeeli hay ke ab catch hotay huay batsman kay cross karnay ki koi importance nahi hogi. Yani kisi batsman nay shot khaila, jab tak catch hua, tab tak dono batsman aik dosray ko cross kar gaey. Pehlay yeh hota tha ke agli ball non-stricker hi khailtaa tha lekin ab jo new batsman aaye ga, isi ko khailna paray ga. Ye batting side kay liye aik bara disadvantage hoga, Especially match sansani khaiz marhalay main ho to.

Phir rules main aik bari tabdeeli yeh hai ke Mankad ko legalise kar dia gaya hay. bowler apnay stride main daakhil honay se pehlay agar non-striker ko run-out kar day to bohat hungama hota tha. Is liye kiunkay cricket rules main usay Unfair Play ke hissay main likha gaya tha. Lekin ab isay Unfair Play say nikaal kar Run Out section main daal diya gaya hay. Yani ab batsman ye undue advantage nahi le sakay ga.

Bowler ka run up shuru honay kay baad fielding main koi change nahi kia ja sakta, aur koi fielder intentionally apni jagah nahi badal sakta. Aisa karnay par batting side ko 5 penalty runs milain gay aur ball bhi dead-ball count hogi.

Ab batsman ka pitch ki limits main rehna bhi zaroori hoga. Yani is kay jism ya bat ka kuchh hissa pitch par hona chahiyay, warna umpire dead ball qarar day ga. Haan! agar bowler aisi ball phainkta hay, jis ki wajah se batsman pitch chhorney par majboor ho jaey to yeh no-ball hogi .

T20 main agar batsman out ho jata hai to aglay batsman kay paas strike lainay kay liye 90 seconds ka waqt hota hai. Test aur One Day main yeh 3 minute ka waqt hota tha lekin isay kam kar kay 2 minute kar diya gaya hay. Agar koi batsman ab 2 minute kay andar andar strike nahi laita to doosri team appeal kar ke usay Timed Out kar sakti hai .

Aakhri Baat, yeh bohat kam logon ko pata hoga ke agar bowler batsman ko crease say bohat agay nikalta huwa dekh kar apne bowling stride main daakhil honay se pehlay run out bhi kar sakta tha. Lekin ab is par pabandi laga di gai hay. Agar koi bowler aisa karta hay to woh dead-ball count hogi.

Yeh saaray rules 1st october se lagoo hongay yani agla T20 world cupp in rules kay sath khela jaey ga.
Waisay aik aisa qanoon bhi hay jo aglay saal nafiz hoga. Hum nay abhi Asia Cup main daikha ke Pakistan ke khilaaf aakhri over main India ko sirf 4 fielders circle say bahar kharray karnay ki ijazat mili thi. Jis ka faida uthatay huay Pakistan nay match jeet liya. Lekin aisa huwa kyun? asal main T20 main slow over rate par saza di jati hay. Ab yahi rule One Day cricket main bhi hoga. Aglay saal say agar koi team apne diye gaey waqt main 50 overs nahi phhaink saki, to usay baqi overs sirf 4 fielders circle say bahar kharray karnay ki ijazat hogi.

شیئر

جواب لکھیں