Queen Elizabeth
Bilaakhir Chali Gaeen. Baqi Dunya Ko To Afsos Tha Hi, Cricket Bhi Is Ki Zadd Main Aa Gai. England Aur South Africa Ka Aakhri Test Chal Raha Tha, Pehlay Din Barish Ho Gai Aur Doosray Din Queen Chali Gaeen, Yani Jo Series Decider Match Tha, Us Main 2 Din Ka Khail Zaya Ho Gaya.
Yahan Aik Sawal Paida Hota Hay: Barish Ki Waja Say To Cricket Ruk Jati Hay, Maidan Geela Ho Tab Bhi Match Nahi Khaila Jata. Kabhi Barfbaari Ho, Sandstorm Aa Jaey Ya Khuda Na Karay Terrorist Attack Ho Jaey To Match Cancel Hona Samajh Aata Hay. Laikin Kisi Non-Cricketing Personality Ka Marr Jaana Aur Us Ki Waja Say Match Roke Daina? Aisa Buhat Buhat Kam Hua Hay.
Aur Hairat Ki Baat Ye Hay Ke Khud Queen Elizabeth Say Pehlay Un Kay Father Kay Intiqal Par Bhi Yahi Hua Tha. Un Ka Naam Tha George, King George VI. Pakistan Aur India Unhi Kay Daur Main Aazad Huay Thay Aur Lagta Hay Unhain Is Baat Ka Bara Afsos Tha. Kiunkay Ziada Cigarettes Peenay Ki Waja Say Unhain Lungs Ka Cancer Ho Gaya. Yoon Sirf 56 Years Ki Age Main Hi Dunya Chhor Gaey.
Ye Saal Tha 1952 Ka Aur Maheena Tha February. Tab England Ki Cricket Team India Kay Tour Par Thi. Series Kay 4 Test Matches Ho Chukay Thay Aur 5th Aur Last Test Baqi Reh Gaya Tha. 6th February Ko Jis Din Ye Match Shuroo Hua, Usi Din Khabar Mili Ke King George Vi Ab Is Dunya Main Nahi Rahay.
To Aglay Din Ka Khail Band Kar Diya Gaya, Yani King Ki Yaad Main Cricket Roke Di Gai. Is Match Ki Khaas Baat Ye Hay Ke England Pehli Baar India Say Koi Test Match Haara. Wo Bhi Poori Innings Aur 8 Runs Kay Margin Say. Chalain, George Sahib Jatay Jatay India Ko Koi Faida To Puhancha Gaey!
Waisay 1984 Main Khud India Receiving End Par Aa Gaya Tha. Tab Wahan Government Thi Indira Gandhi Ki, Jo Barri Powerful Prime Minister Theen, Laikin 31st October 1984 Ko Apnay Hi Guards Kay Haathon Qatal Ho Gaeen. Un Dinon Indian Cricket Team Pakistan Kay Tour Par Thi. 3 Test Aur 3 One Day International Matches Ki Series Thi. Jin Main Say 2 Test Aur 1 Odi Ho Bhi Chuka Tha. Jis Din Sialkot Main Doosra Odi Tha, Usi Din Indira Gandhi Ka Qatal Ho Gaya.
Is Match Main To India Batting Bhi Kar Chuka Tha Aur Indian Team Ko Lunch Main Pata Chala Ke Pradhan Mantri Ki Hatya Ho Chuki Hay. Team India Nay Foran Apnay Mulk Wapis Janay Ka Faisla Kiya. Yoon Na Sirf Odi Balkay Series Kay Remaining Matches Bhi Ho Gaey Cancel.
January 2020 Main Oman Main Aik Tri-Angular Series Chal Rahi Thi, Jis Main Namibia Aur Uae Bhi Khail Rahay Thay. Tab 11th January 2020 Ko Oman Aur Uae Ka Aik Match Hona Tha, Laikin Aik Din Pehlay Oman Kay Sultan Qaboos Bin Said Ka Intiqaal Ho Gaya. Shah Sahib Ki Wafat Kay Baad Na Sirf Ye Match Balkay Tournament Hi Khatam Kar Diya Gaya.
Chalain, Ye To Badshah Log Thay, Un Par Jachta Bhi Tha. Laikin Cricket Main Aisa Bhi Hua Hay Ke Kisi Player Kay Marnay Ki Waja Say Match Roke Diya Gaya. Shayad Aap Ko Yaad Bhi Ho, Australia Kay Aik Batsman Phillip Hughes. 2014 Main Aik Match Mai Un Kay Sar Par Aik Bouncer Lag Gaya, Behosh Ho Gaey Aur Kuchh Din Baad Hospital Main Dum Torr Diya. Is Khabar Nay Sub Ko Hila Kar Rakh Diya Tha. Unhi Dinon Pakistan Aur New Zealand Ka Aik Test Bhi Chal Raha Tha. Jis Main Aik Din Ka Play Ho Chuka Tha Aur Yeh Afsosnaak Khabar Aa Gai. Tab Doosray Din Ka Khail Roknay Ka Ailan Kar Dia Gaya.
Waisy Ye Aik Din Pakistan Ko Buhat Mehnga Parr Gaya Tha, Series Main Hamari Lead Thi, Laikin Lagta Hay Achanak Khail Ruk Janay Say Pakistan Ka Momentum Toot Gaya. Aakhir Main Pakistan Yeh Match Innings Aur 80 Runs Say Haar Gaya. Yoon Test Series Draw Ho Gai. Yahi Nahi Baad Main Pakistan T20 Series Bhi Nahi Jeet Paya Aur Odi Series Bhi Haar Gaya, Yani Itna Ghum?