Windows 11 Ko Market Mein Aaey Huay 1 Saal Ho Chuka Hay, Laikin Ab Bhi Windows 10 Ka Raj Chal Rahay Hay. Lagta Hay Koi Windows 11 Use Hi Nahi Kar Raha.

Windows 11 Microsoft Kay Operating System Ka Latest Version Hay, Jo 2015 Mein Launch Ki Gai Windows 10 Kay Baad Aai Thi. Is Main Windows Interface Ko Zara Modern Bhi Banaya Gaya Tha Aur Windows 10 Main Jo Kami Beshi Thi, Usay Bhi Poora Kia Gaya. Kuchh Features Nikalay Gaey, Buhat Say Dalay Gaey Aur Barray Zor-O-Shor Kay Sath Launch Kia Gaya. Laikin Ye Kya Hua?

Windows 11, Market Share

Source: StatCounter Global Stats - Windows Version Market Share

Aik Saal Guzar Chuka Hay Aur Haal Ye Hay Ke Sirf 15 Percent PCs Par Hi Latest Windows 11 Installed Hay. Ye To Windows 10 Ki First Year Performance Say Buhat Peechay Hay. Yani Windows 10 Users Ko Windows 11 Par Free Upgrade Denay Ka Bhi Faida Nahi Hua.

Windows 10 Ka Aaj Bhi Sub Say Aagay Hona Microsoft Kay Liay Buhat Buri Khabar Hay. 71 Percent PCs Par Aaj Bhi Windows 10 Installed Hay. Is Kay Muqablay Mein Windows 11 Ka Share 15.45 Percent Hay, Jabkay 9.62 Percent Computers Par Aaj Bhi Windows 7 Chal Rahi Hay.

Windows 11 Shuroo Mein To Limited Release Thi. 2022 Kay Start Mein Is Ka Market Share Taqreeban Zero Tha. Laikin Phir Isay Buhat Phelaya Gaya, Phir Bhi Monthly Growth 1 Percent Say Kam Hi Rahi.

Is Kay Muqablay Mein Windows 10 Ka Start Zabardast Tha. First Year Mein Windows 10 Ka Market Share Aaj Kay Windows 11 Kay Share Say 2 Guna Zyada Tha.

Akhir Waja Kya Hay?

Aik To Windows 10 Buhat Stable Hay, Itni Kay Users Nay Upgrade Ki Zarurat Hi Mehsoos Nahi Ki. Windows 10 Ka Market Share Pooray Saal 70 Say 73 Percent Raha.

Agar Windows 11 Ki Growth Aisay Hi Rahi To Isay Windows 11 Ko Peechay Chhornay Main Kai Saal Lag Jaen Gay.

Asal Mein Microsoft Windows 11 Ki Installation Kay Liay Minimum Requirement 8th Generation Processors Aur Tpm 2.0 Security Module Ki Hay. Pehli Aur Barri Waja To Yahi Hey. Zyada Tar Users Kay System Itnay Advance Nahi, Is Liay Majboori Ka Naam Shukriya, Windows 10 Hi Kafi Hay.

Phir Windows 10 Itni Stable Bhi Hay Ke Kisi Ko Upgrade Karnay Ki Zarurat Mehsoos Hi Nahi Ho Rahi. Windows 10 Kay Users Next 3 Saalon Tak Is Kay Mazay Lay Saktay Hain. Microsoft October 2025 Tak Is Ki Security Updates Deta Rahay Ga. Us Kay Baad Sochain Gay Ke Windows 11 Par Jana Bhi Hay Ya Nahi.

شیئر

جواب لکھیں