Supreme Court Of Pakistan Nay Shahzaib Qatal Case Kay Mulzim Shahrukh Jatoi Ko Sathiyun Samait Bari Kerdiya.

18 October Ko Supreme Court May Justice Ijaz ul Hasan Ki Sarbarahi May Supreme Court Kay 3 Rukni Bench Nay Shahzaib Qatal Case May Shahrukh Jatoi Samait Deegar Mulziman Ki Baryat Ki Darkhawst Per Samaat Ki.

Mulziman Kay Wakeel Latif Khosa Nay Adalaat Ko Bataya Kay Dehshatgardi Kai Hawalay Say Supreme Court Ka Faisala Wazaih Hay, Mulziman Ka Dehshat Phailanay Ka Koi Irada Nahe Tha, Iss Qatal Ko Dehshatgardi Ka Rung Diya Gaya. Unhonay Kaha Kay Fareqain Ka Pehlay Hi Razi Nama Ho Chuka Hay, Iss Liya Mulziman Ko Bari Kiya Jaye.

Fareqain Kai Dalail Sunay Kay Baad Supreme Court Nay Shahrukh Jatoi Samait Tamaam Mulziman Ko Bari Kerdia.

Shahrukh Kai Wakeel Latif Khosa Nay Adaalat Kai Faisalay Kay Baad Sahafiyun Say Baat Kertay Hoay Kaha Kay Islam May Afu o Darguzar Ka Zikar Hay, Maqtoul Kay Khandan Ki Shahrukh Jatoi Say Sulah Hogai Hay.

Latif Khosa Nay Kaha Kay Jab Sulah Kerli Hay Tou Kuch Kehnay Ki Zarorat Hi Nahe, Koi Baray Ya Choutay Pun Ki Baat Nahe Rehti.

Unhonay Kaha Kay Islam May Hay Kai Jab Sulah Hojai Tou Phir Who Jurm Hi Nahe Rehta.

شیئر

جواب لکھیں