Aaj Hay 15 October, Babar Azam Ka Birthday. Aur Ye Birthday To Buhat Hi Special Raha, Kiunke Isay Manaya T20 World Cup Kay Sub Captains Nay.

Ji Haan, World Cup Say Pehlay Trophy Kay Sath Sub Captains Ka Photo Session Hua. Jis Main Australia Kay Captain Aaron Finch Babar Azam Ka Birthday Cake Lay Kar Aa Gaey. Phir Tamam Captains Nay Aik Special Birthday Party Ki. India Kay Rohit Sharma Say Lay Kar New Zealand Kay Kane Willamson Tak, Sub Is Party Main Shareek Thay, Jinhon Nay Gaaya ‘Happy Birthday To You Babar!”. Yani Ye Aik Buhat Unique Moment Tha.

Babar Is Waqt One Day International Main No. 1 Batsman Hain. Phir Test Aur T20i Format Main Bhi Top 3 Main Shamil Hain, Yani Only Player Jo Sub Rankings Main Top 3 Main Hain. Phir Un Kay Paas Kai Records Bhi Hain. Aaen Aaj Babar Ki Birthday Par Un Kay Kuchh Records Dekhtay Hain.

Highest ODI Average For Pakistan

Babar Azam ODI Main Sirf No. 1 Batsman Hi Nahi, Balkay Wo Pakistan Kay Liay Sub Say Ziada Batting Average Bhi Rakhtay Hain. 92 Matches Main Babar Nay 4664 Runs Banaey Hain Aur Un Ka Average 59.79 Hay. Ye South Africa Kay Rassie Van Der Dussen Aur Netherlands Kay Ryan Ten Doeschate Kay Baad Kisi Bhi Batsman Ka Sub Say Ziada Average Hay, Yani Kisi Pakistani Batsman Ka Highest Average Hay.

Highest ODI Batting Average

Mat.RunsAve.
Rassie Van Der Dussen 38152569.31
Ryan Ten Doeschate 33154167.00
Babar Azam92466459.79
Virat Kohli2621234457.68
Michael Bevan232691253.58

Tez Tareen 4000 Runs For Pakistan

Babar Azam Nay March 2022 Main Australia Kay Against Apnay 4000 ODI Runs Complete Kiay Thay. Wo Sirf 82 Innings Main Is Milestone Tak Puhanchay. Hashim Amla Ka World Record To Nahi Torr Sakay Laikin Pakistan Kay Liay Fastest 4000 ODI Runs Zaroor Bana Liay. Is Say Pehlay Ye Record Mohammad Yousuf Kay Paas Tha Jinhon Nay 110 Innings Main 4000 Runs Banaey Thay.

Fastest to 4000 ODI Runs

Mat.InningsTime
Hashim Amla84815y 274d
Babar Azam84826y 302d
Vivian Richards96889y 311d
Shai Hope96885y 204d
Joe Root97914y 261d

CENTURIES, Wo Bhi Musalsal!

Babar Azam Nay Sirf 22 Saal Ki Umar Main Consecutive 3 ODI Centuries Banai Theen. 2016 Main West Indies Kay Khilaf Series Main Unhon Nay Musalsal 3 Matches Main 120, 123 Aur 117 Runs Ki Innings Khaili Theen. Is Tarah Un Ka Naam Zaheer Abbas Aur Saeed Anwar Jaisay Players Kay Saath Aa Gaya. Zaheer Abas Nay 1982-83 Main Aur Saeed Anwar Nay 1993 Main 3 Consecutive ODI Centuries Banai Theen. Laikin Babar Aik Lihaz Say Un Say Aagay Nikal Gaey. Unhon Nay Series Main 360 Runs Banaey Aur You 3 Matches Ki Kisi ODI Series Main Sub Say Ziada Runs Ka World Record Banaya.

Most Runs in 3 Matches ODI Series

SeriesRunsHSAve.
Babar AzamPak v WI 2016360123120.00
Imrul KayesBan v Zim 2018349144116.33
Quinton de KockSA v Ind 2013342135114.0
Martin GuptillNZ v Eng 2013330189*330.00
Tamim IqbalBan v Pak 2015312132156.00

Virat Kay Barabar

England 17 Saal Baad Pakistan Kay Tour Par Aaya Aur Is Series Main Babar Nay Aik Barra Record Banaya. Unhon Nay Apnay 3000 T20i Runs Complete Kiay Aur India Kay Virat Kohli Ka 81 Innings Main Fastest 3000 T20i Runs Ka Record Barabar Kia.

Fastest To 3000 T20i Runs

Mat.InningsTime
Virat Kohli878110y 275d
Babar Azam86816y 23d
Aaron Finch989811y 270d
Martin Guptill10510112y 261d
Rohit Sharma11610814y 50d

Consecutive 50+ Innings In International Cricket

Consecutive 50+ Innings In International Cricket

Babar Kay Paas Aik Aur Unique Record Hay. Unhon Nay International Cricket Main Yani All Formats Main 9 Consecutive 50+ Ki Innings Khaili Hain.

Australia Kay Khilaf Karachi Test Main 196 Runs Ki Famous Innings Khailnay Kay Baad Unhon Aglay Matches Main 5 Fifties Aur 3 Hunderds Bhi Banai Theen. Ye Aik Consecutive Matches Main 50+ Ki Innings Ka New World Record Hay.

Babar Azam Consecutive 50+ Innings

RunsvsAtDate
196AustraliaKarachi12 Mar 2022
67AustraliaLahore21 Mar 2022
55AustraliaLahore21 Mar 2022
57AustraliaLahore29 Mar 2022
114AustraliaLahore31 Mar 2022
105*AustraliaLahore2 Apr 2022
66AustraliaLahore5 Apr 2022
103West IndiesMultan8 Jun 2022
77West IndiesMultan10 Jun 2022
شیئر

جواب لکھیں