India Ki Famous Edu-Tech Company Byju’s Nay Aik Taraf “Sorry” Keh Kar 2500 Apnay Employees Nikal Diay, Laikin Kuchh Din Main Hi Lionel Messi Ko Apna Brand Ambassador Bana Dia Hay.

Pehlay Byju’s Nay Logon Ko Ye Keh Kar Nikala Ke Company Ko Financial Crunch Ka Samna Hay. Laikin Sirf 3 Din Baad Company ‘Global Expansion’ Kay Naam Par Aik Icon Player Ko Hire Karti Hay. Samajh Nahi Aai Boss!

Shayad Ye Paisa Employees Ko Nikaal Kar Hi Jama Kia Gaya Hoga. Kyunke Messi Dunya Kay Sub Say Zyada Kamanay Walay Players Main Say Aik Hain. Un Ki Income Almost 130 Million USD Hay.

Byju’s Nay Messi Ko Kitna Paisa Dia? Ye To Nahi Pata Laikin Is Level Kay Player Ko Ambassador Banana Barra Paisa Mangta Hay. 

Phir Yahi Nahi, Byju’s Nay Next Month Start Honay Walay Fifa World Cup Ka Official Sponsor Bhi Hay. Is Kay Liay Company Almost 40 Million Dollars Kharch Kar Rahi Hay. Aur Sub Say Barh Ka Byju’s Indian Cricket Team Ka Sponsor Bhi Hay, Jo India Ki Sub Say Mehngi Sponsorships Main Say Aik Hay. BCCI Kay Sath Jo Contract Renew Kia Gaya Hay, Wo 55 Million Dollars Ka Hay.

Lionel Messi Byju's Kay Sath, Public Kya Kehti Hay?

Is Par Ghussa To Banta Hay. Social Media Par Aag Lagi Hui Hay. Company Ki Advertising Aur Sales Practices Par Pehlay Hi Criticism Tha, Ab Messi Aisay Waqt Main Brand Ambassador Bana Kar Byju’s Nay Khud Par Tanqeed Ka Darwaza Khol Dia Hay.

Kuchh Keh Rahay Hain Ke Lionel Messi Byju’s Kay Baray Main Research Kartay To Behtar Tha.

Aik Nay Kaha Ke Meray Khayal Main Barcelona Chhorna Messi Kay Career Ka Lowest Point Tha, Laikin Ye To Is Say Bhi Gira Hua Muqam Hay.

Aik User Nay Kaha Ke Is Ki Koi Logic Nahi Banti. Aik Taraf Byju’s Logon Ko Nikal Raha Hay, Aur Doosri Taraf International Start Ko Sign Kar Rahay Hay. Marketing Important Hay Laikin Utni Nahi Jitnay Employees Hotay Hain.

شیئر

جواب لکھیں