Morocco FIFA World Cup 2022 Kay Semi Final Tak Puhanchnay Wala Pehla African Aur Arab Mulk Zarur Hay, Laikin Wo Pehla Muslim Mulk Nahi Hay. Jaisa Ke Kal Say Buhat Say Logon Ko Ye Ghalat Fehmi Hui Hay. Yahan Tak Ke Apnay ‘Khan Sahib’ Bhi Itwar Ko Subah Subah Jaag Gaey Aur Tweet Kar Dala Ke Koi Arab, African Aur Muslim Team “Pehli Baar” FIFA World Cup Semi Final Mein Puhanchi Hay. 

Na Khan Sahib Na! Kisi Muslim Majority Country Ka World Cup Semi Final Wala Aizaz Morocco Ka Nahi, Balkay Turkey Kay Paas Hay. 20 Saal Pehlay 2002 Mein Turkey Semi Final Khelnay Wala Pehla FIFA World Cup Muslim Country Bana Tha.

Wo Bhi Kya World Cup Tha! Turkey Semi Final Tak Puhancha Tha Aur Baad Mein 3rd Position Bhi Haasil Ki Thi. Laikin Turkey Ki ‘FIFA Kahani’ Hay Bari Ajeeb. To Aayen Na, Ye Ghalat Fehmi Door Honay Kay Baad Zara Turkey Ki Ye Dastan Parhtay Hain.

Pehla World Cup

Turkey 1923 Say FIFA Ka Member Hay, Jis Nay 1950 Kay World Cup Kay Liay Qualify Bhi Kia Tha, Laikin Financial Problems Ki Waja Say Ye Tournament Khela Nahi Tha. Turkey Nay 1954 Kay Next Tournament Kay Liay Bhi Quailfy Kia Aur Ye Us Ka Pehla FIFA World Cup Bana. Jis Mein South Korea Kay Against 7-0 Ki Aik Fatah Key Bawujood Turkey Ko West Germany Kay Hathon 2 Bad-Tareen Shikastain Huin. Pehlay Group Match Mein 4-1 Aur Play-off Mein 7-2 Say. Aur Us Kay Baad Chiraghon Mein Roshni Na Rahi! 

FIFA World Cup Muslim Country
Turkey vs West Germany 1954 Kay FIFA World Cup Mein (Photo: Getty Images)

Turkish Football Ki ‘Meraj’ 

Aglay 48 Saal Tak Turkey Phir Kabhi World Cup Nahi Khel Saka, Yahan Tak Ke 2002 Aa Gaya. Wo Saal Jisay Hum Turkish Football Ki ‘Meraj’ Keh Saktay Hain. Is World Cup Mein Turkey Group C Mein Tha, Jis Mein ‘The Greatest’ Brazil Kay Ilawa Costa Rica Aur China Bhi Thay. Apnay Pehlay Match Mein Brazil Say 2-1 Say Haarnay Kay Baad Turkey Nay Acha Comeback Kia. Costa Rica Say Barabar Khela Aur Phir China Ko 3-0 Say Hara Kar Next Round Mein Puhanch Gaya. 

Round Of 16 Mein Turkey Nay Host Japan Ko 1-0 Say Haraya. Phir Asia Kay Baad Quarter Final Mein Africa Kay Sapnay Bhi Toray Aur Senegal Ko Extra Time Mein Golden Goal Par Shikast Day Kar Semi Final Mein Puhanch Gay. Yahan Muqabla Parr Gaya Brazil Say. 1-0 Say Shikast Hui. World Cup Final To Nahi Mil Saka Laikin Turkey Nay 3rd Position Kay Match Mein Host South Korea Ko Zarur 3-2 Say Hara Kar Podium Par Jaga Zarur Banai. Is Match Mein Hakan Sukur Ko 10.8 Seconds Mein Kia Gaya Goal Aaj Bhi FIFA World Cup History Ka Fastest Goal Hay. 

Phir Kya Hua? 

Itni Shandaar Performance Kay Baad Bhi Turkey Dobara Kabhi World Cup Kay Liay Qualify Nahi Kar Saka. 2006 FIFA World Cup Kay Liay Wo Switzerland Say Away Goals Ki Bunyad Par Haara. Us Kay Baad Qualify Karnay Ka Qareebi Tareen Ma’mla 2018 Kay World Cup Mein Aaya. Laikin Most Important Match Mein Iceland Say 3-0 Ki Shikast Kha Betha Aur Phir Finland Ko Haranay Mein Nakami Say Ye Mauqa Bhi Haath Say Nikal Gaya. 

2022 FIFA World Cup Kay Liay Turkey Nay Koshish To Bari Ki, Laikin Second Round Mein 8 Mein Say Sirf 1 Match Haar Kar Bhi Qualify Nahi Kar Saka. Play-Off Semi Final Mein Portugal Say Haar Khai Aur Aik Aur World Cup Dream Toot Gaya. 

Raftar Bharne Do
(Photo: AFP)

Hamaray Khayal Mein Turkey Jab Tak UEFA Yani Union of European Football Associations Say Nahi Niklay Ga, World Cup Kay Liay Qualify Karna Mushkil Hi Rahay Ga. Jab Turkey Ka 98 Percent Area Asia Mein Hay To Aakhir Wo Asian Football Confederation (AFC) Say Kyun Nahi Khelta? Is Ka Jawab To Turk Hi Day Saktay Hain. Waisay Shayad Is Ki Waja Financial Aur Social Ho, Kyunke Culturally Aur Naturally To Turkey Asian Country Hi Hay.

شیئر

جواب لکھیں