FIFA World Cup Sports World Ka Sab Say Bara Title Hay, Laikin Jeetnay Walay Ko Sirf Izzat, Shohrat Aur Naam Hi Nahi, Paisa Bhi Buhat Milta Hay. World Cup 2022 Ki Total Prize Money 440 Million Dollars Hay. Yani 1 Kharab Pakistani Rupay! Ab Is Main Say Kis Ko Kitnay Milain Gay? Aayen Aap Ko Batatay Hain.

Is World Cup Mein Total 64 Mein Say 62 Matches Ho Chukay Hain. Ab Muqabla Hoga First 3 Positions Kay Liay. Final Mein France Aur Argentina Khelain Gay Aur Third Position Kay Liay Morocco Aur Croatia Ka Muqabla Hoga. Laikin Paisa Sirf In 3,4 Teams Ko Nahi, Sab Ko Milay Ga.

Kya Prize Money Mein Izafa Hua Hay?

Jee Haan! 2018 Mein FIFA World Cup Prize Money 400 Million Dollars Thi, Jo 2014 Kay Muqablay Mein 42 Million Dollar Zyada Thi. Is Baar Ye Mazeed 40 Millions Kay Saath 440 Million Dollars Tak Ja Puhanchi Hay.

Last World Cup Mein France Champion Bana Tha To Usay 38 Million Dollars Diay Gaey Thay. Sunday 18th December Ko Agar France Title Defend Karnay Main Kamyab Ho Gaya To Usay 42 Million Dollars Milain Gay.

Baqi Teams Ko Kya Mila Gay?

Laikin Sirf Jeetnay Wali Nahi, Balkay World Cup Khenlay Wali Tamam 32 Teams Ko Sirf Qualify Karnay Par Hi 1.5 Million Dollars Diay Gaey Hain. 

Phir Group Stage Say Bahar Honay Walay Hain, Jinhain 9,9 Million Dollars Milay Hain. Yani Host Qatar Kay Ilawa Ecuador, Wales, Iran, Mexico, Saudi Arabia, Denmark, Tunisia, Canada, Belgium, Germany, Costa Rica, Serbia, Cameroon, Ghana Aur Uruguay Itnay Paisay Lay Kar Chalay Gaey.

Round Of 16 Say Bahar Honay Wali Teams Kay Liay Hongay 13,13 Million Dollars. Matlab USA, Senegal, Australia, Poland, Spain, Japan, Switzerland Aur South Korea Ko Ye Prize Money Mili.

Quarter Finals Mein Bahar Honay Walay Brazil, Netherlands, Portugal Aur England 17 Million Dollars Hasil Kar Sakay.

Ab Jo Semi Finals Mein Puhanchay, Unhain Dekhtay Hain. 4th Position Lainay Walay Ko 25 Aur Third Place Play-Off Jeetnay Wali Team Ko 27 Million Dollars Diay Jaen Gay.

Final Mein Argentina Aur France Muqabla Karain Gay. Jo Jeeta 42 Million Dollars Ka Haqdar Hoga, Aur Harnay Wala Bhi 30 Millions Lay Jaey Ga.

Statistic: Prize money awarded to the winners of the FIFA World Cup from 1982 to 2022 (in million U.S. dollars) | Statista
Find more statistics at Statista

Players Ko Kya Milta Hay?

Waisay Players Ko Apni Team Aur Football Associations Ki Taraf Say Bhi Bonus Miltay Hain. Kaun Si Team Kis Stage Tak Puhanchi Aur Us Kay Liay Kis Inaam Ka Ailan Kia Gaya Hay? Ye Depend Karta Hay. FIFA World Cup Ki Prize Money Mein Say Bhi Kis Player Ko Kitna Milay Ga, Is Ka Faisla Bhi Us Mulk Ki Association Hi Karti Hay.

Cricket World Cup Mein Kya Milta Hay?

Khair, 440 Million Dollars Ki Ye FIFA World Cup Prize Money Kitni Bari Hay, Is Ka Andaza Apnay T20 World Cup 2022 Say Laga Lain.

Cricket Kay Is Premier Event Ki Total Prize Money ‘Sirf’ 5.6 Million Dollars Hay. Jee Haan! Total Prize Monay. Is Main Say Jeetnay Walay Ko 1.6, Runner Up Ko 0.8 Aur Semi Finalists Ko 0.4 Million USD Each Milay.

Phir T20 World Cup Ki Super 12 Stage Mein Har Match Jeetnay Par 40,40 Thousand Dollars Milay Aur Is Stage Say Hi Bahar Ho Janay Wali Teams Ko Bhi 40,000 Dollars Day Kar Alvida Keh Dia Gaya. First Round Say Bahar Honay Wali 12 Teams Ko Bhi Itnay Hi Milay.

Andaza Laga Lain, Cricket Ko Arbon Log Dekhtay Hain, Aur Football Kay Baad Ye Dunya Ka 2nd Most Popular Sports Hay. Laikin Maal Main Donon Ka Koi Muqabla Nahi.

شیئر

جواب لکھیں