T20 World Cup 2022 Ka Super 12 Round Aik Super Match Kay Sath Shuroo Ho Gaya, Jis Main New Zealand Nay Australia Ko 89 Runs Ki Heavy Duty Shikast Day Di Hay. Jee Haan! 92 Main Bhi Aisa Hi Hua Tha.
Last T20 World Cup Ki Ye Finalists Teams Is Baar Tournament Kay Main Round Kay First Match Main Hi Aamnay Samnay Aaeen. Sydney Main Toss Jeeta Australia Nay Aur Aik Barri Ghalti Kardi Ke New Zealand Ko Batting Day Di.
ICC T20 World Cup 2022, 13th Match
Australia vs New Zealand
22 October 2022
Sydney Cricket Ground, Sydney, Australia
Result: New Zealand 89 Runs Say Jeet Gaya
New Zealand | 200-3 | |
---|---|---|
Devon Conway | 92 (58) | |
Finn Allen | 42 (16) |
Aus Bowling | O | M | R | W |
---|---|---|---|---|
Josh Hazlewood | 4 | 0 | 41 | 2 |
Adam Zampa | 4 | 0 | 39 | 1 |
Australia | (T: 201) | 111 |
---|---|---|
Glenn Maxwell | 28* (20) | |
Pat Cummins | 21 (18) |
NZ Bowling | O | M | R | W |
---|---|---|---|---|
Tim Southee | 2.1 | 0 | 6 | 3 |
Mitchell Santner | 4 | 0 | 31 | 3 |
Batting Miltay Hi Kiwi Openers Nay To Australia Say Purani Dushmani Nikali. Especially Finn Allen Nay, Jinhon Nay Mitchell Starc Kay First Over Main 2 Fours Aur 1 Six Lagaya Aur Phir Pat Cummins Ka Bhi Yahi Haal Kia. Ye Best Start Tha Jis Nay New Zealand Ko Aisa Upper Hand Dia Ke Wo Phir Match Say Bahar Nahi Ho Saka.
Finn Allen Ki 16 Ball 42 Runs Ki Innings World Cup Kay Super 12 Round Ka Perfect Start Thi. Aap Ka Pehla World Cup Ho, Muqabla Defending Champion Say Ho, Wo Bhi Usi Kay Home Ground Par, Phir Pehla Over Hi Mitchell Starc Jaisay Bowler Ka Ho To Pressure Parr Jata Hay, Laikin Finn Allen Par Koi Pressure Nazar Hi Nahi Aaya.
Power Play Nay Match Ki Tone Set Kardi, Jis Kay Baad Har Taraf Conway, Conway Ho Gai. Wicket Keeper Devon Conway Nay 58 Balls Par Not Out 92 Runs Banaey. In Ki Innings Main 2 Sixes Aur 7 Fours Shamil Thay. Aakhir Main James Neesham Nay 13 Balls Par 62 Runs Banaey Aur Last Ball Par Six Kay Sath New Zealand Ko 200 Kay Milestone Tak Puhancha Dia.
Australia Ki Bowling Line Ki Aaj ‘Kanpein Tang’ Gaeen. Josh Hazelwood Nay 2 Wickets To Leen Laikin 41 Runs Diay. Pat Cummins To 46 Runs Kha Kar Gaey Aur Starc Ko 36 Runs Parray.
Aik Barra Target Chase Kartay Huay Australia Nay Worst Possible Start Lia. Sub Say Pehlay David Warner Gaey, Jo Zara Unlucky Rahay. Tim Southee Ki First Ball Un Kay Bat Say Edge Lay Kar Thigh Pad Par Lagi Aur Uth Gai, Yahan Warner Ka Ghoomta Hua Bat Dobara Ball Ko Laga aur Wo Wickets Main Ghuss Gai.
Southee Nay Baad Main Mitchell Marsh Ko Bhi Out Kia Jabke Aik End Say Mitchell Santner Nay Tabahi Macha Di. Unhon Nay Aaron Finch, Marcus Stoinis Aur Tim David Ki Wickets Lay Kar Australian Middle Order Urra Kar Rakh Dia. Ish Sodhi Nay Glenn Maxwell Ko Out Kia Aur Aakhri Umeed Bhi Khatam Kardi. Yani Hum Keh Saktay Hain Ke Is Match Main Spinners Important Factor Sabit Huay. Australia 18th Over Main Sirf 111 Runs Par All-Out.
Ye Last 11 Years Main New Zealand Ki Australia Main Pehli Kamyabi Hay. Aur Is Jeet Nay Net Run Rate Ko Jo Boost Dia Hay, Is Ka Faida To Baad Main Nazar Aaey Ga.