Pakistan Cricket Mein Buhat Talent Hai, Lekin Uss Se Bhi Bara Hai… Yeh Trash Can! Buhat Sa Talent Gaya Hai Iss Mein. Aur Yeh Koi Aaj Ki Baat Bhi Nahi, Balkay Yeh Kahani Hai Buhat Purani.

Aaen Aaj Baat Karte Hain Unn Cricketers Ki, Jo Buhat Talented Thay, Hum Ne Dekha, Duniya Ne Dekha… Lekin Phir Achanak Team Se Bahar Ho Gaye Aur Aisay Gaye Ke Dobara Kabhi Nahi Nazar Nahi Aaye.

Kisi Ki Body To Kisi Ka Character Dheela Nikla, To Koi Aisa Jo Big Boss Ki Good Book Mein Nahi Tha. Kuch To Aisay Thay Jo Aisi Tareek Raahon Mein Maaray Gaye Ke Aaj Tak Puchhtay Phirtay Hain "Mujhe Kyun Nikala?"

Chalein Shuru Karte Hain Pehlay Khilari Se, Jinhon Ne 2009 Mein International Cricket Mein Qadam Rakha Aur Sab Ko Hairan Kar Diya. Maroof Tik Toker, Maaf Keejiye Ga, Batsman Umar Akmal Ki. Jinhein Chances Buhat Miley. 16 Test, 121 ODIs Aur 84 T20 Internationals Buhat Hotay Hain.

Umar Akmal Ka International Career

FormatMat.RunsHSAve.100s50s
Test16100312935.8216
ODI1213194102*34.34220
T20i8416909426.0008

Ye Mosoof Kabhi Kabhi Chalay Bhi Lekin Attitude Aisa Tha Ke Ke Kisi Se Nahi Bani. Aik Ke Baad Doosri Controversy Aati Gai Aur Aakhir Umar Akmal Ko Bahar Kar Diya Gaya. Hamesha Ke Liye.

Pakistan Cricket

‏Attitude Ki Baat Karen To Aik Bara Naam Mohammad Asif Ka Bhi Hai. Aisa Bowler Jisay Pakistani Glenn Mcgrath Kaha Jata Tha. Kevin Pietersen Say Lay Kar Hashim Amla Tak, Duniya Ka Har Bara Batsman Asif Ko Dekh Kar Kehta Tha "Ghabraana Nahi Hai." Aur Phir Ghabra Kar Out Bhi Ho Jata Tha.

Mohammad Asif Ka International Career

FormatMat.Wkts.BBAve.Econ5w
Test231066/4124.362.997
ODI38463/2833.134.710
T20i11134/1826.388.000

Ziyada Tar Logon Ko Sirf Lord’s Test Ki Match Fixing Yaad Hai Lekin Kahani Is Say Purani Hay. 2006 Mein Drug Test Mein Nakaam Hue, Pabandi Lagi, World Cup Se Bahar Kar Diye Gaye. Phir 2007 Mein Shoiab Akhtar Ke Hathon Maar Bhi Khayi Aur Pabandi Bhi Lagi. 2008 Mein Dubai Airport Par Drugs Ke Sath Pakray Gaye. Aur Phir Aa Gaya 2010, Jis Mein Asif Ne Sab Hadein Paar Kar Deen. Spot Fixing Ki, Na Ghalti Mani, Na Muafi Mangi. Phir 5 Saal Ki Pabandi Ne Career Samait Diya.

Pakistan Cricket
(Photo: Getty Images)

Asif Aik Living Example Hai Ke Agar Aap Ka Attitude Theek Nah Ho To Shohrat Ko Hazem Karna Kitna Mushkil Hota Hai.

Asif Ke Sath Sath Mohammad Amir Par Bhi Ban Laga Tha. Aisa Bowler Jis Ne Duniya Ko Hila Kar Rakh Diya Tha. Lagta Tha Waseem Akram Ka "Naya Janam" Hua Hai. Lekin Abhi Urrnay Hi Nah Paaya Tha Ke Par Kat Gaye.

Mohammad Amir Ka International Career

FormatMat.Wkts.BBAve.Econ5w
Test361197/6430.472.854
ODI61815/3029.624.771
T20i50594/1321.407.020

Kam Umar Thay, Apni Ghalti Maani, Muafi Mangi, Is Liye Pabandi Khatam Hotay Hi Board Ne Support Bhi Kia. Wapas Bhi Aaye Lekin Attitude Dekhen Ke Keh Dala ‘Mein Test Nahi Khelon Ga’. Aisay Kaisay Chalay Ga Bhai? New Board Intizamia Aayi To Aamir Big Boss Ki Good Book Se Bhi Bahar Ho Gaye. Ab Un Ki Wapsi Ka Koi Imkaan Nahi, Door Tak, Balkay Buhat Door Tak!

Pakistan Cricket

Spot Fixing Scandal Say Cricket Kay Trash Can Mein Janay Wala Teesra Naam, Far Far English Bolnay Wala Aik Parha Likha, Sanjeeda Aur Sath Hi Sath Talented Player, Salman Butt.

Salman Butt Ka International Career

FormatMat.RunsHSAve.100s50s
Test33188912230.46310
ODI78272513636.82814
T20i245957428.3303

International Cricket Mein 11 Centuries Aur 27 Fifties Koi Mamooli Baat Hai? Jin Mein Se 5 Centuries To India Ke Khilaaf, Jin Mein Se 4 Match Wining Theen. Lekin Salman Butt Spot Fixing Jaisay Ganday Kaam Mein Parr Gaye. Sabiq Pakistani Coach Jeff Lawson Ko To Yaqeen Hi Nahi Aaya. Adalat Mein Salman Butt Ke Character Witness Tak Ban Gaye. Lekin Haqeeqat Yeh Hai Ke Salman Butt Ne Apna Career Bhi Barbaad Kya Aur Doosron Ka Bhi.

Pakistan Cricket

Yeh Woh Player Thay Jinhon Ne Apne Pairon Par Khud Kulhaari Maari. Lekin Aik Player Aisa Hai Jis Ka Bahar Hona Aaj Bhi Aik Mystery Hai. Aisa Bowler Jis Ne Off-Spin Art Ko Zinda Kia. Woh Bhi Uss Zamane Mein Jab Ya To Fast Bowlers Ka Raaj Hota Tha, Ya Phir Shane Warne Jaisay Leg Spinner Ka. Yeh Thay "Doosra" Ijaad Karne Walay Saqlain Mushtaq!

Pakistan Cricket
(Photo: Getty Images)

Kya Aap Ko Pata Hai Saqlain Mushtaq Ne Apna Aakhri International Match Kis Umar Mein Khela Tha? Hum Batatay Hain: Sirf Aur Sirf 28 Saal Ki Umar Mein. Jee Haan! Aik, Sirf Aik Match Ki Kharab Performance Ko Bunyaad Bana Kar Saqlain Ko Hamesha Ke Liye Bahar Kar Diya Gaya. Taqreeban 500 International Wickets Lainay Wala Saqlain Maidan Se Chala Gaya Aur Phir Kabhi Pakistan Cricket Ke Liye Kheltaa Nazar Nahi Aaya.

Saqlain Mushtaq Ka International Career

FormatMat.Wkts.BBAve.Econ5w
Test4920810/15529.832.6413
ODI1692885/2021.784.296

Kuch Aisay Khilari Thay Jin Ki Qismat Buhat Kharab Thi. Maslan Imran Nazir. Shahid Afridi Ke Hotay Huay Power Hitting Mein Jitni Shuhrat Imran Nazir Ne Haasil Ki, Kisi Ne Nahi Ki Hogi. Woh Aik Phenomenal Player Thay.

Pakistan Cricket
Pakistan, Talent Ka Trash Can 1

Andaza Laga Len Ke Uss Zamane Mein Imran Nazir Ka T20 Strike Rate 135 Se Ziyada Tha. Lekin Bad Luck Dekhen, Inhen Achanak Arthritis Ho Gaya. Joron Ki Is Beemari Ne Imran Nazir Ka Career Khatam Kar Diya.

Imran Nazir Ka International Career

FormatMat.RunsHSAve.100s50s
Test842713132.8421
ODI79189516024.6129
T20i255007221.7303

To Janab! Ye Hay Pakistan Cricket Ka Talent Trash Can, Jis Mein Baaz Ko Un Ki Ghaltian Aur Baaz Ko Qismat Ki Sitam Zareefian Yahan Tak Laeen. Kehnay Ko To Trash Can Hay Laikin Tatolain To Is Mein Naey Aanay Walon Kay Liay Sabaq Hi Sabaq Hay.

شیئر

جواب لکھیں