Marcus Stoinis Ki Tez Raftar Fifty Nay Australia Ko Sri Lanka Kay Khilaf Important Match Jitwa Dia, Yahi Nahi Balke Net Run Rate Ko Bhi Kafi Behtar Bana Dia Hay.

Khali Khooli Power Play

Perth Main 158 Runs Chase Kartay Huay Australia Ka Start Unbelievably Slow Tha. Itna Slow Ke Power Play Main Aik Boundary Tak Nahi Lagi. T20i Ki History Main Top Teams Ko Dekhain To Ye ‘Karnama’ Sirf Pakistan Kay Paas Tha. 2014 Kay T20 World Cup Main West Indies Kay Khilaf Most Important Match Main Pakistan Power Play Aik Boundary Tak Nahi Laga Saka Tha. Baad Main 78 Runs Par All Out Ho Kar World Cup Ki Race Say Bhi Bahar Ho Gaya. Kia April Fool Tha Wo Bhi.

Khamoshi Kay Baad Ka Toofan

Laikin, Ye Australia Hay. Is Ki Khamoshi Kay Peechay Bhi Aik Toofan Hota Hay. Pehlay Glenn Maxwell Nay 12 Balls Par 23 Runs Banaey. Wo 13th Over Main Out Huay To Score Board Par Sirf 89 Runs Mojood Thay. 46 Balls Baqi Theen Aur 69 Runs Ki Zarurat Thi. Match Sri Lanka Ki Grip Main Tha, Jab Marcus Stoinis Aaey Aur Aatay Hi Chha Gaey.

Second Fastest T20i Fifty

Stoinis Nay Aao Dekha Na Tao Aur Lankan Bowlers Ko Urra Kar Rakh Dia. Unhon Nay Sri Lanka Kay Premier Spinners Ko Nishana Banaya. Pehlay Wanindu Hasaranga Ko Aik Over Main 2 Sixes Aur 1 Four Lagaya Aur Next Over Main Maheesh Theekshana Ko Bhi 3 Sixes Laga Diay.

Stoinis Nay Sirf 18 Balls Par 6 Sixes Lagaey Aur 4 Fours Ki Madad Say 59 Runs Banaey. Ausrtalia 17th Over Main Hi Target Tak Puhanch Gaya. Un Kay Kuchh Sixes To Bar Bar Dekhnay Kay Qabil Thay. Jaisa Ke Ye:

Ye T20 World Cup Main Kisi Australian Batsman Ki Fastest T20i Fifty Thi. Is Biggest Event Main Fastest Fifty Ka Record India Kay Yuvraj Singh Kay Paas Hay.

BallsScorevs.Year
Raftar Bharne Do Yuvraj Singh1258 (16)Raftar Bharne Do ENG2007
Raftar Bharne Do Marcus Stoinis1759* (18)Raftar Bharne Do SL2022
Raftar Bharne Do Stephen Myburgh1763 (23)Raftar Bharne Do IRE2014
Raftar Bharne Do Glenn Maxwell1874 (33)Raftar Bharne Do PAK2014
Raftar Bharne Do Shoaib Malik1854* (18)Raftar Bharne Do SCO2021

Best Spinner, Worst Bowling

Afsos Ki Baat Ye Hay Ke Sab Say Buri Bowling Sri Lanka Kay Best Bowler Nay Ki. Hasaranga Ko Sirf 3 Overs Main 53 Runs Parray, Jo Un Kay Career Ki Bad-Tareen Performance Hay.

Sri Lankan Innings

Is Say Pehlay Australia Ki Dawat Par Pehlay Batting Kartay Huay 157 Runs Banaey. Pathum Nissanka Nay Sub Say Ziyada 40 Runs To Banaey Laikin 45 Balls Khel Gaey. Dhananjaya De Silva Nay Bhi 26 Runs Kay Liay 23 Balls Istamal Keen. Is Kay Baad Aik Barra Target Dena Buhat Mushkil Ho Gaya Tha. Khair, Charith Asalanka Nay 25 Balls 38 Aur Aakhir Main Chamika Karuaratne Nay 7 Balls 14 Runs Kay Sath Apni Si Koshish Zaroor Ki.

Khair, Sri Lanka Kisi Na Kisi Tarah 157 Tak Puhanch Gaya. Laikin Faida Kuchh Nahi Hua, Stoinis Ka Toofan Aakhir Main Sab Baha Kar Lay Gaya.

Points Table

Ab Group 2 Main 4 Teams Kay Point Barabar Ho Gaey Hain. Sri Lanka Aur Australia Ka Masla Ye Hay Ke Un Ke 2 Matches Ho Chukay Hain. Agar Afghanistan Ya Ireland Nay Koi Upset Kardia To Phir To Tabahi Mach Jaey Gi.

شیئر

جواب لکھیں