Kaman Say Niklay Teer Zaban Say Niklay Talkh Alfaz Ki Tarah Kabhi Twitter Par Kiya Gaya Koi  Zehreela Tweet Bhi Dilon Par Zakhm Laga Jata Hay.

Maryam Nawaz Kay Aik Tweet Par Bhi Aisa Hi Hua. PMLN Ki Vice President Nay Apnay Kisi Follower Ka Tweet Retweet Kia. Is Tweet Main Marhoom Arshad Sharif Kay Taboot Ki Tasveer Laga Kar Jhootay Ilzam Aaid Kiye Gaye Thay. Maryam Nawaz Nay Likha Kay Main Ye Tweet Karna Nahi Chahti Thi Magar Is Main Insaniyat Kay Liye Sabaq Hay.

Raftar Bharne Do

Maryam Nawaz Kay Sharamnaak Tweet Par Fauri Radd-e-Amal Aana Shuru Hogaya Aur ‘Maryam Nawaz Sharam Karo’ Twitter Par Top Trend Main Shamil Ho Gaya. Maqtool Arshad Shareef Ki Bewa Javeria Siddique Nay Begum Kulsoom Nawaz Ki Beemari Aur Intqaal Par Kiye Gaye Apnay Tweet Post Kiye Aur Likha Kay 'Maryam Nawaz Sharam Kar. Allah Se Dar.'

Deegar Sarfeen Nay Bhi Kulsoom Nawaz Ki Beemari Aur Intqaal Kay Waqt Marhoom Arshad Sharif Kay Naik Tamannaon Ke Izhaar Ke Tweet Dobara Post Kiye. Arshad Sharif Nay Na Sirf Humdardana Tweet Kiye Thay Balkay Apnay Program Main Dua-e-Maghfirat Bhi Ki Thi.

Maryam Nawaz Kay Tweet Par Noon League Kay Liye Naram Gosha Rakhnay Walay Sahafi Bhi Bol Utthay. Shahzeb Khanzada Nay Isay Be Sharmi Ki Harkat Qarar Diya Aur Muafi Ka Mutalba Kiya.


Mazhar Abbas Aur Mujeeb-ur-Rahman Shami Nay Likha Maryam Nawaz Tweet Wapas Lain Aur Maazrat Karen.

Hamid Mir Aur Mehar Bukhari Nay Bhi Arshad Sharif Kay Puranay Tweet Post Kar Kay Maryam Ko Aaina Dikhaya.

Iqraar ul Hasan Ne Likha Zarf Ka Andaza Laga Lijiye, Arshad Sharif Yahan Bhi Jeet Gaya. Mubashir Luqman Ne Kaha Maryam Nawaz Ne Giri Hui Harkat Ki Aur Main Dua Karun Ga Kay Maryam Nawaz Hukumran Na Banain.

Aik Taraf Tanqeed Aur Mutalbay Thay Tou Dusri Taraf Maryam Nawaz Ki Hat Dharmi Barqarar Thi. London Main Wo Ghar Say Muskuratay Huye Nikleen Magar Jab Sahafi Ne Mutanaza Tweet Par Sawal Kiya Tou Muskurahat Ghayab Ho Gayi Aur Chehray Par Nagwari Kay Tasurat Aagaye. Sahafi Nay Dobara Sawal Kiya Tou Maryam Nawaz Nay Ghussay Say Usay Dekha Aur Aisay Munh Banaya Jaisay Un Ki Shaan Main Koi Gustaakhi Kar Di Gayi Ho.

Aakhir-e-Kar Jab Har Taraf Say Laan Taan Barhnay Lagi Tou Kai Ghanton Baad Mohtrma Nay Maazrat Ki Aur Tweet Wapas Lenay Ka Elan Kia. Magar Wo Phir Bhi Safaiyan Deti Raheen Kay Mera Ye Maqsad Nahi Tha Mera Wo Maqsad Nahi Tha.

شیئر

جواب لکھیں