Saudi Arabia Nay FIFA World Cup Mein Argentina Ko Kya Haraya, Messi Pareshan Aur Dunya Hairan Reh Gai. Ye Itni Bari Kamyabi Thi Ke Is Par Waqai Saudi Players Ko Inam Milna Chahiye Tha. Aur Phir Aik Khabar Aa Gai Aur Aatay Hi Viral Bhi Ho Gai, Ke Saudi Crown Prince Mohammad Bin Salman Team Kay Har Member Ko Aik Rolls-Royce Phantom Car Gift Karain Gay.

MBS Nay Ye Ailan Kahan Kia? Kab Kia? Kuch Nahi Pata Laikin Khabar Jungle Ki Aag Ki Tarah Phailti Chali Gai. Kaun Sa Media House Tha Jis Nay Ye Khabar Nahi Di. Laikin… Laikin… Laikin… Is Khabar Ka Haqeeqat Say Koi Ta’luq Nahi Hay. Ye Bhi Aik Fake News Nikli!

Ye Confirmation Kisi Aur Nay Nahi Khud Saudi Striker Saleh Alshehri Aur Coach Hervé Renard Nay Ki. Wo Poland Kay Khilaf Apnay Important Match Say Pehlay Press Conference Kar Rahay Thay. Jis Main Aik Journalist Nay Rolls-Royce Ka Baray Mein Sawal Kia Aur Poocha Ke Aap Kaun Say Colour Ki Lain Gay?

Is Par Alshehri Nay Kaha Ke Ye Sab Rumours Hain, Aisi Khabron Mein Koi Sachai Nahi. “Hum Yahan Apnay Mulk Ki Khidmat Karnay Aaey Hain Aur Apni Best Performance Paish Karain Gay. Hamara Sab Say Bara Inaam Yahi Hay.”

Rolls-Royce Phantom Koi Chhota Mota Gift Nahi. Is Model Ki Price Hi 4,60,000 Dollars Say Start Hoti Hay, Yani 10 Crore Rupay Say Bhi Zyada Ki.

Saudi Arabia Nay Argentina Kay Against Alshehri Aur Phir Salem Aldawsari Kay Second Half Goals Ki Waja Say 2-1 Say Kamyabi Hasil Ki Thi. Is Match Mein 70% Possession Argentina Kay Paas Thi Aur Half Par Usa 1-0 Ki Lead Bhi Hasil Thi. Laikin Saudi Arabia Nay Zabardast Comeback Kia Aur Historical Kamyabi Hasil Ki.

شیئر

جواب لکھیں