Pakistan New Zealand Tri-Series Main Host Kay Khilaf Apna Doosra Match 9 Wickets Say Haar Gaya Hay. 131 Runs Ko Defend Kartay Huay Pakistani Bowlers Sirf 1 Wicket Hi Lay Sakay.

Opener Jo Finn Allen 42 Balls Par 62 Runs Bananay Kay Baad Leg Spinner Shadab Khan Ki Ball Par Stumped Huay. Is Kay Sath Hi Shadab Ki T20i Wickets Ki Tadaad 86 Hogai Hay, Aur Wo Pakistan Kay Liay Sub Say Ziada T20i Wickets Lainay Walay Bowlers Main 2nd Number Par Aa Gaey Hain.

Shadab Nay T20is Main 85 Wickets Lainay Walay Saeed Ajmal Aur Umar Gul Ko Peechay Chhora Hay.

Most T20i Wickets Lainay Walay Pakistani Bowlers

MtsWktsBBAve.
Shahid Afridi99984/1124.44
Shadab Khan75864/821.84
Umar Gul60855/616.97
Saeed Ajmal64854/1917.83
Haris Rauf49624/2223.41

Saeed Ajmal Nay Apnay Career Main 64 Aur Umar Gul Nay Sirf 60 Matches Main 85 Wickets Li Theen. Laikin Shadab 75 Matches Main 86 Wickets Tak Puhanchay Hain. Ab Un Ki Nazrain Shahid Afridi Kay National Record Par Hain.

Lala Nay Apnay 10 Saal Kay T20i Career Main 24.35 Kay Average Aur 6.61 Kay Economy Rate Kay Saath 97 Wickets Hasil Ki Theen.

Haris Rauf Sirf 49 Matches Main 62 Wickets Kay Sath T20is Kay Top 5 Pakistan Wicket Takers Main Shamil Hain.

T20 International Cricket Main Sub Say Ziada Wickets Bangladesh Kay Shakib Al Hasan Kay Paas Hain. Unhon Nay 102 Matches Main 122 Players Ko Out Kar Rakha Hay. New Zealand Kay Tim Southee 119 Wickets Kay Saath 2nd Number Par Hain.

Top 5 Main Afghanistan Kay Rashid Khan, Sri Lanka Kay Lasith Malinga Aur New Zealand Kay Ish Sodhi Shamil Hain.

T20i Main Sub Say Ziada Wickets Lainay Walay Bowlers

MtsWktsBBAve.
Shakib Al Hasan1021225/2020.33
Tim Southee981195/1824.66
Rashid Khan711185/314.21
Lasith Malinga841075/620.79
Ish Sodhi791024/2821.55

In Sub Bowlers Ki Wickets 100 Say Ziada Hain. Agar Shadab Nay Mazeed 14 Wickets Hasil Kar Leen To Pakistan Kay Liay 100 Wickets Lainay Walay Pehlay Bowler Ban Jaen Gay.

شیئر

جواب لکھیں