Zimbabwe History Main Pehli Baar Kisi T20 World Cup Kay Next Round Main Puhanch Gaya Hay. 

Friday Ko Hobart Main Ireland-West Indies Kay Baad Group 2 Ka Zimbabwe-Scotland Match Bhi Aik Virtual Knock-Out Tha. Jis Main 'Jo Jeeta Wo Sikandar, Jo Haara Wo Bahar' Wali Situation Thi. Aur Ye To Aap Jantay Hi Hain Ke Sikandar To Zimbabwe Kay Paas Hay. 

133 Runs Chase Kartay Huay Jab Sirf 42 Runs Par Zimbabwe Ki 3 Wickets Gir Chuki Theen To Ye Sikandar Raza Hi Thay Jinhon Nay Captain Craig Ervine Kay Sath Mil Kar Muskhil Situation Say Nikala. 

Jis Match Main Aik Six Tak Nahi Laga Tha, Us Main Sikandar Raza Nay 2 Zabardast Chhakkay Lagaey Aur Sirf 23 Balls Par 40 Runs Bana Kar Match Ka Naqsha Palat Dia. Captain Craig Ervine Kay Sath Un Ki Partnership Sirf 43 Balls Par 64 Runs Ki Rahi, Jis Nay Match Ko Zimbabwe Kay Haq Main Kardia. 

15th Over Ki Last Ball Par Sikandar Kay Out Honay Kay Baad Ervine Bhi Ziada Dair Nahi Chal Sakay. Apni Sixth Fifty Mukammal Karnay Kay Baad Wo 54 Balls Par 58 Runs Kay Sath Out Ho Gaey. Yahan Milton Shumba Aur Ryan Burl Nay Kahani Main Koi Naya Twist Nahi Aanay Dia. 19th Over Main Burl Kay Four Kay Sath Match Ka Faisla Ho Gaya, Sath Hi Ye Bhi Kay Super 12 Round Main Kaun Kis Say Khelay Ga? 

Toss Scotland Nay Jeeta Tha Aur Pehlay Batting Ki. George Munsey Nay 51 Ball 54 Runs Aur Phir Calum Macleod Nay 26 Balls 25 Runs To Banaey, Laikin Scotland Ko Is Say Tez Khelnay Ki Zarurat Thi. Ye Taqreeban Run-A-Ball Innings Barray Matches Main Jeet Kay Liay Kafi Nahi. 

Zimbabwe Ki Bowling Bhi Achhi Thi, Especially Tendai Chatara Aur Sikandar Raza Ki. Chatara Nay 4 Overs Main Sirf 14 Runs Diay Aur 2 Wickets Leen. Sikandar Nay Apnay 4 Overs Main 20 Runs Day Aik Khilari Ko Out Kia. 2 Wickets Richard Ngarava Nay Leen. 

Ab Super 12 Kay Donon Groups Ka Faisla Ho Chuka Hay Aur Group 1 To Lagta Hay ‘group Of Death’ Ban Chuka Hay. Jis Main Australia, England, New Zealand Aur Afghanistan To Pehlay Say Hi Thay, Ab Sri Lanka Aur Ireland Bhi Aa Chukay Hain. Isi Group Say Saturday 22 October Ko Defending Champion Australia Aur Last World Cup Kay Runner-Up New Zealand Kay  Muqablay Say Super 12 Round Ka Aghaz Hoga. 

Phir Group 2 Hay, Jis Main Pakistan, India, South Africa Aur Bangladesh Kay Baad Ab Netherlands Aur Zimbabwe Aa Chukay Hain. 

Pakistan Sunday 23 October Ko India Say Barra Muqabla Khelnay Kay Baad 27 October Ko Perth Main Zimbabwe Aur 30 October Ko Netherlands Say Khelay Ga. South Africa Aur Pakistan Ka Samna 3 November Ko Sydney Main Hoga Aur Last Match 6 November Ko Bangladesh Kay Khilaf Adelaide Main Khela Jaey Ga. 

شیئر

جواب لکھیں