2 Times World Champion, 2012 Aur 2016 Main Dunya Fatah Karnay Wala West Indies, Pehli Baar T20 World Cup Ka Main Round Hi Nahi Khailay Ga. T20 World Cup Main Goliath Kay Liay David Ka Kaam Kia Ireland Nay. Jo 2009 Main Super 8s Khelnay Kay Baad Kabhi Kisi T20 World Cup Kay Next Round Main Nahi Puhancha Tha, Laikin Aaj Aik Barra Shikar Kartay Huay 147 Runs Ka Chase Is Tarah Kia, Jaisay Wo Kuchh Tha Hi Nahi. 

Is Historical Chase Main Sub Main Role Tha Paul Stirling Ka. Wohi Stirling Jo Is World Cup Main Zimbabwe Kay Khilaf  0 Aur Scotland Kay Muqablay Main Sirf 8 Runs Bana Sakay Thay. Laikin West Indies Kay Against Is Must -Win Match Main Unhon Nay 'Chak De Phatte' Kar Diay.

Stirling Nay 48 Balls Not Out 66 Banaey. Is Innings Main Unhon Nay Captain Andy Balbirnie Kay Sath 73 Runs Ki Opening Partnership Ki Aur Phir Wicket-Keeper Lorcan Tucker Kay Sath Mazeed 77 Runs Jorr Kar 18th Over Main Hi Match Khatam Kardia. 

Balbirnie  Nay 23 Ball 37 Runs Kay Sath Behtareen Opening Di Aur Phir Tucker Nay 35 Balls Par 45 Runs Ki Waqai ‘Tucker Ki Innings' Kheli. In Ki Innings Main Lagaey Gaey 2 Sixes To Baar Baar Dekhnay Ka Dil Karta Hay. 

Ye West Indies Cricket Kay Liay Aik New Low Hay. Jis Team Kay Players Ki Dunya Bhar Ki Leagues Main Zabardast Demand Hay, Us Ka World Cup Main Ye Haal? Aaj To Un Ki Bowling Line Bhi Mukammal Taur Par 'Toothless' Sabit Hui. Wahid Wicket Akeal Hosein Ko Mili. Alzarri Joseph Aur Odean Smith To Buri Tarah Pit Gaey. 

Ireland Kay Khilaf West Indian Bowling Ka Haal

BowlerORWEcon.
Obed McCoy3.32707.71
Akeal Hosein43819.50
Alzarri Joseph43909.75
Odean Smith223011.50
Jason Holder42305.75

Batting Dekhain To Toss Jeet Kar West Indians Pehlay Khud Khailay. Brandon King Nay Not Out 62 Runs Ki Innings Kheli, Aur Akhir Main Odean Smith  Kay 2 Sixes Say Team 146 Runs Tak Puhanch Gai. 

West Indies Ko Aik Big Total Tak Puhanchnay Say Roknay Ka Kaam Irish Spinner Gareth Delany Nay Kia. Unhon Nay 4 Overs Main Sirf 16 Runs Diay Aur 3 Wicket Hasil Keen. Balke Ye Kahain To Behtar Hoga Ke West Indies Middle Order Ko Urra Kar Rakh Dia. Unhon Nay Evin Lewis, Nicholas Pooran Aur Rovman Powell Ki Big Wickets Leen Aur West Indies Kay Kisi Bhi Barray Total Tak Puhanchnay Kay Chances Khatam Kardiay. Gareth Delany Ko Hi Man Of The Match Qarar Dia Gaya. 

Waisay 147 Runs Kam Nahi Thay. Is Tarah Kay Knockout Aur Pressure Games Main Aisay Chase Buhat Tricky Hotay Hain. Laikin Ireland Kay Liay To Ye Cakewalk Sabit Hua.

Ab First Round Main Scotland Aur Zimbabwe Ka Last Match Faisla Karay Gay Ke Group Main Final Position Kia Hogi Aur Kaun Si Team Super 12 Kay Kis Group Main Jaey Gi. 

شیئر

جواب لکھیں