Zimbabwe Kay Liay Ye Buhat Achha Saal Ja Raha Hay. Aur Ab T20 World Cup Ka Bhi Zabardast Aaghaz Kia Hay. Zimbabwe Nay First Round Main Apnay Pehlay Match Main Ireland Ko 31 Runs Say Hara Dia Hay.

Is Kamyabi Main Sub Say Bara Role Tha Sikandar Raza Ka, Jo Is Waqt Apni Form Of Life Main Chal Rahay Hain. Is Saal Wo 17 T20i Matches Main 42.71 Kay Average Aur 154 Say Ziada Kay Strike Rate Say 598 Runs Bana Chukay Hain.

Hobart Main Hamain Sikandar Raza Ka Wohi Roop Nazar Aaya. Wo Tab Khelnay Aaey Jab Power Play Main Hi 3 Wickets Gir Chuki Theen. Phir Wo Aaey Aur Aakhir Tak Jam Kar Irish Bowlers Ka Muqabla Kia. Sikandar Raza Ki 48 Balls Par 82 Runs Ki Innings Nay Zimbabwe Ko 174 Runs Kay Big Total Tak Puhanchaya. Wo 5 Sixes Aur Itnay Hi Fours Laganay Kay Baad Innings Ki Last Ball Par Out Huay.

175 Runs Kay Target Ka Pressure Hi Itna Tha Ke Ireland Start Main Hi 4 Wickets Day Betha. Richard Ngarava Aur Blessing Muzarabani Nay Irish Batting Line Ko Sukoon Ka Saans Hi Nahi Lainay Dia.

Baad Main Jab Ireland Nay Curtis Campher Aur George Dockrell Ki 42 Runs Ki Partnership Kay Zariay Wapis Aanay Ki Koshish Ki To Aik Martaba Phir Sikandar Samnay Aa Gaey. Unhon Nay Dockrell Ko Out Kar Kay Is Partnership Ko Torra. Us Kay Baad Ireland Match Main Wapis Nahi Aa Saka. 20 Overs Complete Huay To 9 Wickets Par 143 Runs Hi Banay.

Ye Buhat Lambay Waqt Kay Baad Kisi ICC Event Main Zimbabwe Ki Wapsi Ka Din Tha, Aur Is Jeet Kay Sath Waqai Yadgar Ban Gya. Zimbabwe Nay Last 2 T20 World Cup Nahi Khela Tha Aur Is Martaba Qualifier Jeet Kar Yahan Tak Puhancha Tha.

Is Liay Ye Kamyabi Aik Khula Ailan Hay Ke Zimbabwe Wapis Aa Chuka Hay. Be Afraid Be Very Afraid!

Tournament Main Zimbabwe Apna Agla Match 19th October Ko West Indies Kay Khilaf Khelay Ga. Ireland Usi Din Scotland Say Khelay Ga, Jo Apnay Pehlay Match Main West Indies Ko Hara Kar Tehlka Macha Chuka Hay.

شیئر

جواب لکھیں