T20 World Cup 2022 Ki Super 12 Stage Kay Liay Tayari Ab Apnay Urooj Par Puhanch Gai Hay. Aaj Top Teams Nay Apna Khoon Garmaya, Jabkay Hum Nay To Sirf Apna Khoon Jalaya. Jee! Pakistan England Kay Khilaf Apna Pehla Warm-Up Buri Tarah Haar Gaya.
Brisbane Main Khelay Gaey Is Match Main Pakistan Apnay 3 Star Players Babar Azam, Mohammad Rizwan Aur Haris Rauf Kay Baghair Khela. At Least Haris Nay Bowling To Nahi Ki.
Batting Ki Dawat Milnay Par Pakistan Nay Shan Masood Aur Hyder Ali Ko Opener Bheja. Uhnon Nay 5th Overs Main 49 Runs Ki Partnership Ki. Hyder Ali Aur Un Kay Kuchh Dair Baad Shan Masood 22 Ball Par 39 Runs Bana Kar Out Ho Gaey.
Phir Bhi Power Play Main 66 Runs Aik Buhat Acha Start Tha. 11th Over Tak Bhi Match Apnay Hathon Main Tha, 96 Runs Par Sirf 2 Out Thay, Iftikhar Ahmed Aur Shadab Khan Khel Rahay Thay Ke Aik Kay Baad Doosri Wicket Girti Chali Gai. Pakistan 5 Overs Main 37 Runs Par 4 Wicket Day Gaya. Ye Aisa Jhatka Tha Ke Jis Say Pakistan Aakhir Tak Nahi Nikal Saka. Momentum Haath Say Nikal Gaya Aur Score 96/2 Say 126/6 Ho Gaya.
Barish Kay Baad Aakhir Main Mohammad Wasim Nay 16 Balls Par 26 Runs Bana Kar 160 Runs Tak Puhancha Dia, Warna Chance To Is Ka Bhi Nahi Tha.
Ab 19 Over Main 161 Runs Defend Karnay Thay, Jab Pehlay Hi Over Main Naseem Shah Nay Phil Salt Ko Out Kar Dia. Umeed Jag Uthi Aur Ben Stokes Kay Hathon Khatam Bhi Ho Gai. Stokes Nay Sirf 18 Balls Par 3 Sixes Aur 2 Fours Ki Madad Say 36 Runs Banaey.
Pakistan Nay Stokes Aur Alex Hales Ki Wickets Leen To Harry Brook Ko Nahi Roke Saka. Wo To Waheen Say Shuroo Ho Gaey, Jahan Lahore Main Rukay Thay. 24 Balls Par 45 Aur Sam Curran Kay 14 Balls 33 Runs Nay Pakistan Ko Urra Kar Rakh Dia.
Donon Nay Sirf 4 Overs Main 59 Runs Ka Izafa Kia Aur England 15th Over Main Hi Jeet Gaya. Rahi Sahi Kasar Pakistan Kay 2 Dropped Catches Nay Poori Kardi.
Keh Saktay Hain Ke Babar Aur Rizwan Kay Na Honayaur Bowling Main Haris Rauf Kay Na Honay Ki Waja Say Bhi Aisa Hua, Laikin Ye Baat To Man’na Parray Gi Ke England England Hay Boss!
New Zealand Buri Tarah Chitt
Doosray Warm-Up Matches Main New Zealand Ko South Africa Kay Hathon Buri Tarah Shikast Hui. Lagta Hay Pakistan Kay Hathon Tri-Series Ka Final Harnay Ka Gham Abhi Tak Mojood Hay. Is Match Main New Zealand Sirf 98 Runs Par All Out Hua, Aur Baad Main South Africa Nay 9 Wickets Say Kambyabi Hasil Ki.
Australia Ka Brain Fade
India Aur Australia Ka Match Barra Dilchasp Tha. KL Rahul Aur Suryakumar Yadav Ki Shandar Fifties Ki Badaulat India Nay Apnay 20 Overs Main 186 Runs Banaey.
Jawab Main Aaron Finch Ki 76 Runs Ki Innings Bhi Australia Ko Jitwa Nahi Saki. Waisay Australia Ko Ye Match Harna Nahi Chahiye Tha. Last 3 Overs Main Usay Sirf 29 Runs Ki Zaroorat Thi Aur 7 Wickets Baqi Theen. Laikin Phir Wicket Par Wicket Girti Rahi.
19th Over Main Sirf 5 Runs Banay Aur Finch Kay Ilawa Finisher Tim David Ki Wicket Bhi Gai. Jis Kay Baad Last Over Mohammad Shami Ko Dia Gaya, Jis Main Australia Ko 11 Runs Ki Zaroorat Thi. Yahan To Hadd Hi Ho Gai. 4 Balls Par 4 Wickets Gir Gaeen Aur India Sirf 6 Runs Say Jeet Gaya.
Is Main Virat Kohli Kay Us Catch Ka Important Role Tha Jis Par Unhon Nay Pat Cummins Ka Six Catch Main Badal Dia Tha.
Bangladesh Phir Haar Gaya
Khair, Din Ka Last Warm-Up Match Afghanistan Aur Bangladesh Kay Darmiyan Tha. Jis Main Afghanistan Nay 62 Runs Say Kamyabi Hasil Ki. Is Tarah Bangladesh Ki Worst Performance Ka Silsila Jari Hay. Team Asia Cup Aur Phir New Zealand Tri-Series Main Apnay Tamam Matches Haar Kar World Cup Main Aai Hay Aur Yahan Bhi Start Warm-Up Main Buri Tarah Haar Kar Lia Hay.
Is Match Main Afghanistan Nay Pehlay Kheltay Huay 160 Runs Banaey Tha. Ibrahim Zadran Kay 39 Ball 46 Aur Phir Captain Mohammad Nabi Ki 17 Balls Par 41 Runs Ki Zabardast Innings Nay Kaam Dikha Dia.
Jawab Main Bangladesh Ka Haal Buhat Bura Tha. Sirf 28 Runs Par Us Kay 5 Out Ho Gaey. Aur Phir Wo Sanbhal Nahi Paya. All-Out To Nahi Hua Laikin 20 Overs Main 9 Wickets Par Sirf 98 Runs Bana Saka.
Ab Pakistan Apna Last Warm Up Afghanistan Kay Khilaf Khelay Ga Jabke Bangladesh-South Africa, India-New Zealand Bhi Aik Doosray Ka Muqabla Karain Gay.
T20 World Cup Ki Super 12 Stage 22 October Say Shuroo Hogi Jis Main Saturday 22 October Ko Australia Aur New Zealand Amnay Samnay Hon Gay. Pakistan Apna Pehla Match Sunday 23 October Ko India Say Khelay Ga.