Hum Ne To Pehlay Hi Kaha Tha Ke “92 Mein Bhi Aisa Hi Hua Tha”. Australia Champion Ho, Home Ground Par Apne Title Ko Defend Kar Raha Ho To Buri Tarah Phans Jata Hai. T20 World Cup Main Australia Kay Chances Kay Sath Bhi Kuch Aisa Hi Hai.

Group 1 Mein Apne 4 Matches Khailnay Ke Baad Australia Points Table Par 3rd Number Par Hai. Kyunkay Semi Final Ke Liye Group Se Sirf 2 Teams Hi Qualify Kar Sakti Hain, Is Liye Waqt Kam Aur Muqabla Sakht Hai.

Australia Ke Is Waqt 5 Points Hain, Aur New Zealand Aur England Ke Bhi. Yani Baat Aakhri Match Tak Chali Gayi Hai, Jo Sab Ke Liye Jeetna Zaroori Hai. Australia Ko Bhi Nah Sirf Yeh Match Jeetna Hay Balkay Doosri Teams Ke Results Ka Intzaar Bhi Karna Hoga.

ICC T20 World Cup 2022

Points Table

Group 1

MWLN/RPTNRR
Raftar Bharne Do NZ42115+2.233
Raftar Bharne Do ENG42115+0.547
Raftar Bharne Do AUS42115-0.304
Raftar Bharne Do SL42204-0.457
Raftar Bharne Do IRE41213-1.544
Raftar Bharne Do AFG40222-0.718

Jummay Ka Din Sab Ka Faisla Kar Day Ga. Adelaide Mein Pehlay New Zealand Aur Ireland Khelain Ge Aur Raat Ko Australia Aur Afghanistan Aamnay Samnay Hon Gay. Haftay Ko Group 1 Ka Last Match England Aur Sri Lanka Ke Darmiyan Khela Jaye Ga.

T20 World Cup Main Australia Kay Chances?

Sab Se Pehlay To Yaad Rakhen Ke Australia Ko Afghanistan Se Match Jeetna Hay. Tabhi T20 World Cup Main Australia Kay Chances Rahain Gay. Agar Australia Yeh Muqaabla Haar Gaya To Samjhain Kahani Khatam! Phir Doosray Matches Mein Koi Bhi Result Aaye, Is Se Koi Farq Nahi Parray Ga.

England Aur Sri Lanka Ke Match Mein Jo Bhi Jeeta Woh Points Mein Australia Se Agay Nikal Jaye Ga. Doosri Taraf Agar Ireland Ne New Zealand Ke Khilaaf Upset Kar Bhi Diya To New Zealand Ka Net Run Rate Australia Se Bohat Agay Hay. Yani Australia Ko Apna Match To Jeetna Hi Hoga.

Australian, England Aur New Zealand Teenon Jeet Gaey To?

Agar Australia, New Zealand Aur England Sab Apne Apne Matches Jeet Gaey To Kya Hoga? Imkaan Bhi Yahi Hay Ke Ye Apne Matches Jeetain Gi Aur. Aur Aisa Hua To Sath Hi Situation Gambhir Ho Jaen Gi.

New Zealand Ka Net Run Rate Is Waqt Sab Se Zyada Hai. Aur Imkaan Hay Ke Wohi Top Position Haasil Keray Ga. Baqi Reh Jaen Gay England Aur Australia, To Agar Dono Jeet Gaey To Bhi Australia Net Run Rate Par Peechay Hi Rahay Ga. Yani Usay Dua Karni Hogi Ke England Apna Match Barray Margin Se Haaray Aur Woh Khud Afghanistan Se Bhaari Margin Se Jeetay.

Waisay Agar Australia Semi Final Ki Race Se Bahar Hojata, To Is Ka Sabab Hoga New Zealand Ke Hathon Tournament Ke Pehlay Match Mein Buri Tarah Shikast. Is Match Mein Australia Ne Aisa Momentum Loss Kia Ke Ab Tak Phansa Hua Hay.

شیئر

جواب لکھیں