T20 World Cup Main Barish Ki Waja Say Jitni Tezi Say Matches Zaya Ho Rahay Hain, Lagta Hay Semi Finals Ka Faisla Ab Net Run Rate (NRR) Par Hi Hoga.

Hum Net Run Rate Kay Baray Main Suntay To Buhat Hain, Laikin Kam Hi Laug Jantay Hain Ke Ye Net Run Rate Kis Bala Ka Naam Hay? Aaen Aap Ko Batatay Hain Aur Sath Hi NRR Nikalnay Ka Tareeqa Bhi Batatay Hain.

 Net Run Rate Kya Hay?

Run Rate To Aap Ko Pata Hi Hoga, Yani Kisi Team Nay Per Over Kitnay Runs Banaey Hain. Agar Koi Team 20 Overs Main 160 Runs Banati Hay To Is Ka Matlab Hay Us Ka Run Rate 8 Hay. Bus Ab Isi Ko Pooray Tournament Par Phaila Dain. Yani Tournament Main Khelay Gaey Matches Main Kisi Team Nay Total Kitnay Runs Banaey Aur Us Main Say Wo Runs Minus Kardain Jo Us Kay Against Banay Hain.

Khayal Rahay Ke Net Run Rate Ka Hisab Laganay Main Ye Nahi Dekha Jata Ke Kisi Team Nay Kitnay Balls Kheli Hain. Chahay Team 17 Overs Main Hi Out Ho Jaey Laikin Run Rate Total Yani 20 Overs Hi Say Nikala Jaey Ga.

Raftar Bharne Do
(Photo: AFP)

To Net Run Rate Ka Formula Kuchh Ye Hua:

Sab Matches Main Banaey Gaey Total Runs / Khelay Gaey Total Overs – Khaey Gaey Total Runs / Kiay Gaey Total Overs = Tournament Ka Net Run Rate

Agar Koi Match Abandoned Hota Hay, Yani Us Ka Result Nahi Nikalta To Is Main Ban’nay Walay Runs Count Nahi Hon Gay. Jaisay Abhi Is World Cup Main Barish Say Zaya Honay Walay Matches Main Hua.

Example

Chalain Aik Misaal Say Samjhatay Hain: Aik ODI Main Pakistan Nay Pehlay Batting Ki Aur 50 Overs Main 287 Runs Banaey. 287 Ko 50 Say Divide Karain To Banta Hay 5.71. Ab India Chase Karta Hay Aur 243 Runs Banata Hay. 243 Ko 50 Say Divide Karain To 4.86 Banta Hay. Ab Net Run Rate Nikalnay Kay Liay Is 5.74 Main Say 4.86 Ko Minus Kardain. Jawab Aaey Ga 0.88. Bus Yahi Aap Ka Net Run Rate Hay.

Phir Tournament Main Jaisay Jaisay Aur Matches Kheltay Jaen, Har Match Ka Net Run Rate Shamil Hota Jaey Ga, Jo Aakhir Main Next Round Kay Liay Qualify Karnay Main Buhat Important Factor Ban Jata Hay.

Criticism

Raftar Bharne Do
(Photo: ICC)

Dunya Main Koi Aisa Kaam Nahi Hota Jisay Sab Qubool Karain. Universally Accepted To Koi Cheez Nahi Hoti, Net Run Rate Bhi Nahi Hay. Is Par Tanqeed Karnay Walay Kehtay Hain Ke NRR Main Team Kay Tezi Say Runs Bananay Ya Khanay Ka Hisab To Lagaya Jata Hay, Laikin Wo Kis Margin Say Jeeti Hay Ya Haari Hay, Us Ko Ignore Kar Dia Jata Hay. Yahi Nahi Balke Wickets Kitni Girti Hain? Is Ka Hisab Bhi Nahi Lagaya Jata.

شیئر

جواب لکھیں