Rishi Sunak History Kay Ammer Tareen British Prime Ministers Main Say Aik Hain. Aur Mazay Ki Baat Ye Hay Ke Ye Daulat Unhon Nay Khud Nahi Hasil Ki, Balke Biwi Ka Kamai Hay.

Jee Haan, Sunak Ki Wife Akshata Murthy Indian Billionaire Nagavara Ramarao Narayana Murthy Ki Beti Hain, Jo 'Father Of Indian Tech Industry' Samjhay Jatay Hain.

Laikin Is Say Bhi Dilchasp Baat Ye Ke History Main Pehli Baar British Prime Minister Khud King Say Bhi Ameer Ho Gaya Hay. King Charles III Ki Total Wealth $420 Million Hay, Jabke Sirf Murthy Ki Daulat Hi Walid Ki Company Main Apnay Shares Ki Wajah Say $800 Million Say Ziada Hay.

Yoon Apni Aur Apni Biwi Ki Daulat Unhain Ameer Tareen British PM Banati Hay.

Hairat Ki Baat Ye Hay Ke Murthy Kay Paas Apnay Father Ki Company Infosys Kay Sirf 1 Percent Shares Hain. Laikin Infosys Ki Is Waqt Market Value 1.005 Trillion INR Hay, Jo Approx. 12 Billion USD Bantay Hain.

Waisay Sunak Khud Goldman Sachs Main Banker Rahay Hain Aur Children’s Investment Fund Management Main Bhi Kaam Kia Hay. Stanford Main MBA Kartay Huay Un Ki Mulaqat Murthy Say Hui. Jis Kay 4 Saal Baad Donon Ki Shadi Ho Gai.

Sunak Kay Ameer Kabeer Honay Ki Waja Say Hi Labour Party Un Ki Mukalifat Karti Aai Hay. Us Ka Keha Hay Ke Sonak Aik Aam British Citizen Ki Pareshani Aur Mushkilat Nahi Jantay.

شیئر

جواب لکھیں