Africa Kay Mulk Gambia Main Kidney Fail Honay Say 66 Bachon Kay Marnay Ki Waja Made In India Cough Syrup Niklay. Aur Ye Baat Kisi Aur Nay Nahi Balkay World Health Organization (WHO) Nay Batai Hay.

Itni Bari Tadaad Main Bachon Ki Halakat Kay Baad Un Ki Istimal Ki Gai Medicines Kay Lab Test Kiay Gaey, Jis Ki Report Ab Khud WHO Kay Director Tedros Adhanom Ghebreyesus Samnay Laey Hain.

Jis Kay Mutabiq Yeh Medicines New Delhi Ki Company Maiden Pharmaceuticals Ltd. Ki Tayyar Ki Gai Hain. Ab Is Indian Company Ki Medicines Par Ban Laganay Ka Order Day Dia Gaya Hay.

WHO Kay Mutabiq Khatra Hay Ke Ye Medicines Doosray Mulkon Main Bhi Istamaal Main Hon Gi. Laikin Filhaal In Say Bachon Kay Marnay Kay Waqiat Sirf Gambia Main Samnay Aaey Hain.

Jin Medicines Kay Hawalay Say Alert Kia Gaya Hay Un Kay Naam Promethazin, Kofexmali, MaKOFF Baby Aur MaGrip n Cold Hain.

Raftar Bharne Do
Indian Medicines Say 66 Bachon Ki Maut 1

Lab Test Kay Mutabiq In Medicines Main Diethylene Glycol Aur Ethylene Glycol Ki Quantity Bohat Ziyada Hay, Jis Ki Waja Say Yeh Kidney Fail Kar Sakti Hain.

Marnay Walay Bachon Main Ziada Tadaad 5 Saal Say Kam Umar Bachon Ki Hay.

Maiden Pharma India Main Medicines Sale Karnay Kay Saath Saath Asia, Africa Aur Latin America Ko Bhi Export Karti Hay.

شیئر

جواب لکھیں