Russian Sadar Vladimir Putin Ne Ukraine Ke 4 Elaqon Donetsk And Luhansk People’s Republics, Zaporizhzhia Aur Kherson Ke Russia Se Ilhaq Ke Qanoon Per Dastakhat Kar Diye Hain.

Kremlin Ke Mutabiq Is Qanoon Ki Manzoori Ke Baad In Elaqon Ki Muqami Abadi Ko Russian Shehri Tasleem Kiya Jaye Ga.

Russian Sadar Ne In Elaqon Ke Liye Uboori Governor Bhi Muqarrar Kar Diye Hain. Ye Qanoon 10 Din Baad Nafiz Ul Amal Hoga. In Elaqon Main Russia Se Ilhaq Ke Liye Referendum Karaya Gaya Tha Jis Main Logon Ki Aksaryta Ne Russia Ke Saath Ilhaq Ke Haq Main Vote Diya Tha. 30 September Ko Russian Sadar Putin Ne Donetsk And Luhansk People’s Republics, Zaporizhzhia Aur Kherson Ke Russia Se Ilhaq Ka Elan Kiya Tha. Russian Parliament Bhi Ilhaq Ki Manzuri De Chuki Hay.

Ukraine Aur Us Ke Ittehadi Mumalik Ne Russia Ke Ilhaq Ke Elan Ko Ghair Qanooni Qrar Diya Hay. Ukraine Ke Sadar Ka Kehna Hay Ke Hamari Zameen Per Qabzay Ki Koi Koshish Koi Muahida Tasleem Nahi Kiya Jaye Ga.

America Ne Bhi Russia Ke Iqdam Ki Mukhalifat Ki Hay. Joe Biden Ka Kehna Hay Ke Agar Russia Ne Ukraine Ke Kisi Elaqay Ka Ilhaq Kiya Tou Us Per Mazeed Sakht Pabandian Lagayi Jayen Gi.

شیئر

جواب لکھیں