Wo Apnay Zamanay Mein Hindustan Kay Ameer Tareen Shakhs Thay. Un Kay Dada Tou Dunya Kay Richest Person Thay, Laikin Phir Waqt Nay Palta Khaya. Zameen Kha Gai Aasman Kaisay Kaisay. Hum Baat Kar Rahay Hain Nawab Mukarram Jah Ki. Ryasat Hyderabad Kay 8th Aur Aakhri Nizam Ki, Jo Is Haftay 89 Saal Ki Umar Mein Istanbul Mein Khamoshi Say Chal Basay.

Mukrram Jah 6 October 1933 Ko Mir Himayat Ali Khan Azam Jah Kay Ghar Paida Huay, Jo Aakhri Khud-Mukhtar Nizam Hyderabad Mir Osman Ali Khan Kay Sub Say Baray Betay Thay. Mukarram Jah Ki Maan Koi Aur Nahi Sultanate Usmania Kay Aakhri Khalifa Sultan Abdul Majid II Ki Beti Durr-e-Shehwar Sultan Theen, Jin Ki Azam Jah Say Shadi Apnay Zamanay Ka Aik Bara Event Tha.

Mukarram Jah
Mukarram Jah Kay Walid Asif Jah Apni Biwi Shehzadi Durr-e-Shehwar Aur Susar Abdul Majid II Kay Sath

Mukarram Jah Ka Poora Naam Mir Barkat Ali Khan Siddiqui Tha, Laikin Wo Mash’hoor Thay Mukarram Jah Asif Jah VIII Kay Naam Say. Un Ka Title Tha: Izzat Ma’aab Shehzada Rustam-e-Dauran, Arastoo-e-Zaman Wal Mamalik, Asif Jah VIII, Muzaffar-Al-Mamalik, Nizam-Ul-Mulk, Nizam-Ul-Daulat, Sipah Salar, Fateh Jang, Nizam-e-Hyderabad Wa Berar.

Laikin Ye Sub Naam Aur Khitab Dharay Kay Dharay Reh Gaey Jab India Nay 1948 Mein Hyderabad Par Qabza Kar Lia. Is Kay Saath Hi 1724 Say Qaim Asif Jahi Khandaan Ki Hukoomat Khatam Ho Gai.

Asif Jahi Rule
Nizam-e-Hyderabad Ki Hukoomat

1967 Mein Mir Osman Ali Khan Nay Intiqal Say Pehlay Mukarram Jah Ko Apnay Khandaan Ki Sarbarahi Di, Jin Ki Aagay Ki Zindagi Aasan Nahi Thi. Mukarram Jah Ko Apna Shehr Chhorna Para, Aik Kay Baad Doosri Biwi Chhorni Pari, Daulat Say Haath Dhonay Paray, Yahan Tak Ke Zindagi Hi Tamam Ho Gai.

Zindagi Ka Afsos-Naak Pehlu

Mukarram Jah Ki Zindagi Ka Sub Say Afsos-naak Pehlu Tha In Ka Nakaam Shadian. Un Ki Pehli 4 Shadian Talaq Par Khatam Hueen. 1959 Mein Unhon Nay Aik Turkish Khatoon Esra Birgen Say Shadi Ki, Jin Say Aik Beta Aur Beti Bhi Peda Huay Laikin Baad Mein Australia Shift Honay Par Ikhtalaf Ki Waja Say Ye Shadi Talaq Par Khatam Hui.

Mukarram Jah
Mukarram Jah Apni Pehli Biwi Esra Kay Sath

1980 Mein Mukarram Jah Nay Australia Hi Mein Helen Simmons Say Shadi Karli, Jo BBC Mein Kaam Karti Theen. Wo Un Kay 2 Bachon Ki Maan Bhi Baneen. Laikin 1987 Mein Ye Shadi Bhi Talaq Tak Puhanchi. 1992 Mein Mukarram Jah Nay Former Miss Turkey Manolya Onur Nay Shadi Karli, Jo 5 Saal Hi Chal Saki. 1994 Mein Unhon Nay Morocco Ki Jameela Boularous Say Nikah Kia, Aur Phir 1995 Mein Turkey Ki Ayesha Orchedi Say, Jo Aakhir Tak Chali. Wo Ayesha Kay Saath Apni Zindagi Kay Aakhri Din Tak Istanbul Mein Rahay.

Mukarram Jah
Mukarram Jah Nay Zyada Tar Zindagi Gumnaami Mein Guzari

Aik Zamana Tha Ke Asif Jahi Khandan Mughlon Kay Baad Hindustan Ki Most Powerful Family Tha. Mughlon Nay Jila-Watni Dekhi Aur Asif Jahi Khandan Nay Khud-Saakhta Jilawatni Ikhtiyar Ki. Jo Kabhi Hyderabad Mein Sultan, Pasha, Huzoor, Nizam Aur Sarkar Thay, Aakhir Mein Un Ka Jasad-e-Khaki Hi Sheher Wapis Aa Saka. Mukarram Jah Ko Mangal 17 January Ko Hyderabad Mein Supurd-e-Khaat Kar Dia Gaya.

شیئر

جواب لکھیں