Fastest ODI Hundred Ka Record Aisa Tha Jisay Shahid Afridi Apnay Seenay Say Laga Kar Phirtay Thay. Yahan Tak Ke 2014 Ka Pehlay Din Subah Aankh Khuli To Khuli Ki Khuli Hi Reh Gai. Corey Anderson Naami New Zealand Kay Aik Gum-Naam Player Nay Lala Ka 18 Saal Purana Record Torr Dala Tha. West Indies Kay Against Sirf 36 Balls Par Century Lala Kay Fans Ko Rota Chhor Gai.
Mujhay Yaad Hay Ke Us Din Lala Kay Fans Nay Kaisi Kaisi Baatein Banai Then. Maslan 21 Overs Per Innings Ka Ye Match ODI Count Hi Nahi Hoga, Kyunke ODI To 50 Overs Ka Hota Hay. Aur Ye Bhi Ka Ground Buhat Chhota Tha, Anderson Ka Bat Bohat Mota Tha, Najanay Kya Kya Baatein!
Laikin Haqeeqat Ye Thi Ke Lala Ka Record Un Say Chhin Chuka Tha. Afsos To Buhat Hua Laikin Aik Saal Baad 2015 Mein, Aaj Hi Kay Din Yani 18 January Ko Fastest ODI Hundred Ka Record Usay Mila, Jo Us Ka Asal Haqdar Tha: Mr. 360 AB De Villiers Ko.
AB Nay 18 January 2015 Ko West Indies Kay Khilaf Johannesburg Mein Khelay Gaey One Day Mein Sirf 31 Balls Par Record 16 Sixes Aur 9 Fours Kay Zariay 149 Runs Ki Wo Innings Khel Dali Ke Shahid Afridi, Un Kay Fans, Balke Dunya Bhar Mein Cricket Dekhnay Wala Har Fard Hairan Reh Gaya.
Unhon Nay Aik Hi Match Mein Fastest Fifty Aur Fastest Century Kay Records Torray. Fastest Fifty Ka Record Sri Lanka Kay Legend Sanath Jayasuriya Kay Paas Tha, Jinhon Nay 1996 Mein Pakistan Kay Against Singer Trophy Final Mein Sirf 17 Balls Par Fifty Score Ki Thi. Khud Shahid Afridi Nay Kai Martaba Ye Record Torrnay Ki Koshish Ki, Laikin 3 Martaba 18 Balls Fifty Say Aagay Nahi Jaa Sakay, Yani Record Barabar Bhi Nahi Kar Paey, Yahan Tak Ke Ab De Villiers Nay 16 Balls Par Fifty Mukammal Kar Kay Ye Record Apnay Naam Kar Lia.
Fastest ODI Fifties
Balls | Vs | Venue | Date | |
---|---|---|---|---|
AB de Villiers | 16 | WI | Johannesburg | 18 Jan 2015 |
Sanath Jayasuriya | 17 | PAK | Singapore | 7 Apr 1996 |
Kusal Perera | 17 | PAK | Pallekele | 15 Jul 2015 |
Martin Guptill | 17 | SL | Christchurch | 28 Dec 2015 |
Liam Livingstone | 17 | NED | Amstelveen | 17 Jun 2022 |
Yahi Nahi Apni 31st Ball Par Aik Kararay Chhakay Kay Sath Hi Fastest Hundred Ka Record Bhi Torr Dala. Unhon Nay Corey Anderson Ka 36 Balls Par Century Ka Record Torra Tha. Anderson Nay Shahid Afridi Ka 1996 Mein Apni First ODI Innings Mein Banaya Gaya 37 Balls Par Hundred Ka Record Apnay Naam Kia Tha.
AB de Villiers Nay 44 Balls Par 149 Runs Banaey Aur Last Over Mein Out Huay. Laikin Tab Tak Aik Nai Tareekh Raqam Ho Chuki Thi.
Aaj Suryakumar Yadav, David Warner, Fakhar Zaman Aur Virat Kohli Jaisay Batsmen Kay Zamanay Mein Bhi Is Record Ko Koi Torrta Nazar Nahi Aata. Laikin Har Record Tootnay Kay Liay Hi Hota Hay, Kya Pata Jald Hi Koi Fastest ODI Hundred Bana Lay?
Fastest ODI Hundreds
Total Runs | Balls | 4s | 6s | Vs | Venue | Date | |
---|---|---|---|---|---|---|---|
AB de Villiers | 149 | 31 | 9 | 16 | WI | Johannesburg | 18 Jan 2015 |
Corey Anderson | 131* | 36 | 6 | 14 | WI | Queenstown | 1 Jan 2014 |
Shahid Afridi | 102 | 37 | 6 | 11 | SL | Nairobi | 4 Oct 1996 |
Mark Boucher | 147* | 44 | 8 | 10 | ZIM | Potchefstroom | 20 Sep 2006 |
Brian Lara | 117 | 45 | 18 | 4 | BAN | Dhaka | 9 Oct 1999 |