South Korea Kay Joint Chiefs Of Staff Nay Dawa Kiya Hay Kay North Korea Nay Intercontinental Ballistic Missile Ka Tajarba Kiya Tahaam Ye Nakaam Raha.
North Korea Ki Taraf Say Iss Year Intercontinental Ballistic Missile Ka 7th Tajarba Kiya Gaya. Yeh Missile Doraan Parwaz He Nakaam Hogaya Aur Samandar Main Gir Gaya.
Thursday Ki Subah Fire Honay Wala Ye Missile 760 Kilometer Taak Gaya Aur Iss Ki Height 1920 Kilometer Thei.
North Korea Ki Taraf Say Dou Short Rang Ballistic Missile Bhi Fire Kiye Gaey.
Missile Kay In Tajarbaat Ki Waja Say Japan Nay Apnay Kuch Northern Areas Kay Residents Kay Liye Rare Emergency Alert Jari Kiya Aur Unko Gharon Main Rehnay Ki Hidayat Ki.
Japan Kay Prime Minister Fumio Kishida Nay North Korea Ki Taraaf Say Missile Kay Tajarbaat Per Mazamaat Ki Hay.