Climate Agreement Main Kia Gaya Waada Poora Kartay Huay Norway Indonesia Ko 56 Million Dollars Ada Karay Ga. Is Ki Waja Ye Hay Ke Indonesia Apnay Tropical Forests Ko Mehfooz Karkay Carbon Dioxide Emissions Ko Kam Kar Rah Hay.
Is Agreement Par Norway Indonesia Climate Deal Kay Mutabiq Sign Kiay Gaey Thay.
Indonesia Main Dunya Ka 3rd Sub Say Barra Tropical Jungle Hay. Jisay Mehfooz Karnay Kay Liay Indonesia Kafi Waqt Say Steps Utha Raha Hay. 2016-17 Main Indonesia 11.2 Million Tonnes Carbon Dioxide Emissions Kam Karnay Main Kaymab Hua Tha. Jo Deforestation Yani Junglon Ki Katai Ko Kam Karnay Aur Inhain Bachay Ki Koshishon Ka Nateeja Thay. Aur Yahi Kaam Karnay Par Norway Usay Ye 56 Million Dollars Day Raha Hay.
Pehli Norway Indonesia Climate Deal 2020 Mein Hui Thi. Usi Saal Indonesia Ko Yeh Paisay Bhi Milnay Thay. Lekin Phir Norway Ne Naye Targets Aur Naye Mutalbay Rakh Diye. Jis Par Indonesia Ne Deal Torr Di. Ab New Agreement Kay Baad Indonesia Ko 10 Dinon Mein Payment Kar Di Jaye Gi.
Indonesia Lambay Arsay Tak Dunya Mein Sab Se Zyada Carbon Kharij Karne Walay Mulkon Mein Se Aik Tha. Is Ki Wajah Janglaat Ki Katai Aur Forest Fires Hain. Lekin Last Kuchh Saloon Mein Is Ki Janglaat Ki Katai Mein Kami Aai Hay.
Indonesia Mein Janglaat Ki Katai Ki Sharah 2019-20 Mein 285,400 Acres Thi, Jo 2014-15 Ke 2.69 Million Acres Ke Muqablay Mein Taqreeban 90 Feesad Ki Kami Hay.
Indonesia Ke Paas Is Waqt 22 Million Acres Se Zyada Ke Qudrati Janglaat Hain, Jin Mein Se Ziyaad Tar Hukoomat Ki Protection Mein Hain.
Climate Change Is Waqt Buhat Barra Masla Hay. Khud Indonesia Ko Sea Level Rise Ki Waja Say Apna Capital Jakarta Say Door Borneo Kay Island Par Lay Jana Parr Raha Hay.