Philippine Main Samandari Toofan Nalgae Nay Tabahi Macha Di Hay. Tu

Ghair Mulki Khabar Agency Kay Mutabiq Samandari Toofan Kay Baad Barishon Aur Sailaab Kay Sath Land Sliding Aur Deegar Hadsaat Main 98Amwwat Report Hochuki Hain. Aab Tak 31 Afraad Kay La Pata Honay Ki Tazdeek Hoi Hay.

Philippine Kay Southern Autonomous Territories Kay Ilakay Bangsamoro Main 10 Afrad Lapata Hoay Hain. Ghair Mamoli Mausami Halaat Say Infrastructure Ko Bhi Kafi Nuqsaan Pauhancha Hay. Ab Taak 384 Million Pesos ($9.3 Million ) Ka Nuqsaan Report Hochuka Hay.

President Ferdinand Marcos Jr. Nay Manila Kay Nazdeeki Province Cavite Main Sailabi Pani Main Ghiray Ilaqay Ka Fazai Jaiza Liye Hay.

Toofan Nalgae Ko Iss Saal Ka Dosra Bara Cyclone Qaraar Diya Gaya Hay. Philippine Main Annually 20 Samandari Toofan Atay hain.

Weather Forecast Ka Kehna Hay Toofan Nalgae 5 Baar Takranay Kay Baad Monday Ki Raat Taak Philppine Say Nikal Jaiga.

شیئر

جواب لکھیں