Crimea Ko Russia Se Milanay Walay Pull Per Hamlay Ke Aik Din Baad Russia Ne Ukraine Ke Capital Kiev Samait Kai Shehron Par Missile Fire Kiye Hain. Yeh Hamlay June Ke Baad Kiev Per Sab Se Shadeed Hamlay Betaye Ja Rahay Hain.

Russia Ke Saddar Vladimir Putin Ne Kaha Hay Ke Ye Crimea Pul Per “Dehsatgardi” Ke Khilaaf Russia Ka Jawab Hay.

Ukraine Hukkaam Ke Mutabiq Russian Missile Hamlon Main Kam Az Kam 11 Afraad Halaak Huye Hain.Un Main Se Aath Crimea Mein Halaak Huye Hain. Jabkay Mulk Bhar Main Taqreeban 60 Afraad Zakhmi Huye Hain.

Russin Afwaj Ne Ukraine Ke Energy Infrastrucure, Fauji Command Aur Mawaslati Tansibat Par Zameen, Samandar Aur Faza Se Jadeed Hathyaaron Ke Zariye Baray Paimanay Per Hamla Kiya. In Missile Hamlon Se Ukraine Ke Shehr Dhamakon Se Gonjtay Rahay. Log Apne Gharon Ko Chhor Kar Mehfooz Muqamat Tak Naqal Makani Per Majbur Ho Gaye.

Russian Hukkaam Ne Warning Di Hai Ke Agar Ukrain Ne" Russian Sarzamen Par Dehshat Gard Hamlay Jari Rakhay To Mazeed Sakht Jawab Diya Jaye Ga.

شیئر

جواب لکھیں