Shatim e Rasool Salman Rushdie 2 Maah Qabul Honay Walay Qatilana Hamlay Main Shadeed Zakhmi Honay Kay Baad Aik Ankh Aur Bazou Say Mehroom Hogaya.

Indian Nizaad Rushdie Kay Agent Andrew Wylie Nay Spain Kay Akhbar Al Peace Ko Interview Main Bataya Kay Rushdie Kay Seenay Aur Jism Per Mazeed 15 Zakham Hain. 12 August Ko Newyork Main Honay Walay Hamlay Kay Baad Rushdi Ko Helicopter Say Hospital Muntaqil Kiya Gaya Tha.

Rushdie Per Hamla 24 Saal Kay Irani Naujawan Hadi Muttar Nay Kiya Tha. Iran Kay Rouhani Peshwa Ayat Ullah Khumani Nay Salman Rushdie Kay Qatal Ka Fatwa Jari Kiya Tha.

Paighambar e Islam Per Tauheen Aamaiz Kitaab Likhnay Kay Baad Uss Per Kai Hamlay Hoay Aur Woh Raposhi Ki Zindagi Guzar Raha Tha.

شیئر

جواب لکھیں