Mehngai Ab Sirf Gharib Mulkon Aur Gharib Afrad Ka Problem Nahi Raha. Is Monster Ne Dunya Ke Sab Mulkon Ko Apnay Panjon Main Jakar Liya Hay.

Geopolitical Tensions Ki Wajah Se Energy Costs Barhti Ja Rahi Hain. Supply Side Main Disruptions Ki Wajah Se Bhi Consumers Per Burden Par Raha Hay. Is Ka End Result Ye Hay Ke Dunya Ke Almost 50% Mulkon Main Double Digit Ya Us Se Bhi Higher Inflation Ho Chuki Hay.

2022 Main Mehngai Ke Maar Kahan Kahan?

Jesa Ke Map Main Dekha Sakta Hay, In Dinon Beshumar Mulk Record-High Levels Of Inflation Se Guzar Rahay Hain. Kuch Mulkon Main Tou Mehngai Ka Rate Triple Digits Main Pohanch Chukka Hay. Globally, Zimbabwe, Lebanon, Aur Venezuela Main Inflation Dunya Bhar Main Sab Se Zyada Hay.

Inflation Barhnay Ki Wajah Se Bank Of International Settlements Ke 38 Main Se 33 Members Central Banks Ne Interest Rates Barha Diya Hain. Ye Coordinated Rate Hikes 20 Years Main Highest Hain. Jo Lower Interest Rate Ka Era Khatam Honay Ko Present Karta Hay. Deegar Mulkon Main Bhi Interest Rate 23 Saal Ke Highest Lebel Per Pohanch Chukka Hay.

2023 Main Bhi Inflation Aggressively High Rehnay Ka Amikan Hay Is Liye Central Banks Is Saal Bhi Hawkish Policies Continue Rakh Saktay Hain.

Mehnagi Main Energy Prices Ka Role

Ukraine War Ki Wajah Se Energy Inflation Barhi Hay Aur Dunya Bhar Main Cost Of Living Main Izafa Hua Hay.

Crude Oil, Natural Gas, Coal, Aur Propane Per Mushtamil Index Of Global Energy Prices Main October 2020 Se Drastic Increase Hua Hay.

Raftar Bharne Do
2 Saal Main Dunya Mian Energy Prices Double Ho Gai Hain.

Sardiya Barhnay Ke Saath Hi Dunya Bhar Ke Mulkon Main Lng Ke Liye Sakht Competition Hay. Is Liye Recent Fall Ke Bawajood Energy Price High Rehnay Ki Prediction Ki Ja Rahi Hay. Energy Shock Ke Dusray Consequence Price Volatility, Economic Strain Aur Energy Shortage Ki Surat Main Nikaltay Hain.

“Duyna Pehlay True Global Energy Crisis Se Guzar Rahi Hay, Is Ke Impacts Aglay Kai Saal Tak Rahen Gay.”

Fatih Birol, Executive Director Of The IEA

Double-Digit Inflation: Kab Tak Rahay Gi? 

Agar History Se Misaal Li Jaye, Tou Rising Prices Ko Control Main Lanay Ke Liye Kai Baras Lag Jatay Hain.

1980s Mian Inflation Sky-High T Ak Ja Pohnchi Thi. Italy Ne Dusre Mulkon Ke Muqablay Main Inflation Per Sab Se Pehlay Qabu Paya Tha. 1980 Main Italy Main Inflation 22% Thi Jo 1986 Main 4% Per Aa Gai.

2022 Main Global Inflation Rate 9.8% Ke Aas Paas Hay, Economist Ka Kehna Hay 2% Ke Target Tak Lanay Ke Liye At Least 2025 Tak Wait Karna Paray Ga.

America Ka Federal Reserve Project Karta Hay Ke U.S. Inflation 2024 Tak 2% Target Tak Aa Jaye Gi Lekin Is Dauran Boht Se Ups And Downs Aatay Rahen Gay.

Paksitan Main Mehngai Ka Jin Kab Bottle Main Band Ho Ga?

Pakistan Main Inflation Global Crisis Se Pehlay Hi Double Digits Main Pohnch Chuki Thi. Higher Energy Prices Ne Isay Mazid Fuel Kiya Hay. Mulk Main Rupya 4 Saal Main Almost 70% Devalue Ho Chukka Hay. Import Based Country Honay Ki Wajah Se Mulk Ka Trade Deificit Bhi Barhta Ja Raha Hay. Is Ke Nateejay Main Dollar Ki Value Barhnay Se Bhi Inflation Main Izafa Hua Hay. 

IMF Ke Loan Program Ki Conditions Ka Natija Bhi Awam Ko Mehngai Ki Surat Main Bear Karna Parta Hay. Political Uncertainty Ki Wajah Se Bhi Business Activities Stagnant Hui Hain. Aur Floods Se Bhi Pakistan Ki Economy Ko Almost 40 Billion Dollars Ka Loss Hua. Ye Saray Factors Mil Kar Mehngai Ki Aag Ko Mazeed Bharka Rahay Hain.

Economists Ke Mutabiq Political Stability Rahi Tou Bhi Pakistan Main Inflation Ko Single Digit Main Lanay Ke Liye Kai Saal Lag Jayen Ge.

شیئر

جواب لکھیں