Daulat Main Bohat Taqat Hoti Hay. Chahay Individual Hon A Mulk. Agar Daulat Na Ho Tou Us Ka Wujood Khatrat Se Dochar Ho Jata Hay. Yehi Wajah Hay Ke Dunya Ke Most Powerful Countries Ki List Per Nazar Daalen Tou Wohi Mulk Top Of The List Hain Jin Ki Economy Strong Hay, GDP Aur GDP Growth Achi Hay. Foreign Exchange Reserves Zyada Hain.

America Ke US News And World Report Ne Saal 2022 Ke Most Powerful Countries Ki Ranking Jari Ki Hay. Is Ranking Ke Mutabiq America Aur China Dunya Ke Most Powerful Mulk Hain. Top 10 Ki Main UAE Bhi Shamil Hay. Jabkay Ukraine Ko 14th Number Per Jagah Mili Hay.

Raftar Bharne Do

Ranking Ke Liye Is Baat Ko Dekha Jata Hay Ke Kisi Mulk Ki Leadership Kesi Hay, Us Ka Economic Aur Political Influence Kitna Hay. Us Ke International Alliance Kese Hain Aur Us Ki Military Kitni Strong Hay.

 Ye Ranking Annual “Best Countries Study’ Ka Part Hay. Jis Main 85 Countries Ko Review Kiya Gaya. Survey Main36 Mulkon Ke 17,000 Afrad Ka Opinion Liya Gaya.

Top 10 Most Powerful Countries

10. Israel

Raftar Bharne DoGDP
$482 billion
GDP PER CAPITA, PPP
$43,722
CAPITAL
Jerusalem
POPULATION
9,364,000
AREA
21,937 SQ.KM

Israel Area Aur Population Main Bohat Chhota Hay Magar Is Ke Bawajood Global Affairs Main Bara Role Play Karta Hay. Palestine Per Illegal Qabza Kar Ke Banaye Gaye Is Mulk Ko Shuru Hi Se America, UK Aur Dusray Western Mulkon Ki Support Hasil Rahi Hay. Yehi Wajah Hay Ke Is Ki Economy Bohat Strong Hay Aur Technology Main Bohat Aagay Nikal Chukka Hay.

Israel Dunya Ki 8th Atomic Power Bhi Ban Chukka Hay. Jis Ke Paas 60 Se Zyada Nuclear Hathyar Hain.

9. UAE

Raftar Bharne DoGDP
$359 billion
GDP PER CAPITA, PPP
$66,766
CAPITAL
Abu Dhabi
POPULATION
9,991,083
AREA
83,600 SQ.KM

Pichlay 50 Saal Main UAE Ne Jo Development Ki Hay Wo Dunya Main Aik Example Qarar Di Jati Hay. Is Ki Bunyadi Wajah Ye Rahi Ke Wahan Oil Ke Baray Reserves Discover Huay.

CIA Ki World Fact Book Ke Mutabiq UAE Ki Per Capita Gross Domestic Product Leading Western European Nations Ke Barabar Pohanch Chuki Hay.

UAE Ke Rulers Ne Apni Achi Management Ki Wajah Se Apnay Mulk Ko Tourists Aur Investors Ke Liye Attraction Bana Diya Hay.

World Economic Forum Ne UAE Ko Arab World Ki Most Competitive Economy Qarar Diya Hay.

Pichlay Saal Is List Main UAE Ka Number 10 Tha.

8. Japan

Raftar Bharne DoGDP
$4.94 trillion
GDP PER CAPITA, PPP
$42,940
CAPITAL
Tokyo
POPULATION
125,681,593
AREA
377,915 SQ.KM

US News Japan Ko "Most Literate And Technically Advanced Nations." Main Se Aik Qarar Deta Hay.

Japan Ki Economy Dunya Main 3rd Number Per Hay. Japan Electronic Equipment, Motor Vehicles Aur Steel Ke Largest Producers Main Shamil Hay.

Japan Pichlay Saal Most Powerful Countries Ki List Main 6th Place Per Tha, Is Saal Japan Ke Rank Main Kami Hui Hay.

7. France

Raftar Bharne DoGDP
$2.94 trillion
GDP PER CAPITA, PPP
$50,729
CAPITAL
Paris
POPULATION
67,499,343
AREA
643,801 SQ.KM

US News Ke Mutabiq France Aik "Wealthy, High-Income Nation" Hay Jis Ka Global Influence Ignore Nahi Kiya Ja Sakta.

US News Kehta Hay Ke "France Dunya Ke Oldest Countries Main Shamil Hay Aur  Science, Politics, Economics Aur Culture Ke Zariye Is Ki Reach Puri Dunya Main Hay.”

Apni Historical Sites Aur Dusri Attraction Ki Wajah Se France Most Visited Countries Main Shamil Hay. France One Of The Biggest Weapon Exporters Bhi Hay.

6. South Korea

Raftar Bharne DoGDP
$1.80 trillion
GDP PER CAPITA, PPP
$46,918
CAPITAL
Seoul
POPULATION
51,744,876
AREA
99,720 SQ.KM

South Korea Ne Kuch Hi Arsay Main Be Missal Taraqqi Ki Hay. Is Ki Wajah Us Ki  "High-Tech, Service-Based Economy" Hay. South Korea Ki Sirf Aik Company Samsung Ka 2022 Main Revenue 264 Billion US Dollar Tha. Jab Ke Pakistan Ke Puray Mulk Ke Exports Sirf 30 Billion Us Dollars Hain.

South Korea Pichlay Saal 8th Position Per Tha. Is Saal Is Ki Position Behtar Hui Hay.

5. United Kingdom

Raftar Bharne DoGDP
$3.19 trillion
GDP PER CAPITA, PPP
$49,675
CAPITAL
London
POPULATION
67,326,569
AREA
243,610 SQ.KM

US News Kehta Hay Ke “UK  Aik Highly Developed Nation Hay Jo Puri Dunya Per Considerable Economic, Political, Scientific Aur Cultural Influence Dalta Hay”

UK Ne Kisi Zamany Main Adhi Dunya Per Hukumat Ki Thi. Waqt Ke Saath Us Ke Saltanat Tou Simat Gayi Lekin Affluence Barqarar Rahi Hay.

Brexit Ne UK Ki Position Ko Kisi Had Tak Mutasir Tou Kiya Hay Lekin Ab Bhi Ye Dunya Ke Most Powerful Countries Main Shamil Hay.

4. Germany

Raftar Bharne DoGDP
$4.22 trillion
GDP PER CAPITA, PPP
$57,928
CAPITAL
Berlin
POPULATION
83,129,285
AREA
357,022 SQ.KM

Germany European Union Ka Most Populous Country Hay Aur Dunya Ke Largest Economies Main Shamil Hay. 1990 Main West Aur East Germany Ki Reunification Ke Baad Se International Community Main Is Ka Role Barha Hay.

Germany Agarchay UN Security Council Ke 5 Permanent Members Main Shamil Nahi Aur Na Us Ke Paas Nuclear Arsenal Hain Lekin Atomic Weapons Bananay Ki Capability Rakhta Hay.

3. Russia

Raftar Bharne DoGDP
$1.78 trillion
GDP PER CAPITA, PPP
$32,803
CAPITAL
Moscow
POPULATION
143,446,060
AREA
17,098,242 SQ.KM

Ukraine Per Hamlay Ke Baad Russia Ko Dusray Countries Ki Taraf Se Backlash Aur Sanctions Ka Samna Karna Para Hay. Magar Is Se Russia Ki Economy Aur Military Power Per Koi Khaas Farq Nahi Para.

Russia Land Mass Ke Lehaz Se Dunya Ka Sab Se Bara Mulk Hay. Oil Aur Gas Ke Vast Reserves Ki Wajah Se Russia Dunya Ke Largest Economies Main Shamil Hay.

Russia UN Security Council Ka Permanent Member Hay Aur G20 Samait Major International Groups Ka Member Bhi Hay.

 2. China

Raftar Bharne DoGDP
$17.7 trillion
GDP PER CAPITA, PPP
$19,338
CAPITAL
Beijing
POPULATION
1,412,360,000
AREA
9,596,960 SQ.KM

China Dunya Ka Most Populated Mulk Hay. Cheap Labour Aur Technology Main Advancement Ki Wajah Se China Dunya Bhar Ki Markets Per Chaya Hua Hay. Yehi Wajah Hay Ke China Ke Foreign Reserves Dunya Main Sab Se Zyada Hain.

China Dunya Ke Second Largest Economy Hay. Dunya Ke Mukhtalif Mulkon Main Investment Ki Wajah Se China Ka Influence Bhi Bohat Barh Chukka Hay. Khas Tor Per 'Belt And Road Initiative' Ke Baad China Ki Reach Mazeed Barh Rahi Hay.

China Bhi Nuclear Power Hay Aur Security Council Ke Permanent Members Main Shamil Hay.

1. United States

Raftar Bharne DoGDP
$23.0 trillion
GDP PER CAPITA, PPP
$69,288
CAPITAL
Washington, DC
POPULATION
331,893,745
AREA
9,833,517 SQ.KM

America 2022 Ki Ranking Main Bhi Top Per Hay.

US News Ke Mutabiq US Dunya Ki Most Dominant Economic And Military Power Hay, Jis Ka Influence Puri Dunya Per Hay.

America Second World War Ke Baad Super Power Ki Hesiat Se Ubhra. Aik Zamanay Main Russia Aur America 2 Super Powers Samjhay Jatay Thay. Cold War Ke Dauran In Donon Mulkon Ke Conflicts Se Puri Dunya Mtasir Hui Thi.

US Aaj Bhi UN Aur NATO Jesi International Organizations Main Leading Role Play Karta Hay.

In Ke Elawa Top 25 Main Mazeed Jo Mulk Shamil Hain Un Ke Naam Ye Hain.

11. Saudi Arabia19. Spain
12. Canada20. Switzerland
13. India21. Brazil
14. Ukraine22. Sweden
15. Italy23. Qatar
16. Australia24. Netherlands
17. Turkey25. Belgium
18. Iran

Dilchasp Baat Ye Hay Ke 85 Mulkon Ki Is List Main Pakistan Ko Shamil Hi Nahi Kiya Gaya. Halankay Pakistan Dunya Ke 7th Nuclear Power Aur 5th Most Populous Country Hay. Pakistan Army Ka Shumar Bhi Dunya Ki Top Forces Main Hota Hay.

شیئر

جواب لکھیں