Koi Kuch Bhi Kahay, Haqeeqat Ye Hay Ke Babar Azam Ko Roknay Wala Koi Nahi. ODI Team Of The Year Ka Captain Bananay Kay Baad ICC Nay Unhain ODI Player Of The Year Ka Award Bhi Day Dia Hay. Youn Babar Consecutive Years Mein Ye Title Jeetnay Walay Legends Mein Shamil Ho Chukay Hain.

Babar Say Pehlay MS Dhoni, AB De Villiers Aur Virat Kohli Hi Aisay Player Guzray Hain Jinhon Nay Ye Karnama Anjam Dia Hay, Yani Musalsal 2 Saal ODI Player Of The Year Banay. Aur Haan! Babar Ye Award Hasil Karnay Walay First And Only Pakistani To Hain Hi.

Babar Aur 2022

Babar Azam Nay Saal 2022 Mein 9 Matches Mein Approx. 85 Kay Average Say 679 Runs Banaey. 9 Innings Mein 8 Fifty Plus Innings Theen, Balke 3 Innings To Triple Figures Main Gaeen.

FormatMatRunsHSAveSR10050
Test9118419669.6454.9447
ODI967911484.8790.7735
T20i26735110*31.95123.3215

Babar Nay Saal Bhar Apni No. 1 ODI Batter Ki Position Barqarar Rakhi. Wo July 2021 Say Ab Tak No. 1 Hain Aur Koi Doosra Batter Un Ka Muqabla Karta Nazar Nahi Aata.

ODI Batting Rankings

Last updated: 26 Jan 2023

PosPlayerRating
1Raftar Bharne Do Babar Azam887
2Raftar Bharne Do Rassie van der Dussen766
3Raftar Bharne Do Quinton de Kock759
4Raftar Bharne Do David Warner747
5Raftar Bharne Do Imam-ul-Haq740

Phir Ye Sirf Individual Performance Nahi Hay. Babar Ki Kaptaani Mein Pakistan Nay Bhi 2022 Mein Apnay 9 Mein Say 8 Matches Jeetay.

Yaadgaar Innings

Saal 2022 Mein Babar Ki Sab Say Yaadgaar Innings Thi Australia Kay Against 2nd ODI Mein. Is Important Match Mein Babar Nay Us Waqt Century Banai, Jab Pakistan Ko 349 Runs Ka Target Chase Karna Tha, Aur Aik Captain Innings Ki Sakht Zarurat Thi.

Pakistan Ko 187 Balls Par 231 Runs Required Thay, Tab Babar Nay Sirf 73 Balls Par Apni Fastest ODI Century Banai. Aur 83 Balls Par 114 Runs Score Kiay. Is Innings Ki Badault Pakistan Nay Apna Highest Successful ODI Runs Chase Kia. Aur Man Of the Match Kaun Ho Sakta Tha Siwaey Babar Kay?

Shayad Yahi Innings Thi Jis Nay Faisla Kia Ke ODI Ka Badshah Sirf Aur Sirf Babar Hoga.

شیئر

جواب لکھیں