Pandemic Kay Baad Tech Giants Nay Itnay Logon Ko Nikala Hay, Itnay Logon Ko Nikala Hay Ke Ab Ye News News Hi Nahi Lagti. Covid Nay Jahan Dunya Ka Hila Dia Tha, Waheen In Tech Companies Kay Liay Rehmat Ban Kar Aaya Tha. Dunya Online Aa Gai Thi Aur Work From Home Culture Barha To Inhon Nay Bara Maal Banaya.

Laikin Zara Halaat Kya Badlay, Sab Say Pehlay Inhon Nay Hi Apnay Employees Ko Nikaalna Shuru Kardia. Aur New Year Mein To Layoffs Ki Speed Aur Barh Gai Hay. 2022 Mein Tech Giants Nay Total 150,000 Employees Ko Fire Kia Tha, Laikin 2023 Kay First Week Mein Hi Is Kay 30% Log Nikaalay Ja Chukay Hain, Yani Approx. 50,000.

Supply Chain Kay Issues Apni Jaga, Inflation Aur Ukraine War Kay Business Par Effects Bhi Hain, Laikin Abhi To Recession Ka Khatra Hi Paida Hua Hay Ke Sab Say Pehlay Big Tech Companies Kay Haath Pair Phool Gaey Hain.

Na Ruknay Wala Silsila

Aur Abhi Ye Silsila Ruka Nahi Aur Na Rukay Ga. Aanay Walay Dinon Mein Amazon Aur Microsoft Mazeed Job Cuts Kay Liay Tayar Bethay Hain. Microsoft Ka Kehna Hay Ke Wo Apni 5% Workforce Kam Karay Ga, Yani 10,000 Logon Ko Nikalay Ga. Phir Google-Backed ShareChat Hay Jo Apnay 2,200 Mein Say 400 Employees Nikalnay Wala Hay. Yahi Nahi Google Ki Parent Company Alphabet Ki Aik Aur Company Intrinsic AI Bhi Apnay 20% Logon Ko Farigh Kar Day Gi. Amazon To Phir Sab Say Aagay Nazar Aata Hay Jis Nay Kaha Hay Ke Wo Is Maheenay 18,000 Mulazim Nikalay Ga.

Domino Effect

Is Domino Effect Ka Start Hua Twitter Kay Hathon. Jis Ka Malik Badla Aur Phir Hazaron Ki Shamat Aa Gai. Jab Tech Giants Nay Dekha Ke Is Harkat Par Bhi Kuchh Nahi Hua To Wo Bhi Is ‘Race’ Mein Shamil Ho Gaey. Amazon Say Spotify Tak, Sabhi Nay Apna Kaam Dikhaya. Google Nay 20 January Ko 12,000 Employees Nikalay, Facebook Ki Parent Company Meta Nay Last Year 11,000 Ko Bye Bye Kaha, Yani Total Workforce Kay 13% Ko. Phir Amazon Aur Microsoft Hain 10,000 Each Kay Sath. Salesforce Nay 8,000 Nikalay.

CompanyEmployees Fired
Raftar Bharne Do Google12,000
Raftar Bharne Do Meta11,000
Raftar Bharne Do 10,000
Raftar Bharne Do Microsoft10,000
Raftar Bharne Do Salesforce8,000
Raftar Bharne Do4,375
Raftar Bharne Do 4,100
Raftar Bharne Do 4,000
Raftar Bharne Do 3,700
Raftar Bharne Do Twitter3,700

Is List Mein Aur Bhi Baray Naam Hain, Maslan: Booking.Com, Cisco, Philips, Uber Aur Phir Kaheen Ja Kar Twitter Ka Naam Aata Hay Jis Nay 3,700 Logon Ko Job Say Farigh Kia, Wo Alag Baat Kay Ye Us Ki Total Workforce Ka 50% Tha. Laikin Jo Elon Musk Jo Trend Set Kar Kay Gaey Hain, Wo Kafi Arsay Chalta Rahay Ga. Jo Kami Reh Gai Hay Wo Artificial Intelligence Ka Inqilab Puri Kar Day Ga.

شیئر

جواب لکھیں