International Cricket Council Nay T20 Aur Test Kay Baad ODI Team Of The Year Bhi Announce Kardi Hay. Saal 2022 Main 50 Overs Format Mein Zabardast Performance Dainay Walay 11 Players Ki Aik Team Muntakhib Ki Gai Hay Aur Us Ka Kaptaan Banaya Gaya Hay Apnay Babar Azam Ko.

Yani Jo Apnay Mulk Mein Kisi Ko Acha Nahi Lag Raha, Jis Ki Kaptaani Khatray Mein Nazar Aati Hay, Cricket Kl Supreme Authority Ki Nazar Mein Us Say Behtar Captain Dunya Mein Koi Nahi. Isi Ko Urdu Mein Kehtay Hain “Ghar Ki Murghi, Daal Barabar.

ICC Kehta Hay Ke Babar Azam Nay Saal 2022 Mein 9 ODIs Khelay Aur Musalsal 8 Fifty Plus Score Kiay, Jin Mein Say 3 To Centuries Main Convert Bhi Kiay. Unhon Nay Saal Ka End Approx. 85 Kay Average Say 679 Runs Kay Sath Kia.

Babar Azam Aur Saal 2022

FormatMatRunsHSAveSR10050
Test9118419669.6454.9447
ODI967911484.8790.7735
T20i26735110*31.95123.3215

2022 Ko As A Captain Bhi Babar Azam Kay Liay Aik Yadgaar Saal Qarar Dia Gaya Hay, Jis Mein Unhon Nay Teenon ODI Series Jeet Kar Dikhayeen. 2022 Mein 9 ODIs Mein Pakistan Ko Sirf 1 Shikast Hui. Yahi Waja Hay Ke Babar Azam Ko ICC ODI Team Of The Year Ka Captain Banaya Gaya Hay.

Team Mein Kaun Kaun?

Team Kay Baqi 10 Players Raftar Bharne Do Australia Kay Travis Head, Raftar Bharne Do West Indies Kay Shai Hope, Raftar Bharne Do India Kay Shreyas Iyer, Raftar Bharne Do New Zealand Kay Tom Latham, Raftar Bharne Do Zimbabwe Kay Sikandar Raza, Raftar Bharne Do Bangladesh Kay Mehidy Hasan Miraz, Raftar Bharne Do India Kay Mohammad Siraj, Raftar Bharne Do New Zealand Kay Trent Boult Aur Raftar Bharne Do Australia Kay Adam Zampa Shamil Hain. Yani Team Mein Babar Azam Kay Siwa Koi Doosra Pakistan Nahi Hay.

Australia, West Indies, India Aur New Zealand Kay 2,2 Aur Pakistan Kay Ilawa Zimbabwe Aur Bangladesh Ka 1,1 Player Squad Mein Hay. Yani England, South Africa, Sri Lanka, Afghanistan Aur Ireland Ka Koi Player Is Team Ka Hissa Nahi.

Chance, Jo Miss Ho Gaya

Waisay Babar Azam Nay New Zealand Kay Against Last Series Mein ODI Rankings Mein World No. 1 Ban’nay Ka Mauqa Zaroor Zaya Kia. Pakistan Agar New Zealand Kay Against Series Mein Clean Sweep Kar Leta To 2002 Kay Baad Pehli Baar ODIs Mein No. 1 Ban Jata. Laikin Babar XI Series Mein Lead Lainay Kay Bawujood Haar Gai Aur Ye Khwab Toot Gaya.

Isay Babar Ki Khush-Qismati Kehna Chahiye Ke Ye Shikast Naey Saal Mein Hui, Warna 2022 Mein ODIs Ki Unbeatable Team Rehnay Ka Medal Na Milta.

Khair, Bawujood Is Kay Babar Azam Par Aik Talwar Latak Rahi Hay. Pakistan Cricket Board Ka Setup Mukammal Taur Par Badal Chuka Hay. Chairman Na Rahay, Selection Committee Farigh Hui, Coach Ki Kahani Bhi Khatam Hui Aur Ab Sawal Hay Captain Ki Kaptaani Ka. Lagta Yahi Hay Ke Babar Azam Kay Liay 2023 Aasan Nahi Hoga. Chahay ICC Kuch Bhi Kahay, PCB Kay Old Age Home Mein Faislay Kuch Aur Hi Hongay.

شیئر

جواب لکھیں