Woh Aya, Us Nay Dekha Aur Fatah Ker Liya, Pakistan Cricket Main Yeh Baat Shahid Afridi Per Jachti Hay. Wo 1996 Main International Cricket Main Aay Aur Aatay Hi Chha Gaey. Aaj 26 Saal Baad Bhi Shahid Ka Players Per Influence Baqi Hay.
December Main Pakistan Cricket Board Main 'Inqilab' Aaya To New Management Nay Shahid Afridi Ko As An Interim Chief Selector Appoint Kerdiya. Ye 'Lala' Kay Liye Bilkul New Pitch Thi. Captain Say Mentor Aur Leg Spinner Say Hard Hitting Opening Batsman Tak, Lala Buhat Kuch Rahay Magar As A Chief Selector Un Ka Debut Kaisa Raha? Ye Faisla Abhi Baqi Hay.
Pehla Imtehan
Shahid Afridi Ka Pehla Imtehan New Zealand Kay Against Test Series Tha. Un Ko Us Squad Ko Review Kerna Tha Jo Pehlay Hi Announce Ho Chuka Tha. Phir Social Media Par Shor Say Muta'sir Ho Kar Sarfraz Ahmed Aur Mir Hamza Ko Bula Lia Gaya. 'Saifi' Ko Wapis Lanay Ka Bold Step Khoob Saraha Gaya, Aur Achi Baat Ye Hui Kay Lala Ka Ye Faisla Durust Bhi Sabit Hua. Sarfraz Nay 4 Ki 4 Innings Main Behtareen Performance Dikahi.
ODI Ki Team
Phir, ODI Kay Liye Shahid Afridi Nay Mazeed Bold Decisions Liye. Is Squad Ki Achi Baat Ye Thee Kay Is Main Pakistan Cup Kay Top Performers Shamil Kiye Gaey. National One-Day Tournament Main Sub Say Zyada Runs Bananay Walay Batsman Tayyab Tahir Aur Best Bowler Usama Mir Bhi Bula Liay Gaey.
Jahan Young Players Ko Chance Denay Per Shahid Afridi Ki Tareef Ki Gai, Waheen Fakhar Zaman Ko Bahar Kernay Per Tanqeed Bhi Hui. Is Tanqeed Ko 'Lala' Nay Light Nahi Lia, Fakhar Ko Bulaya Aur Ye Faisla Bhi Durust Sabit Hua, Last ODI Mein Fakhar Ki Century Say.
Ab Masla Yeh Hay Kai Shahid Afridi Aur Un Ki Sathi Selectors Ko Sirf New Zealand Kay Against Series Kay Liye He Interim Selector Appoint Kiya Gaya Tha. Yani Series Khatam, Aur Lala Tenure Bhi Apparently 'The End'"' Ho Gaya.
Isi Liay Shahid Afridi Nay Pakistan Cricket Board Ka Shukriya Ada Kartay Huay Ye Tweet Kia Hay. Jis Mein Umeed Bhi Zahir Ki Gai Hay Kay Woh Apnay Decisions Say Cricket Fans Ki Expectations Per Poora Utray Hongay.
Ab Pakistan Ki Next International Commitment Hay April Main New Zealand Kay Against Aik Aur Series. Us Say Pehlay Pura Pakistan Masroof Hoga, Pakistan Super League Main, Jahan Mazeed Young Talent Bhi Samnay Aaey Ga. Home Ground Per Consecutive Defeats Aur Babar Azam Ki Kaptaani Per Question Mark Kay Baad Aik BOLD Chief Selector Buhat Zaruri Hay. Ho Sakta Hay Kay Wo Lala Hi Hon?