Shan Masood Ka Sitara Gardish Main Hay. Woh Pakistan Ki One Day Team Kay Vice Captain Bhi Banay Mager Team Main Un Ki Jagha Na Ban Saki. New Zealand Kay Against Pehlay 2 ODI Main Shan Ko Final Squad Mai He Shamil Nahi Kia Gaya Aur Jab Woh Imam Ul Haq Kay Injured Honay Kay Bad Team Main As An Opener Aei Tou As A Vice Captain Pehlay He Match Main Zero Per Out Hogaey.

Shan Masood Nay 10 Saal Pehlay Apnay International Cricket Career Ka Aghaz Kiya. Woh Team Say In Out Hotay Rahay. Kisi Zamanay Main Woh Short Ball Kheltay Hoay Mushkil Ka Shikaar Hotay. Un Ki Aik Weakness Off Side Say Bahar Janay Wali Balls Say Shair Khani Bhi Thei. Taham Waqt Badala Aur Shan Nay Kuch Jaan Pakri. Un Ki Batting Main Maturity Aei Mager Qismaat Nay Sath Na Diya.

Debut Kay Bad Un Ki Performance Main Tasalsul Nahi Tha. Woh Ager Chay Sirf Test Team Taak Limited Thay Mager ODI Team Main Shamil Kernay Kay Liye Awazain Uthti Rahein.

Apni Akheri ODI Series Main Shan Nay Australia Kay Against UAE Main Koi Khas Performace Nahi Di. 5 Matches Ki Series Main Woh Sirf 111 Runs Score Kersakay. Is Main Sirf 1 Fifty Ka Score Tha. March 2019 Main Honay Wali Iss Series Kay Bad Shan Ko ODI Team Say Drop Kerdiya Gaya.

Shan Ki ODI Main At Least 4 Years Bad Wapsi Hoi Aur Phelay He Match Main Woh Phir Naakaam Hogaey. Shan Ki ODI Average Sirf 22.20 Aur Strike Rate Bhi 76.55 Ka Hay. Is Performance Per Unki Kisi Surat ODI Team Mai Jagha Nahi Banti Aur Vice Captain Tou Banai Janay Ja Sawal Hi Paida Nahi Hota.

Shan Masood Ki Wapsi

Is Say Pehlay Jab September 2022 Main Shan Ki Pakistan T20 Team Main Wapsi Hoi Tou Unhonay Apnay 2nd Match Main 65 Runs Not Out Ki Innings Kheli. Woh Is Match Main 2 Down Aei Thay. Taham Shan Pakistan Ko Yeh Match Na Jeetwa Sakay. Is Innings Say Youn Laga Kay Shan Shahyed Kuch Seekh Ker Aei Hain. Mager Aisa Hoa Nahi Aur Shan Phir Flop Hotay Rahay. Unhonay Aik Aur 50 Plus Ka Score Tou Kia Mager Pakistan Ko Phir Nahi Jeetwa Sakay. Is Match Main Woh One Down Ki Position Per Khelnay Aei Thay. Itnay Chance Milnay Kay Bad Bhi Shan Mazeed Bara Score Kernay Aur Pakistan Ko Jeetwanay Main Nakaam Rahay.

Opening Batter Ko Worldcup T20 Main National Team Kay Sath Australia Lai Jaya Gaya. Shan Nay Wahan India Kay Against Pehlay Match Main 50 Plus Ka Score Tou Kiya Mager Pakistan Phir Haar Gaya. Shan Baqi Matches Main Koi Bari Innings Na Khel Sakay.

Youn Lag Raha Tha Kai Shan Sirf Pehlay Match Kay Player He Hain Aur Us Performance Per He Poori Series Ya Tournament Khel Jatay Hain. Shan Ko Phir Bhi Team Say Bahar Nahi Kiya Gaya Aur Woh Squad Kai Sath He Rahay.

Test Team Main Shan Masood Agaey

Three Years Kay Gap Kay Bad Shan Masood National Test Main Aei Aur England Aur Phir New Zealand Kay Against Home Test Series Main Un Ko Playing Eleven Main Moqa Diya Gaya.

Aab Zara Test Team Main Wapsi Say Phelae Yeh Daikhain Kay Shan Ka Test Record Kia Tha. Un Honay 25 Test Matches Main 1378 Runs Score Kiye Thay. Is Main Un Ka 7 Innings Main Zero Score Tha. Unhonay 4 Centuries Aur 6 Fifties Score Ki Thein. Modern Day Test Cricket Main Bhi, As An Opening Batsman, Un Ki Average Sirf 29.31 Thei.

Shan Masood
Shan Masood

Wapsi Kay Bad Bhi Shan Koi Teer Na Maar Sakay. 3 Test Matches Ki 6 Innings Main Woh 35 Say Ziada Runs Ki Bhi Koi Innings Na Khel Sakay. Shan Say Jo Umeedain Wabasta Thein, Woh Sab Zaaya Gaein. 20.33 Ki Average Say Woh Sirf 122 Runs Score Ker Sakay Jo Waqi Un Ki Performance Per Question Mark Tha.

Cricket Kay Factions Main Pakistan Ki Performance Ko Lai Ker Jahan Batain Chalti Rahein Wahen Shan Masood Ka Naam Vice Captain Aur Phir Captain Kay Toar Per Bhi Liya Janay Laga. Iss Current Form Aur Performance Per Tou Shan Ki National Team Main Place He Nahi Banti Mager Pata Nahi Kis Formula Per Shan Ko “ National Asset” Declare Kia Gaya.

Iss Age Aur Aisi Form Kai Sath Ager Shan Team Say Drop Hoay Tou Un Ki Dobara Wapsi Mushkil Hojai Gi. Yeh World Cup Ka Saal Bhi Hay Ager Imam Ul Haq Aur Fakhar Zaman Kay Sath Shan Ko As A 3rd Opener National Squad Main Ab Mazeed Jagha Milna Bazahir Mushkil Nahi, Na Mumkin Nazar Araha Hay.

شیئر

جواب لکھیں