Khwab Toot Gaye, Armaan Aansu’on Mein Beh Gaye, 92 Ki Tareekh Dohranay Ki Sab Baatein Dam Torr Gayeen. Yani England 30 Saal Purana Badla Lainay Mein Kamyaab Ho Gaya Aur Pakistan T20 World Cup Ke Final Mein Pohanch Kar Bhi Champion Nahi Ban Saka. Aisa Kyun Hua? Kaisay Hua? Aaen Aap Ko Batatay Hain.
T20 Aur Sessions
Jis Tarah Test Cricket Mein Sessions Hotay Hain. Din Ke Aaghaz Se Khanay Ke Waqfay Tak Pehla Session, Phir Chaye Ke Waqfay Tak Doosra Aur Phir Din Ka Aakhri Session. Teams Ziyada Se Ziyada Sessions Jeetnay Ki Koshish Karti Hain Kyunkay Isi Tarah Woh Match Jeet Sakti Hain.
T20 Cricket Bhi Kuch Aisi Hi Hota Hay. Aik Innings Mein Pehla Session Hota Hai Powerplay Ka. Batsman Fielding Restriction Ka Faida Uthanay Ki Koshish Karte Hain. Har Team Ki Khwahish Hoti Hai Ke Yeh Overs Poori Tarah Exploit Karay. Is Ke Baad Innings Build Karne Ka Phase Aata Hai, Jis Mein 7th Se 15th Over Tak Innings Consolidate Ki Jati Hai. Phir Last Overs Mein Batting Line Apna Aakhri Zor Lagati Hai Aur Match Ko Opponent Se Bohat Door Le Jane Ki Koshish Karti Hay.
Pakistan Nay Kya Kia?
Yeh Koi Hard And Fast Rule To Nahi Lekin Zyada Tar Aisa Hi Hota Hai. To Agar Hum Pakistan Ki Innings Ko Dissect Karen To Hamein Andaza Hoga Ke Aakhir Pakistan Ke Sath Hua Kya? Sab Se Pehlay To Unfriendly Conditions Mein Toss Haar Gaye. Kher, Yeh To Team Pakistan Ke Haath Mein Nahi Tha Lekin Is Ke Baad Powerplay Mein Sirf 39 Runs Banaye, Woh Bhi Mohammad Rizwan Ki Wicket Day Kar.
Yun Pakistan Starting Mein Hi Momentum Kho Betha. Phir Bhi Shaan Masood Ki Wajah Se Kisi Hadd Tak Innings Ko Consolidate Kia. Lekin Phir Aakhri Session Mein Jab Aakhri Waar Laganay Ki Zaroorat Thi, Tab Pakistan Ne Bohat Hi Bura Khail Paish Kia. Pakistan Ne Last 5 Overs Mein Sirf 31 Runs Banaye Balkay Agar Hum Sirf Aakhri 4 Overs Dekhain To Un Mein Only 18 Runs Banay.
Yeh Pakistan Ki Woh Ghalti Thi Jis Ki Saza Milna Hi Thi.
Aik Aur Barri Mistake
Pakistan Ne Sirf Yahi Mistake Nahi Ki Balkay Pitch Aur Ground Dimensions Read Karne Mein Bhi Chook Gaya. Pehlay To Batsman Thay Jinhon Ne MCG Jaisay Barray Maidan Par Barri Hits Laganay Ki Be Bay-Waqoofana Koshishen Keen. Aik To Pitch Bouncy Aur Two-Paced Thi, Us Par Dabao Mein Anay Ke Baad Chakka Laganay Ko Wahid Option Samjhna.
Sab Se Pehlay To Yeh Ghalti Mohammad Haris Ne Ki. Aik Ghair Zaroori Shot Ke Sath Apni Wicket Di. Phir Shaan Masood Well Set Honay Ke Baad Isi Tarah Out Hue. Aakhir Mein Shadab Khan , Mohammad Nawaz Aur Mohammad Waseem, Sab Nay Isi Tarah Barra Shot Laganay Ki Koshish Mein Apni Wickten Deen. Ye Sab Ground Dimensions Ko Samajhay Baghair Long Boundary Ki Taraf Kheltay Huay Out Huay.
England, Dimagh Say
Is Ke Muqablay Mein English Batsman Dekhen, Kisi Ne Koi Ulta Seedha, Terha Merha Aur Ooncha Shot Laganay Ki Be Koshish Nahi Ki. Zyada-Tar Ground Shots Khail Ke Runs Haasil Kiye. Jos Buttler Nay Jo Chakka Lagaya, Woh Ramp Shot Tha Jis Par Peechay Six Haasil Hua. Phir Innings Ka Doosra Chakka Ben Stokes Ne Lagaya, Jo Long-Off Par Barri Mushkil Say Boundary Line Cross Kar Saka.
Sirf Harry Brook Hi Thay Jo Big Hit Kay Liay Gaey Aur Is Ka Nateeja Bhi Bhugta. Baqi Kisi Ne Yeh Ghalti Nahi Ki
Kia Pitch Read Nahi Ki Thi?
Pakistani Bowlers Ne Bhi Aik Barri Ghalti Ki Aur Pitch Ko Theek Se Read Nahi Kar Sakay. Woh Overpitched Balls Phenkhte Rahay Jin Par English Batsman, Especially Jos Buttler, 4s Lagatay Rahay. Yun Wickets Girnay Ke Bawajood Un Par Pressure Nahi Aa Saka.
Jab Tak Pakistani Bowlers Ko Samajh Aai, Aur Wo Good Length Aur Short Pitch Balls Par Aaey, Tab Tak Buhat Dair Ho Chuki Thi.
Big Match Mein Kamzori Expose
T20 World Cup Mein Pakistan Ki Sab Se Barri Kamzori Thi Kamzor Middle Order. Aur Qismat Dekhain Ke Final Mein Hi Wo Buri Tarah Expose Ho Gaya. Pakistan Nay Last Matches Mein Jo Kamyabian Hasil Keen Un Mein Momentum Set Kia Tha Mohammad Haris Ki Innings Nay. Aaj Wo Sirf 8 Runs Par Out Huay. Phir Iftikhar Ahmed Jin Say Barri Umeed Thi Ke Wo MCG Mein Aik Baar Phir Big Hits Lagaen Gay, 0 Par Hi Wapis Aa Gaey. Shan Masood Nay Apni Si Koshish Ki Laikin Doosra Koi Batsman Chal Nahi Saka.
Koi Aam Din Hota, Koi Doosra Maidan Hota To Shayad Pakistan Ka Middle Order Itni Buri Tarah Expose Na Hota. Laikin Aik Bouncy Pitch Par Overcast Conditions Mein Pakistani Batting Haal Se Bay-Haal Ho Gayi.
Yahan England Ki Bowling Ki Jitni Tareef Ki Jaye Kam Hai, Jis Ne Conditions Aur Pitch Ka Bharpoor Faida Uthaya.
Sab Say Barra Dukh
Sab Se Zyada Afsos Ki Baat Yeh Hai Ke World Cup Ka Final Khailnay Ka Mauqa Kabhi Kabhi Milta Hai. Khud Pakistan 13 Saal Baad Kisi T20 World Cup Ke Final Tak Pouncha Tha. Ab Dobarah World Cup Jeetnay Ka Aisa Golden Chance Kab Miley Ga? Yeh Waqt Hi Betaye Ga. Filhaal To Hum Yeh Chance Zaya Kar Chukay Hain.