Dunya Main 195 Mulk Hain In Main Se 180 Mulkon Ki Currency Ko United Nations Ne Legal Tender Ke Tor Per Recognize Kiya Hua Hay. Forex Trading Ke Lehaz Se In Main Se Kuch Currencies Bohat  Sasti Aur Kuch Bohat Valued Hain. Weakest Currencies Ke Baray Main Aap Pichlay Article Main Parh Chukay Hain. Aaj Hum Baat Karen Ge Top 10 Most Valued Currencies Ki.

Top 10 Most Valued Currencies

Is Comparison Ke Liye US Dollar Ko Fixed Base Currency Banaya Gaya Hay. Kyunke Zyada Tar Forex Trading US Dollar Main Hi Hoti Hay. Is Lehaz Se Sab Se Strong Currency Wo Kehlaye Gi Jo Dollar Ke Muqablay Main Mehngi Ho.

10. US Dollar

Raftar Bharne Do

US Dollar United States Of America Aur Dusray Kai Mulkon Ki Currency Hay. Dunya Bhar Main Trading Aur Finance US Dollar Main Hi Hoti Hay Isi Liye Isay “Global Currency” Bhi Kaha Jata Hay. Dunya Bhar Ke Central Banks Zyada Tar Apnay Foreign Exchange Reserves US Dollars Main Hi Rakhtay Hain. Foreign Exchange Market Main 88% Daily Trades Dollar Main Hi Hoti Hain.

9. Swiss Franc

Raftar Bharne Do

Swiss Franc Ya CHF Switzerland Aur Liechtenstein Ki Official Currency Hay.

Switzerland Dunya Ke Most Stable Aur Wealthy Mulkon Main Se Aik Hay. Economic Instability Ke Daur Main Swiss Franc, Us Dollar Aur Japanese Yen Ke Sath Safe Haven Currency Ke Tor Per Kaam Karti Hay.

Swiss Franc Dunya Ki 7th Most Traded Currency Hay. Switzerland Ki Strict Monetary Policy Ki Wajah Se Is Ki Value Stable Rehti Hay.

1 CHF = 1.08 Dollar                        1 CHF= 247 PKR

8. Euro

Raftar Bharne Do

Euro European Union Ke 21 Member States Ki Official Currency Hay Isi Liye Most Valued Currencies Main Shamil Hay. Euro January 2002 Ko Public Use Ke Liye Introduce Karaya Gaya Tha. Us Waqt Euro Ki Value Us Dollar Se Kam Thi Magar Ab Is Ki Value Dollar Se Zyada Ho Chuki Hay. Dollar Ke Baad Ye Dunya Ki Dusri Most Traded Currency Hay.

Euro Dunya Ki Most Stable, Viable, Aur Flexible Currencies Main Se Hay. European Union Ke Member State Ki  National Currency Khatam Kar Ke Eurozone Establish Karna 21st-Century Ki Economics Ka Aik Successful Experience Raha Hay.

1 EUR = 1.08 Dollar                       1 EUR= 247 PKR

7. Cayman Islands Dollar

Raftar Bharne Do

Caribbean Sea Main Situated Cayman Islands Tax Haven Ke Tor Per Janay Jatay Hain Aur Bohat Tezi Se Aik Major Financial Center Main Badal Rahay Hain. Yehi Wajah Hay Ke Cayman Islands Ke Dollar Ki Value US Dollar Ki Value Se Bhi Zyada Ho Chuki Hay.

Cayman Islands Tourists Ki Bhi Favourite Jagah Hay Aur Kam Tax Aur American Dollar Se Close Peg Ki Wajah Se Investors Ke Liye Bhi Lucrative Aur Attractive Place Ban Chukay Hain.

1 KYD = 1.20 Dollar                        1 KYD= 274 PKR

6. Gibraltar Pound

Raftar Bharne Do

Gibraltar Pound Ya GIP Gibraltar Ki  National Currency Hay Aur Same Value Per British Pound Sterling Se Exchangeable Hay. Yehi Wajah Hay Ke Gibraltar Main GIB Aur GBP Donon Use Kiye Ja Saktay Hain.

Gibraltar Britain Ki Overseas Territory Hay. Yehan Ke Economy Tourism Aur E-Gaming Samait Kai Sectors Per Dependent Hain.

1 GIP = 1.22 USD                1 GIP = 276.6 PKR

5. British Pound Sterling

Raftar Bharne Do

United Kingdom Europe Ke Un Kuch Mulkon Main Shamil Hay Jo Euro Use Nahi Kartay. Pound Sterling Ko Isi Wajah Se Kai Baar Unstable Economic Situations Se Guzarna Para Hay. Khas Tor Per Brexit Ke Dauran Uncertinity Ki Wajah Se British Pound Trouble Ka Shikar Raha.

GBP Agarchay Dunya Ki Strongest Currency Nahi Hay Lekin Ye Dunya Ki Aisi Sab Se Purani Currency Zarur Hay Jo Aaj Bhi Istemal Hoti Hay. Ye Globally 4th Most Traded Currency Bhi Hay.

1 GBP = 1.22 USD              1 GBP = 276.6 PKR

4. Jordanian Dinar

Raftar Bharne Do

Most Valued Currencies Main 4th Place Per Jordanian Rial Hay. Jordan (Ya The Hashemite Kingdom Of Jordan) Agarchay Political Instability Aur Violence Se Mutasir Raha Hay Lekin Is Ki Currency Relatively Stable Rahi Hay. Saudi Arab, Iraq, UAE Ki Tarah Jordan Main Itnay Zyada Natural Resources Nahi Magar Ye Aik Popular Tourist Destination Hay Aur Jordan Ne Western Countries Ke Sath Kai Favorable Trade Agreements Kiye Huay Hain.

1 JOD = 1.41 USD               1 JOD = 320 PKR

3. Omani Rial

Raftar Bharne Do

Oman Bhi Middle Eastern Country Hay Jis Ka Rial Most Valuble Currencies Main Shamil Hay. Apni Geographical Location Aur Mineral Resources Ki Wajah Se Oman Bohat Arsay Se Aik Important Trade Center Raha Hay.

1 OMR = 2.60 USD                         1 OMR = 588 PKR

2. Bahraini Dinar

Raftar Bharne Do

Bharain Bhi Kuwait Ki Tarah Gulf Main Situated Aik Chhota Sa Mulk Hay. Is Oil Rich Country Ki Economy Petroleum Products Per Highly Dependent Hay.

Bahraini Dinar Dunya Ki Dusri Strongest Currency Hay Aur Dollar Ke Muqablay Main Is Ki Value Pichlay 14 Saal Se Kam Nahi Hui.

1 BHD = 2.65 USD              1 BHD = 601.55 PKR

1. Kuwaiti Dinar

Raftar Bharne Do

Dunya Ki Most Valued Currencies Main Kuwaiti Dinar Kai Saal Se Sab Se Ooper Hay. Gulf Ke Is Chhotay Se Mulk Main Crude Oil Ke Vast Reserves Hain Jis Ki Wajah Se Ye High Income Mulkon Main Shamil Hay. Dunya Ke Total Oil Resrves Ka 9% Kuwait Main Hay.

August 1990 Main Iraq Ne Kuwait Per Hamla Kiya Tha Tou Kuwaiti Dinar Ki Value 5 Cent Reh Gayi Thi. Yani 1 Us Dollar Main 5 Dinar Aa Jatay Thay. Lekin Jab Feb 1991 Main Iraq Ko Kuwait Se Nikala Gaya Tou Us Ki Currency Dobara $3.74 Per Revalue Ki Gayi.

1 KWD = 3.28 USD                         1 KWD = 743 PKR

شیئر

جواب لکھیں